Scholarship

Pradhan Mantri Scholarship Scheme (PMSS) – प्रधानमंत्री छात्रवृत्ति योजना Online Form 2020

Pradhan Mantri Scholarship Scheme
Written by A to Z Classes

PM Scholarship Scheme 2020:- Bharat Sarkar dwara deshbhar me padh rahe alag alag varg ke students ke liye Scholarship sambandhi kai Sheme Yojana shuru ki gayi hai. Inme se ek hai Pradhan Mantri Scholarship Scheme, Jise haal me hi shuru kiya gaya hai. Yah Yojana Ex-servicemen, Policemen aur Ex-Coast Guard ke bachho (Children) ke liye muhaiya karai jayegi. Aap is Post ki madad se PMSS ki puri jankari prapt kar sakte hai, Aur diye gaye Link se iske liye online form bhi bhar sakte hai.

Pradhan Mantri Chatravriti Yojana ka mukhya udheshya hai ki desh ke aise Javan jo kisi terrorist attack, Naxalite attack me shahid ho chuke hai, To unke ghar parivar me bachhon ko aarthik sahatya ke rup me ye Scholarship pradan ki jayegi. Pradhan mantri scholarship yojana desh ke pradhan mantri Narendra Modi ke dwara varsh 2016 me shuru kiya gaya tha.

Pradhan Mantri Scholarship Scheme 2020

Pradhan Mantri Narendra Modi ke dwara shuru ki gayi is yojana ke tahat Students ko 12th Intermediate me kam se kam 60% Marks lane anivary honge. Indian government dwara higher education ke field me students ko encourage karne ke liye id yojana ki shuruat ki gayi hai.

Pradhan Mantri Scholarship Yojana 2020-21 ke liye online registration karna hai. Is yojana ka labh uthane ke liye Students ke pass kya eligibility hona chahiye, Registration karne vakt kin kin documents ki aavashykta hogi, In sab bato se juri jankari ke liye is article ko ant tak padhe.

Scheme NamePradhan Mantri Scholarship Yojana
Beginning2016
Last Date of Application15 October 2020
BeneficiaryChildren of Soldiers & Paramilitary
Amount HelpGirl Students:- 3000
Boy Students:- 2500
Application Link Click Here

Prime Minister’s Scholarship Scheme 2020-21 Amount Help

Pradhan_Mantri_Chatravriti_Yojana_2020

Sabse pahle aapko bata den, Pradhan Mantri Scholarship Scheme ke antargat aarthik sahayta ke rup me pradan ki jane vali amount ke bare me jan lete hai. Is yojana ke tahat monthly rup se pradan ki jane vali rashi niche batlayi gayi hai.

Is Yojana ke tahat Girl student ko pahle 2500 (Two thousand five hundred) Rupaye prati mahine diye jate the, Lekin bad me ise badhakar ab 3000 (Three Thousand) Rupaye kar diya gaya hai. Aur Boy Students ko is yojana ke tahat 2000 (Two Thousand) Rupaye diye jate the, Bad me ise badhakar ab 2500 ( Two thousand five hundred) Rupaye kar diya gaya hai.

Scholarship pardan kiye jane ke liye Ex-servicemen, Policemen aur Ex-Coast Guard ke kul 5,500 wards chune jate hai. Yah chynav pratyek Academic year me kiya jata hai. Scholarship ka bhugtan 1 se 5 Varsh tak pradan kiya jata hai. Is Yojana ke antargat terrorist attacks, naxal attacks me shahid huye javan ke 500 Bachho ko chunav kiya jata hai.

Pradhan Mantri Scholarship Scheme – Eligibility Criteria

PM Scholarship Yojana ke liye aavedan karne ke liye Students ko kya yogyta honi chahiye, Is yojana ka labh uthane bale students ko niche di gayi eligibility check kar sakte hai.

  1. Ex-servicemen, policemen aur ex-Coast Guard ke bachhe hi is yojana ka labh utha sakte hai.
  2. Students ko 12th Class me 60% Marks lane honge.
  3. Aavedak ka Indian citizen hona jaruri hai.
  4. Aavedak ki Age limit 18 Varsh se 25 Varsh honi chahiye.
  5. Graduation ke 1st Year me admission lene bale students hi is Scholarship ka labh utha sakte hai.

How To Apply For Prime Minister Scholarship Scheme Online?

Prime Minister Scholarship Scheme ke application form bharne ke liye aapko iske Official Website par visit karna hoga. Aap niche bataye gaye Steos ko follow kar iska Application form bhar sakte hai.

  • Sabse pahle aap diye gaye link se official site par visit kare.
  • Pradhan Mantri Scholarship Yojana 2020-21 ke online registration ke liye aapko Kendriya Sainik Board Secretariat ke website par jana hoga.
  • www.ksb.gov.in
  • Iske homepage par Prime minister Scholarship Scheme ke option par click karna hoga.
  • Fir us page par Registration ke link par click kare.
  • Vaha se aap Registration form bhar sakte hai.
  • Sare documents upload kar den.
  • Aur last me submit kar den, Aur application form ki ek print out nikal len.

Online Registration:- CLICK HERE

PM Scholarship Scheme – Important Documents

Before registering, ESM/Widow/Orphan should be in possession of the following information/documents:-

  • (a) Photograph of ESM / Widow / Orphan (Soft Copy)
  • (b) PPO Number
  • (c) Bank Account Number (SBI/PNB)
  • (d) ESM I/Card Number
  • (e) Aadhaar Card Number
  • (f) Mobile Number
  • (g) Email Id
  • (h) Date of birth, date of enrollment & date of discharge.
  • (i) Date of death of ESM (If applicable)
  • (j) Details of Bank Account i.e. Bank Account Number, Branch Name, IFSC Code etc.

Pradhan Mantri Scholarship Yojana 2020-21 ke liye aavedan karne ki last date 15th October 2020 rakhi gyi hai. Is Yojana ke labh lene keliye ichhuk students 15 October tak Pradhan Mantri Scholarship Yojana 2020-21 ke liye aavedan kar sakte hai.

Check This Government Scholarships:-

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment