Sarkari Yojna

Pradhan Mantri Gramin Awas Yojana New List 2020 – अपना नाम ऑनलाइन चेक करें

Pradhan Mantri Gramin Awas Yojana New List
Written by A to Z Classes

Pradhanmantri Gramin Awas Yojna New List 2020:- Aap sabhi jan rahe hain ki Government of India ke dwara sabhi Gramin Nagriko ko Pakka Makan banane ke liye PM Awas Yojna ki shuruaat ki gyi hai. Is Yojna ke tahat Ghar banane balo ko Loan par byaj Subsidy di jati hai, Jisse kamjor Aay Varg ke logo ka labh pahuchaya jata hai. Jo ki is Yojna ka labh prapt karne ke liye bahut saar alag alag niyam hai.

Yadi aap Pradhanmantri Gramin Awas Yojna ka labh uthane ke liye Aavedan Form jama kiye hain to PM Gramin Awas Yojna ki New List jaari kar di gyi hai aap ise online check kar sakte hain, Aur pata kar sakte hain ki aapka Naam Nai List me aaya hai ya nahi. Bata den ki abhi tak jin logo ka naam PM Gramin Awas Yojna me shamil nahi hua tha, Ya jinke paas Pakka Makan nahi tha un sabhi naam is List me shamil kar diya gya hai.

Pradhan Mantri Gramin Awas Yojna New List 2020

Agar aapne bhi is Scheme ke liye Aavedan kiya tha aur abhi tak iski List me aapka Naam shamil nahi kiya gya hai, To aapke liye ek good new hai ki Pradhanmantri Gramin Awas Yojna ke New List me chhute huye sabhi logo ka naam shamil kar di gyi hai. Jo Garb Praviar se hain aur kisi bhi Gramin Area se bilogn karte hain, Ya Jinke pass rahne ka ghar nahi hai jo Jhopadiyon ka upyog kar rahe hain, Ya fir Ration Card Dharak BPL ki List me aate hain, To in sabhi ko PM Awas Yojna ka labh pradan karaya jayega. Aise me aap PM Awas Scheme ka New List me apna naam online check kar sakte hain.

Aur PM Gramin Awas Yojna ka New List online check karne ke liye aavedak ko apna Aadhar Card, Mobile Number, Registration ID ya Assessment ID ki jarurat hogi, Jiske liye is page me aapko pure vistar tarike se bataya gya hai ki aap kis prakar se Pradhanmantri Awas Yojan ka New List online check kar payegen. Kyonki yah jarurat har cases me alag alag ho sakti hai.

Pradhan Mantri Gramin Awas Yojna – Highlights

Name of SchemePradhan Mantri Awas Yojana – Gramin (PMAY-G)
Launching Dates2015 – 16
Started byBy Prime Minister Narendra Modi
BeginningNovember 2016
Relevant DepartmentsGramin Vikas Mantralaya
BeneficiaryGramin Area ke Nivasi
Time Interval3 Years

Eligibility Criteria For PM Awas Yojna

Agar aap Pradhanmantri Gramin Awas Yojna ka labh uthana chahte hain to aapke pass nimnlikhit Eligibility Criteria honi chahiye.

  • PM Awas Yojna ka labh aise parivaro ko diya jata hai jo aarthik roop se kamjor hain aur garib parivar se belogn karte hain.
  • Aur PM Awas Yojna ke liye aavedan karne se pahle aavedak ke pass koi Pakka Makan nahi hona chahiye.
  • PM Awas Yojna ka labh prapt karne ke liye aavedak ko State Government ya Central Government dwara koi aur Government Scheme ka labh nahi diya gya ho.
  • Jabki PM Gramin Awas Yojna ka labh uthane ke liye aavedank ke pass BPL Ration Card hona aavashyak hai.
  • Is Yojna ke antargat aise Labharthiyo ka annual income Rs. 3 Lakh se kam honi chahiye, Sath hi unke pass koi Sarkari Naukri nahi honi chahiye.

Pradhan Mantri Gramin Awas Yojna के बारे में?

Ab aap sabhi ko bata den ki Pradhanmantri Awas Yojna 2 prakar se chali ja rahi hai jo aap niche se padh sakte hain.

  1. Gramin Area Ke Liye,
  2. Aur Sahar Ke Logo Ke Lye,

Jabki in dono ka naam Pradhanmantri GraminAwas Yojna, Aur isi prakar se Urban (शहरी) Area ke logo ke liye Pradhanmantri Urban Awas Yojna chalaya ja raha hai. Is Yojna ke tahat Gramin aur Sahari Kshetr ke Milions Parivaro ko shamil ki gyi hai, Jinke pass Rahne ke liye koi Pakka Makan hain hai, Ya fir unke pass kis prakar ka Makan nahi hai, Vah Jhopri me apni Jivan Yapan kar rahe hain.

Isliye in sabhi logo ko PM Gramin Awas Yojna me shamil ki gyi hai, Aur Bharat Sarkar ne is Yona ki shuruaat ki hai.

Aap sabhi ko malum hona chahiye ki Government of India ne yah thaan liya hai ki vah 2022 tak desh ke har ek vyakti ka khud ka apna Makan ho. Taki wo apne Jivan ko achhe se vyatiti kar saken.

How To Check PM Awas Yojana List 2020 Online?

PM Gramin Awas Yojna New List 2020 online check karne ke liye aap sabhi ko niche step by step tarika batlaya gya hai.

  • Sabse pahle aap niche diye gye link se Pradhanmantri Gramin Awas Yojna ke official website par visit karen.
  • Iske home page se High Level Physical Progress Report ke Option par click karen.
  • Yaha par ek naya page khul jayega, Jisme aap Left Side me jakar apni Years & State ko select karen.
  • Isme apna State, District ko select karke submit par click kar den.
  • Ab aapke screen par PM Gramin Awas Yojna List show ho jayega, Aap apna Naam check kar sakte hain..

Official Website:- Go Here

Required Dcoument For PM Awas Yojna

  • PMAY-G Application Form
  • Income Certificate
  • Identity proof like Aadhaar, PAN, Voter ID card
  • Address Proof
  • Bank Account Passbook
  • Nature of Business, Financial Statement in Case of Businessman
  • Construction Plan
  • Construction Cost Certificate

How To Apply For Pradhan Mantri Awas Yojna Online?

  • Aap iske official website pmaymis.gov.in par visit karen.
  • Iske baad aapko apna Aadhar Card ka Number enter karna hoga.
  • Ab aap apne aavedan form ko puri tahra se bahren.
  • Aur niche diye gye Captcha Code ko enter karke Form ko save kar len.
  • Ab aapko 25 Rupaye Aavedan Fees ke roop me jama karna hoga.
  • Fee pay karne ke bad aapka Form purn roop se bhara jayega.

Aavedan Process pura hone ke bad Sarkar dwara eligible logo ka Final List official site par upload kar di jati hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment