Sarkari Yojna

Pradhan Mantri Kaushal Vikas Yojana 2021 – PMKVY के लिए आवेदन कैसे करें पुरी जानकारी

Pradhan Mantri Kaushal Vikas Yojna
Written by A to Z Classes

Pradhan Mantri Kaushal Vikas Yojna 2021:- PMKVY YOJNA To friends jaisa ki aap sabhi jante hain ki Pradhanmantri Shree Narendra Modi Ji ki ek nahi Yojna ke roop me PMKVY Yojna ubhar kar samne aayi hai, Aur aapko pata hai ki pure Bharat ko Digital India ki taraf badhawa dene ke liye Bharat ke Pradhanmantri dwara apna kafi vishesh yogdan di gyi hai. Sath hi Bharat ke sabhi Nagriko ke liye kai prakar ki Yojnaye ko bhi chalai ja rahi hai.

Aap sabhi ko pata hai ki Pradhan Mantri Kaushal Vikas Yojna ki shuruaat Shree Narendra Modi Ji ke dwara ki ki gyi hai, Jisme Bhartiyo Yuvaon ko Kaushal Vikas ka Training diya jata hai, Aur Kaushal Vikas Yojna se sambandhit sabhi Course Free me karaye jate hain. Aise me is Kaushal Vikas Yojna ko aur badhawa dene ke liye phir se Online Registration shuru ki gyi hai, Jiske bare me aap sabhi is post me puri jankari diya ja raha hai. Taki aap is PMKVY Yojna ka labh aasani se utha saken.

Pradhan Mantri Kaushal Vikas Yojana 2021(PMKVY)

Aap sabhi ko batate chale ki PMKVY Yojna ke antargat Berojgar Yuvaon ko Construction, Electronics & Hardware, Food Processing, Furniture & Fittings, Handicraft, Gems & Jewelry Aur Leather Technology jaise aur bhi Technical Field ke liye Training pradan ki jayegi. Desh ke jo bhi Yuva iske liye utshuk hain ya wo kisi bhi Course ke Training pradan karna chahte hain, To vah kisi bhi Course ko select karke Training le sakte hain.

Pradhanmantri Kaushal vikas Yojna ke tahat Bharat Sarkar ke aadesh ke anusar Desh ke partyek Rajya aur Sahar me Training Center ko khola gya hai, Jisme Labharthiyon ko Free me Traning pradan kiya jayega. PMKVY Yojna 2020 me Kendra Sarkar Yuvaon ko agle 5 Saal ke liye Entrepreneurship Education aur Training Course ki vyastha karti hai.

PM Kaushal Vikas Yojana 2020 – Overview

SchemePradhan Mantri Kaushal Vikas Yojna (PMKVY)
Started byPrime Minister Narendra Modi
ObjeciveDesh ke Yuvaon ko Various Course me Training Pradan Karna
BeneficiaryDesh ke Berojgar Yuva
Application ProcesOnline
Official Websitehttp://pmkvyofficial.org/

What is Pradhan Mantri Kaushal Vikas Yojna?

Bata den ki Pradhanmantri Kaushal Vikas Yojna Present samay me ek aisi Yojna hai jiske dwara Berojgar Yuva ko Rojgar prapt karne me kafi aasani ho sakti hai, Aur iska mukhya udeshya Bharat me adhik se adhik Kaushal Vikas ko badhawa dena hai. Jisse Yuvaon ko unki Education Qualification & Talent ke aadhar par Rojgar prapt ho saken.

Jabki itna hi nahi Yuvaon ko Rojgar ke liye Skilled bhi banane ka hai, Jo ek Training Yojna ke roop me hai. Aise bhi Industrial Training ke karan Desh me bahut se apni padhai puri kar chuke Yuva Berojgar baithe hain, Isliye Pradanmantri Kaushal Vikas Yojna ka sanchalan karne me Kendra Sarkar ka Mukya Udeshya Desh ke aise Yuvaon ko Industrial Training dena hi hai.

Benifits of Pradhan Mantri Kaushal Vikas Yojna 2020

  • PMKVY Yojna ke tahat 24 Lakh se jyada Yuvaon ko Training karne ke liye registered hai, Aur Technical Field me karya karne ke liye Special Training di jayegi.
  • Is Yojna ke madhyam se kisi bhi Field me apne Karya Kaushal aur Talent ko viksit karne me sahayata pradan ki jayegi.
  • Jo log 10th aur 12th ke baad padhai chhod chuke hain, Aur koi Certificate nahi hone ke karan unhe Rojgar khojne kisi prakar ki samasya aa rahi hai, To is Yojna me iske liye full Training ki suvidha pradan kiya ja raha hai.
  • Jabki is Yojna ke tahat Yuvaon ko apni favorite karya ko karne ke liye Sakrar dwara Training di jayegi.
  • Successful Training hone ke baad Labharthi ko Sarkar ki taraf se Certificate bhi pradan kiya jayega, Sath hi Rs. 8000 Rupaye ki inaam bhi di jayegi.
  • Is Yojna me sabhi various field ko milakar Total 577 prakar ka Course shamil hai.

Eligibility Criteria For PMKVY Yojna

  • Is Yojna ka labh uthane ke liye Labharthi ko Bhartiye Nagrik hona chahiye.
  • Yah Yojna sirf un sabhi logo ke liye hai jo Berojgar hain jinke pass koi Monthly Income nahi hai.
  • Iske liye aavedak ko Hindi aur English Language ka Knowledge hona jaruri hai.
  • Jo Students Class 10th ya 12th ke baad apni padhai chhod chuke hian unko bhi Kaushal Viksa Yojna ka labh pradan karaya jayega.

Important Document

  • Applicant’s Aadhar Card
  • Identity Card
  • Voter ID Card
  • Bank Account Passbook
  • Mobile Number
  • Passport Size Photo

How To Register in Pradhan Mantri Kaushal Vikas Yojana 2020?

Jo bhi Candidates PMKVY Yojna ke liye Registration karne ke liye ichhuk hain wo niche bataye gye tarike ko follow karke Online Registration kar sakte hain.

  • PMKVY ke official website par sabse pahle visit karen.
  • Iske home page se Quick Link bale option par click karen.
  • Jiske baad aapke screen par 4 option MSDE, NSDC, Skill India, UDAAN dikhai dega.
  • Aapko Skill India par click karna hai.
  • Ab aapko “Register as Training provider” bale option par click karna hai.
  • Yaha par Registration Form open ho jayega.
  • Registration Form me puchhi gyi saari details ko enter karna hai.
  • Aur Form ko puri tarah se barne ke baad submit par click kar den.

PMKVY Official Link:- http://pmkvyofficial.org

PMKVY Courses:-

Industry/Skill/Sector
Agriculture , Pmkvy CSC
Apparel, Made-ups & Home Furnishing
Automotive
Beauty & Wellness
BFSI
Capital Goods
Construction
Domestic Workers
Electronics
Food Industry Capacity and Skill Initiative
Furniture & Fittings
Gem and Jewellery
Handicrafts and Carpet
Healthcare
Indian Iron and Steel
Indian Plumbing
Infrastructure Equipment
IT/ITes , pmkvy courses
Leather
Life Sciences
Logistics
Media and Entertainment
Mining
Power
Retailers Association’s
Rubber
Security
Skill Council For Green Jobs
Skill Council For Persons with Disability
Sports
Telecom
Textile
Tourism & Hospitality

Aap is prakar se Pradhan Mantri Kaushal Vikas Yojna 2020 ke liye (PMKVY) ke official website par jakar online Registration kar sakte hain, Yadi aapko iske official site se Registration Form bharne me kisi prakar ki samsya aati hai to comment box ki madad se jankari le sakte hain.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment