Sarkari Yojna

Pradhan Mantri Mudra Yojana Online Form 2022 – PMMY के लिए यहाँ से आवेदन फॉर्म भरें

Written by A to Z Classes

Pradhan Mantri Mudra Yojna 2022:- Pradhanmantri Mudra Yojna ke tahat aise logo ko Loan pradan kiya jata hai jo apna khud ka ek Business shuru karna chahte hain. Jabki Sarkar dwara Entrepreneurship ko badhawa dene ke maksad se is Yojna ke tahat sabhi Chhote Enterprises ke liye yah Loan ka offer pradan karti hai. Jiske liye Bharat me rahne bale koi bhi ichhuk Labharthi is Yojna ka labh utha sakte hain.

Pradan Mantri Mudra Yojna ke antargat Desh ke sabhi Entrepreneurs ko khud ka Udyog uplabdh karne ke liye Discounted Rate par Bank se Loan uplabdh karbane me madad karti hai. Jo ki is Scheme ki shuruaat Bharat ke Prime Minister Shree Narendra Mode Ji ke dwara 8 April 2015 ko hi kiya gya tha.

To Desh ke jo bhi labharthi is Yojna ka ka labh uthakar apna kisi bhi tarah ka Udyog ki shuruaat karna chahte hain ya Bank se Loan lekar apne Udyog ko aur bada bana chahte hain, To Pradhanmantri Mudra Yojna 2022 ke liye aavedan form bhar sakte hain. Jiske liye aapko is article me saari jankari Application Process, Required Document, Eligibility Criteria ityadi jaise sabhi information pradan karaya ja raha hai.

Pradhan Mantri Mudra Yojna 2022 Online Application Form

Aapko bata den ki Pradhanmantri Mudra Loan Yojna ke tahat 3 Category Shishu Loan, Kishore Loan, Tarun Loan me pradan kiya jata hai, Is Yojna me Sarkar ki taraf se 50,000 Rupaye se lekar 10 Lakh Rupaye tak ki Loan ka offer di jati hai. Is Yojna ke jairye bina kisi anudan ka diya jata hai jabki sath hi Loan ko chukane ke liye iski period ko 5 Varsh tak badhaya bhi gya hai.

Abhi ke samay me jo labharthi apna Business start karna chahte ya phir apni Business ko aur aage tak badhana chahte hain. To un sabhi ko Pradhan Mantri Mudaya Schemes ke madhyam se Kendra Sarkar Bank dwara 10 Lakh Ruapye tak ki Loan uplabdh karaya ja raha hai, Jiske liye koi anudan ki aavashyakta nahi hai, Aur aapko bataya gya ki Mudra Loan chukane ke liye iski Period ko 5 Years tak badha diya gya hai. Pradhan Mantri Yojna ke antargat Sarkar dwara 2022 tak 18.87 Crore se adhik shamil kiya ja chuka hai, Jabki abhi tak 9.27 Crore Rupaye is Scheme ke madhyam se aavantit kar di gyi hai.

PMMY Scheme 2022 Highlights

Name of SchemePradhan Mantri Mudra Loan Yojana (PMMY)
Started byPrime Minister Narendra Modi
Launch Dates2015
Nodal AgencyMicro Units Development and Refinance Agency
BeneficiarySmall and Medium Entrepreneurial Startup
Loan Amount10 Lakh Maximum
Application ProcessOffline
Application Form StartAvailable Now
Type of Scheme Central Govt. Scheme  
Official Websitehttps://www.mudra.org.in/

Benefits of Pradhan Mantri Mudra Yojana

  • PM Mudra Yojna ka labh Entrepreneurs ko pradan kiya jayega.
  • Desh ke Entrepreneurs ko apna Business shuru karne ke liye Discounted Rates par Bank se Loan uplabdh karene me sahyata pradan ki jayegi.
  • Is Scheme ke antargat Kendra Sarkar Bank dwara 10 Lakh Rupaye ka Loan uplabdh karaya ja raha hai.
  • Jabki is Scheme ke tahat Loan prapta karne ke liye Labharthi ko koi anudan nahi dena hoga.
  • Aap PM Mudra Yojna ka madhyam se Sarkar dwara Loan prapt karke khud ka Business shuru kar sakte hain.

Eligibility Criteria For Pradhan Mantri Mudra Yojna 2022

  • Pahle to ek Bhartiy Nagrik hona aavashyak hai.
  • Mudra Bank Yojna ke ke tahat Labh uthane bale Business Units Professionals ko Shamil kiya gya hai.
  • Is Yojna ke liye sabhi Chhote Dukandar ya Any koi bhi Business karne bale Mini and Cottage Udyog ko bhi shamil ki gyi hai.
  • In sabhi ko Mudra Loan ke tahat Loan diya ja sakta hai, Taki sabhi Log apne Business ko aur badha saken.
  • Aur Aavedan karne bale Candidates ka Age 18 Varsh se kam nahi honi chahiye.

Important Document For PM Mudra Shceme

  • Aadhar Card
  • Applicant’s Identity Card
  • Driving License, Pan Card
  • Voter ID Card
  • Balance Sheet of previous years
  • Sales tax return, income tax return
  • Postal Address
  • Mobile Number
  • Bank Account

How To Apply in Pradhan Mantri Mudra Yojana 2022?

Desh ke jo bhi vyakti PM Mudra Yojna ke tahat aavedan karke apne Udyog shuru karne ke liye Bank dwara Loan prapt karne ke liye niche bataye gye tarike ko follow kar sakte hain.

  • Iske liye sbse pahle aavedak ko apne sambandhit Bank se Aavedan Form Prapt karna hoga.
  • Uske baad Form me puchhi gyi sabhi jankari ko bharna hoga.
  • Aur Form ke sath sabhi aavashyak Document ko attache karke sambanhit Bank me jama kar den.
  • Bank Officers dwara aapka aavedan form aur sabhi Docuement ko verified karne ke 1 Mahine baad Loan ki Rashi aapke Bank me transfer kar di jayegi.
  • Is tarah se aapka aavedan pura ho jayega aur milne bali Rashi se apna Udyog shuru kar sakte hain.

Types Of Mudra Loan

  • Shishu Loan:- Is Loan ke tahat 50,000 Ruapye tak ka Loan Bank dwara pradan ki jayegi.
  • Kishore Loan:- Kishore Loan ke tahat 50,000 Rupaye se lekar 5 Lakh Rupaye tak ka Loan Bank dwara di jayegi.
  • Tarun Loan:- Jabki Tarun Loan ke tahat 5 Lakh se lekar 10 Lakh Rupaye tak ka Loan Bank dwara diya jayega.

Pradhan Mantri Mudra Loan 2022 Important Details

Aap sabhi jante honge ki pahle kisi bhi Business ko shuru karne se ke liye Loan lene ke liye Bank ka chkar katne padte the aur bahut se kathinaiyon ka samna karna padta tha. Lekin ab PMMY Scheme 2022 ke antargat sabhi Entrepreneurs ko aassani se 10 Lakh Rupaye tak Loan Bank dwara mil sakta hai. Mudra Loan Commercial Bank, RRBS, Small Finance Bank, Co-Operative Bank, MFI dwara pradan kiye jate hain jiska koi Fixed Interest nahi hai, Aise main roop se iska Interest 12% hai.

Pradhanmantri Mudra Loan ka mukhya udeshya hai ki Desh ke jo bhi log khud ka Business shuru karna chahte hain, Lekin wo kuchh aarthik kamjor hone ke karan Udyag shuru nahi kar pate hain. Un sabhi ko Bharat Sarkar Bank dwara 10 Lakh Rupaye tak Loan uplabdh karbakar aarthik ssahyata pradan karna hai, Aur sabhi ko is Scheme ke jariye aatmnirbhar banana hai. Sabhi Labharthiyon ko is Yojna ke jariye Proper Capital pradan karke Udyog aarambh karne ke sath protsahit karna hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment