Contents
- 1 Mukhyamantri Bal Seva Yojana 2021
- 1.1 Uttar Pradesh Mukhyamantri Bal Seva Yojana 2021
- 1.2 Mukhyamantri Bal Seva Yojana 2021 Highlights
- 1.3 उत्तर प्रदेश मुख्यमंत्री बाल सेवा योजना का मुख्य उद्देश्य क्या है?
- 1.4 Uttar Pradesh Bal Seva Yojana 2021 Benefits & Features
- 1.5 Uttar Pradesh Mukhyamantri Bal Seva Yojana Eligibility Criteria
- 1.6 Required Document to Apply
- 2 Uttar Pradesh Mukhyamantri Bal Seva Yojana 2021 के लिए आवेदन कैसे करें?
Uttar Pradesh Mukhyamantri Bal Seva Yojana | मुख्यमंत्री बाल सेवा योजना | Mukhyamantri Bal Seva Yojana 2021:- Uttar Pradesh Sarkar ne hal hi me ‘Mukhyamantri Bal Seva Yojana’ ki shuruat ki hai, Jiska labh un bachcho ko diya jayega jinke Mata-Pita ki Covid-19 infection ke karan death ho chuki hai. State ke jin bhi bachcho ne is pandemic ya is se pahle apne parents ko kho diya hai un sabhi ko Uttar Pradesh Chief Minister Child Service Scheme shamil kiya jayega, Aur is Yojana ke tahat financial help pradan ki jayegi. Jiske bare me puri jankari is article me hindi me di gayi hai.
Mukhyamantri Bal Seva Yojana 2021
Mukhyamantri Bal Seva Yojana ko Uttar Pradesh Chief Minister Yogi Adityanath ne 30 May 2021 ko launched kiya hai. Is Mukhyamantri Bal Seva Yojana ke antargat Coroan ke karan anath huye bachcho ko per month Rs. 4000 ki financial help ke sath sath anya kai suvidhayen bhi pradan ki jayegi jis se vah apni jivan yapan kar saken. Iske alava is Scheme ke through ladakiyon ki shadi ke liye alag se financial help pradan ki jayegi. Agar bachche ki age 10 Yrs. se kam hai aur unka koi guardian hai hai to unhe Government Children’s Home me residential facility bhi diya jayega. Itna hi nahi Sarkar School/ College me study kar rahe bachcho ko online study ke liye Laptop/Tablet bhi uplabdh karayegi.
Isliye aaj ke is article me aapko ‘उत्तर प्रदेश मुख्यमंत्री बाल सेवा योजना’ se related sabhi mahatvapurn jankari diya ja raha hai. Is Yojana ke bare me puri details me janane ke liye is post ko last tak jarur padhen.
Uttar Pradesh Mukhyamantri Bal Seva Yojana 2021
Uttar Pradesh Government ne mukhya roop se Corona Virus ke karan anath hone bale bachcho ke liye hi Mukhyamantri Bal Seva Yojana ki shuruat ki hai, Jiske tahat Sarkar dwara bachcho ke guardian/caretaker ko every month Rs. 4000 ki aarthik sahayata aur free education and treatment ka bhi suvidha pradan ki jayegi. Is Yojana ke tahat eligible ladakiyon ki shadi ke liye State Govt. dwara Rs. 1,01,000 tak sahayata rashi pradan ki jayegi. Aur sabhi bachche jo School/ College me study kar rahe hain unko Laptop / Tablet Mukhyamantri Bal Sahayata Yojana ke tahat pradan kiya jayega taki vah apni padhai regular jari rakh sake.
Also Check This:- Uttarakhand Mukhyamantri Vatsalya Yojana 2021
To agar aap bhi is Scheme ka labh prapt karna chahte hain to iske liye eligible hona hoga aur jald se jald iske liye aavedan karna hoga. Lekin is Yojana ka labh state un bachcho ko bhi diya jayega jinhone Corona me apni family me earning karne bale guardian ko kho diya hai, Ya fir jinke Mata-Pita dono ki Covid ke karan death ho chuki hai.
Mukhyamantri Bal Seva Yojana 2021 Highlights
Name of Scheme | Mukhyamantri Bal Seva Yojana (UP MMBSY) |
Launched By. | Government of Uttar Pradesh |
Beneficiaries | Children of Uttar Pradesh orphaned due to corona virus infection. |
Year | 2021 |
Major Benefit | Rs. 4000 Per Month |
Objective | To provide financial assistance to children orphaned due to corona virus infection. |
Scheme Under | State Govt. |
Mode of Application | Online/ Offline |
Post Category | Government Scheme |
Official Website | will be launched soon |
उत्तर प्रदेश मुख्यमंत्री बाल सेवा योजना का मुख्य उद्देश्य क्या है?
उत्तर प्रदेश सरकार द्वारा शुरू की गई मुख्यमंत्री बाल सेवा योजना का मुख्य उद्देश्य प्रदेश में कोरोना महामारी के कारण अनाथ हुए बच्चों को आर्थिक सहायता प्रदान करना है जिससे वह अपनी भरण-पोषण कर सकें. राज्य सरकार इस योजना के अंतर्गत ऐसे सभी बच्चों को प्रतिमाह 4000 रुपये तक की सहायता राशी प्रदान करेगी, इसके साथ-साथ बच्चों की पढ़ाई का खर्चा सरकार देगी. यह आर्थिक सहायता बच्चे को वयस्क होने तक प्रदान की जाएगी. इसके आलावा जिन बच्चे का उम्र दस वर्ष या उससे कम है और उसका कोई अभिभावक नहीं है तो उनको राज्य सरकार की तरफ से राजकीय बाल गृह में आवासीय सुविधा भी दी जाएगी, ताकि उन बच्चों की देखभाल हो सकें. आमतौर पर कहें तो Mukhyamantri Bal Sahayata Yojana के अंतर्गत कोरोना महामारी में अनाथ होने बाले बच्चों की पूरी जिम्मेदारी प्रदेश सरकार उठाएगी. और इस योजना का लाभ प्राप्त करके प्रदेश के बालिकाएं भी अपनी जीवन यापन कर पायेगी|
Also Check This:- Bihar Bal Sahayata Yojana 2021 की पूरी जानकारी
उत्तर प्रदेश मुख्यमंत्री बाल सेवा योजना के बारे में अधिक जानकारी निचे अधिसूचना से प्राप्त करें|
Uttar Pradesh Bal Seva Yojana 2021 Benefits & Features
- Uttar Pradesh Mukhyamantri Bal Seva Yojana Chief Minister Yogi Adityanath dwara shuru ki gayi hai.
- Is Scheme ke tahat un sabhi bachcho ko financial help pradan ki jayegi, Jinke parent ki Covid-19 ke karan death ho chuki hai.
- State Govt. aise sabhi bachcho ko per month Rs. 4000 ki sahayata rashi pradan karegi.
- UP Sarkar School/ College me study karne bale bachcho ko tablet or laptop bhi uplabdh karayegi.
- Iske alava anath ho chuke bachcho ko dekhbhal ke liye Rajya Sarkar State Children’s Homes (Shishu) me residential facility bhi degi. Jo Mathura, Lucknow Prayagraj, Agra and Rampur me sthit hai.
- Mukhyamantri Bal Seva Yojana ke madhyam se Ladakiyon ki shadi ke liye Rs. 101000 ki financial help di jayegi.
- Is Yojana ke madhyam se un bachcho ko bhi labh diya jayega jinhone apne legal guardian ya fir earning karne bale guardian ko Covid-19 Pandemic me kho diya hai.
- Is Scheme ke tahat aise bachcho ki study se lekar marriage tak ki puri arrangements State Govt. karegi.
- यह आर्थिक सहायता बच्चो को वयस्क होने तक प्रदान किया जायेगा|
- Aur is Yojana ke antargat aane bale bchcho ko jinki age 10 Yrs. hai aur unka koi guardian nahi hai use residential facility bhi diya jayega.
Uttar Pradesh Mukhyamantri Bal Seva Yojana Eligibility Criteria
- Labharthi Uttar Pradesh ka ek permanent citizen hona chahiye.
- Jinke parents (माता-पिता) ki death Covid-19 ke karan huyi hai.
- State ke jin bachche ne earning karne bale guardian ko Corona Pandemic ke karan kho diya hai.
- Is Scheme ka labh ve sabhi bachche utha sakte hain jinke Mata-Pita dono ki Covid-19 ke karan death ho chuki hai.
Required Document to Apply
- Aadhar Card
- Address Proof
- Death Certificate of Parents
- Ration Card
- Passport Size Photograph
- Mobile Number
- Bank Account Statement
Uttar Pradesh Mukhyamantri Bal Seva Yojana 2021 के लिए आवेदन कैसे करें?
- Sabse pahle UP Mukhyamantri Bal Seva Yojana ke official website par visit karen.
- Website ke home page par jakar ‘Apply Online’ link par click karen.
- Click karne par Application form open ho jayega.
- Application me puchhi gayi sari details ko enter karen.
- Iske baad required document scan karke upload karen.
- Ab finally Submit button par click kar den, Aapka aavedan pura ho jayega.
Notes:- अगर आप मुख्यमंत्री बाल सेवा योजना 2021 के लिए पात्र हैं और इसका लाभ उठाने के लिए आवेदन करना चाहते हैं तो अभी आपको कुछ दिन और इन्तेजार करना होगा. प्रदेश सरकार ने अभी सिर्फ इस योजना की घोषणा की है. लेकिन उम्मीद है जल्द हीं इसके लिए आवेदन प्रक्रिया शुरू होगी. लेकिन जब Mukhyamantri Bal Seva Yojana के लिए आवेदन प्रक्रिया शुरू की जाती है तो उसकी जानकारी आपको इस वेबसाइट पर दी जाएगी. इस योजना के बारे में आगे की नई जानकारी के लिए लगातार इस वेबसाइट के साथ जुड़े रहें|
Finally, Aapko is article me “Mukhyamantri Bal Sahayata Yojana 2021” se related full information di gayi hai, Lekin agar aapka koi saval hai to comment box ke through jarur puchhen.