Contents
PM Garib Kalyan Yojana 2020:- Hello Friends, PMGKY ko Bharat Kendra Sarkar ke Finance Minister Nirmala Sitharaman ne 26th March 2020 ko Coronavirus (Covid19) prakop se ladne me madad karne ki ghoshna ki hai. Pradhan Mantri Narendra Modi ki sarkar ne garibo aur jaruratmando ke liye is 1,70,000 Crore ki package ki ghoshna ki hai. Bharat Sarkar dwara Corona Virus se ladne ke liye 21 Dino ka Lockdown kar diya gaya hai.
Bharat Sarkar ne Pradhan Mantri Garib Kalyan Yojana (PMGKY) ke tahat 1.7 Lakh Crore ke package ki ghoshna ki hai. Sarkar garib logo, majduro, mahilao, vidhur, sharirik rup se aksam logo (Poor people, Wage worker, Women, Widower, Physically challenged) jaise logo ki madad karne ki kosis kar rahe hai. Aap is post ki madad se प्रधानमंत्री गरीब कल्याण योजना 2020 ke dwara pradan ki ja rahi sabhi suvidhaye ki puri detial check kar sakte hai.
PM गरीब कल्याण योजना के तहत कोरोना वायरस के खिलाफ लड़ाई में वित्त मंत्री श्रीमती निर्मला सीतारमण 1.70 लाख के रहत पैकेज की घोषणा की थी। इससे सम्बंधित सम्पूर्ण जानकारी यह पर उपलब्ध करा दी गयी है। कौन कौन लोग इस योजना का लाभ ले सकते हैं, किसको कितना लाभ मिलेगा। PMGKY की पुरी जानकारी आप इस आर्टिकल से प्राप्त कर सकते है.
PM Garib Kalyan Yojana 2020
Finance Minister Nirmala Sitharaman ne Coronavirus Covid19 ke prakop se utpan financial problem se niptane ke liye Rashtra ke garibo ke madad ke liye 1.70 Lakh Crore ki rahat package ki ghoshna ki hai. Finance Minister ne kaha hai ki rahat package pravasi majdur aur dihari majdur (Migrant laborers and Daily wage laborers) par kendrit hoga.
Yah Package un logo ke liye taiyar hai, jinhe tatkal ki aavashykta hai. Nirmala Sitharaman ne kaha hai, Koi bhi garib parivar bhukha nahi rahega iske liye yah 1,70,000 Crore ki package ki ghoshn ki ja rahi hai. Is Yojana ka labh kam se kam 80 Crore log utha payenge..
PMGKY me do vyapak ghatak (Broad component) hote hai. Pahla Bhojan ki uplabdhta (Availability of food) sunschit kar raha hai, Aur dusra income support hai. Bharat sarkar ne garib parivaro aur majduro ki madad is package ka ailan kiya hai. Aapko is PMKG Yojana se kai labh milenge. Aap niche PMGKY Package Benefits check kar sakte hai.
PM Garib Kalyan Yojana 2020 – Package Benefits
Sabhi Rashan Card dhariyo ko is yojana ke tahat 5 Kg Rice/Wheat millega aur ve agle 3 mahine tak ek bhi paisa nahi dena hoga. Aur sath hi sath, Rashan Card dhariyo ko agale 3 mahine tak prati ghar 1 Kg daal milegi. Is yojana se Bharat Desh ke 80 Crore ke logo ko labh milega. Is Yojana ke liy Sarkar 45,000 Crore rupaye kharch karegi.
Coronavirus (Covid19) marijo ka illaj karte samay Health Professionals kisi karan vo infect ho jate hai, To unhe is yojana ke tahat 50 Lakh Rupaye ki kshtipurti di jayegi. Safai karamcharis, ward-boys, nurses, paramedics, technicians, doctors & specialists aur dusre health professionals special insurance scheme ke tahat aate hai.
Direct Benefit Transfer Under PMGKY
PM Kisan Nidhi Yojana:-
PMGKY Yojana ke madhyam se senior citizens, widows, farmers aur daily wage laborers ko iski Rashi direct transfer kiya jayega. 8.69 Crore Kisan PM Kisan Nidhi Yojana ke madhyam se installment direct transfer karenge.
MGNREGA Workers:-
Rs 2000- Installment sidhe April ke pahle week me Bank Account me transfer kar diye jayenge. Sabhi MGNREGA Workers ko 202 Rupaye milenge, pahle yah 182 Rupaye tha. Iska sidha fyda 5 Crore se jyada parivaro ko hoga.
PWD & Widows:-
Sarkar ne yah bhi ghoshna ki hai ki 3 Crore Senior citizens PWD & Widows ko do kisto me me 1000 Rupaye 3 mahine ki samay vidhi ke liye DBT ke madhyam se kiye jayenge.
Jan Dhan Yojana Account Holders:-
Jan Dhan Yojana ke tahat Account Holders ko PMGKY ke madhyam se cover kiya jayega. Jan Dhan Account Holders ko agale 3 Mahine ke liye 500 Rupaye prati mah ka rahat package milega.
Ujjawala Yojana:-
Ujjawala Yojana ke tahat, BPL Parivar ko 3 mahine ke liye muft Cylinder milega. Jin logo ko Ujjawala yojana ke tahat pahle se labh mil raha hai, Unhe 3 Mahine ke liye Free Cylinder milega.
Others Benefits Under PMGKY
Ek aur ghoshna me, Women self-help groups ke liye collateral-free loans (संपार्श्विक-मुक्त ऋण) do guna hokar 20 Lakh Rupaye ho gaya hai. Pahle yah Rashi 10 Lakh Rupate thi.
Finance minister ne yah bi ghoshna ki hai ki , Ve agle 3 mahine ke liye Employee and Employer (24%) ki oar se EPF ka bhugtan karne ja raha hai. Yah keval unke liye hai, Jinka masik aay 15000/-.Rupaye se kam hai.
Central government ne building aur construction workers ke liye 31000 Crore Rupaye ki rahat rashi ki ghoshna ki hai.
To Aaj ke is Post me hamne PM Garib Kalyan Yojana 2020 Scheme ke bare me detail information pradan ki hai. Bharat ke log is yojana ka labh utha sakte hai. PMGKY 2020 ke Latest Updates ke liye aap is Page par Regular visit karte rahe.