Contents
Punjab Migrant Online Registration Form:- Hello Guys, Agar aap ek Punjab ke Nivasi hain aur Lockdown Mahamari ke chalte dusre Rajyo me fase hain, To aapke liye ek achhi khabar hai ki Punjab Government ke dwara bahar me fase huye sabhi logo ke liye vapas lane ke liye ek online website jaari kiya gya hai. Jiske tahat Punjab ke jitne bhi Pravasi Sharamik, Students, Tourist ya jo bhi viyakti is mahamari me alag alag Rajya me fas chuke hain unhe Registration Form bharbaya jayega, Aur Special Train or Bus ke jariye vapas unke ghar pahuchahya jayega. Yadi aap bhi Punjab ka ek Pravasi Shramik hain aur anya Rajyo me fase huye hain, Ya fir Punjab lautna chahte hain to aap Punjab Sarkar dwara jaari kiye gye Punjab Yatra Registration Form bhar sakte hain. Aapko Punjab Pravasi Registration Form Online 2020 ke bare me pure vistar se is post me bataya ja raha hai, Taki aap apna Online Registration aasani se kar saken.
Aapko bata den ki Punjab ke Chief Minister Amarinder Singh or Labour Department dwara sabhi Pravasi Majdur & kamgaro ko dusre Rajyo se vapas apne Rajya me lane ke liye is Online Registration Form ki shuruat ki hai. Aapko pata hoga ki Bharat me Lockdown 3.0 ko fir se 17 May tak badha diya gya hai, Iske chalte bahar me rahne bale Pravasi Shramik Majduro ko aur jyada prashani uthana pad raha hai, Aur wo apne ghar ab lautna chahte hain. Iske liye Punjab Pravasi Registration Online Form iske official website covidhelp.punjab.gov.in jaari kiya gya hai. Jis par Registration Form bharne ke baad unhe Special Train aur Bus ke jariye apne ghar surakshit pahuchaya jayega.
Punjab Pravasi Majdur Online Registration Form
COVID -19 Lockdown Mahamari ke karan anya Rajyo me fase logo ki vapasi ke liye Punjab Sarkar ne Shramik Online Registration Form jaari ki hai, Jo bhi Pravasi Majdur, Students, Pryatak ya anya kisi bhi Punjab ke rahne bale vyakit Corona Mahamari ke chalte kisi dusre Rajya me fas gye hain. To is page me diye Punjab Migrant Workers Online Registration Link par jakar apna aavedan kar sakte hain.
State Government | Punjab Government |
Scheme | Pravasi Yatra Registration |
State | Punjab |
Started by | Chief Minister Amarinder Singh |
Objective | Anya Rajyo Me Fase Punjab Ke Logo Ki Vapasi |
Beneficiary | Majdur, Studetns, Tirth Yatri And Other Person |
Article Category | Punjab Migrant Workers Online Registration |
Registration Mode | Online Mode |
Official Website | http://covidhelp.punjab.gov.in/ |
To Punjab Sarkar ne alag alag Rajya me fase Pravasi Shramik, Students, Pryatak ya anya vyaktiyo ko unke ghar vapas lane ke liye notification jaari kar di hai, Jiske anusar anya Rajyo me rahne bale Pravasi Majdur Online Registration kar sakte hain, Iske baad sabhi logo ko Special Train ki madad se ghar pahuchaya jayega.
पंजाब प्रवासी श्रमिक घर आने के लिए फॉर्म भरें:-
Punjab Sarkar ke dwara jaari kiye gye is Yojna ke bare me abhi tak kitne logo ko pata nahi chal paya hai, Aur wo apna ghar lautne ke liye soch rahe hai. Isliye hamne is post me saari jankari pradan karayi hai, Taki sabhi ko pata chale ki iske official website se online Registration Form kaise bharna hai, Sath hi is post me Sarkar dwara jaari kiye gye Helpline Number bhi pradan karaya hai jisse aap Call karke iske bare me aur bhi adhik jankari prapt kar sakte hain.
Yadi aap Registration Form bharte hain to Rajya Sarkar dwara ek List taiyar kiya jayega uske baad Pravasi Majduro ko lane ke liye jankari di jayegi. Agar aap bhi Punjab se hain aur is lockdown mahamari me apne ghar aana chahte hain to niche diye gye official link se Registration kar sakte hain.
पंजाब यात्रा के लिए पंजीकरण कौन कर सकता है?
- Migrant Worker (प्रवासी मजदूर)
- Student (विद्यार्थी)
- Tourist (पर्यटक)
- Other Professional (अन्य पेशेवर)
Required Documents
- Aadhar Card
- Residence Certificate
- Mobile Number
- Jis Rajya Me Hain Waha Ka Address
- Passport Size Photo
How To Fill Punjab Travel Registration Form 2020 Online?
Punjab Yatra Online Registration Form bharne ke liye aapko step by step tarika batlaya ja raha hai, Aap bataye gye tarike ko follow karke apna Registration Form kafi aasani se online bhar sakte hain.
- Aapko sabse pahle Punjab Sarkar ke official website par jana hoga.
- Uske baad home page par diye gye “पंजाब यात्रा पंजीकरण फॉर्म” ke link par click karna hoga.
- Click karne ke baad Registration Form khul jayega.
- Jisme puchhi gyi sabhi details ko bharna hoga.
- Iske baad ise Next par click karke aur bhi details ko bharen.
- Last me sabhi details ko bharkar sabmit par click kar den.
- Aur apne Form ka ek print out jarur kar len.
Important Link:-
Apply Online Registration Form | Click Here |
Official Website | Website |
To is page me di gyi jankari ke anusar apna Registration Form Online bhar sakte hain, Form accept hone ke baad aapko Train Time aur bhi jankari batlaya jayega.
Yadi aapko itni jankari ke baad bhi Punjab Pravasi Online Registration Form bharne me kisi parkar ka problem ho raha hai to niche diye gye comment box se aap puchh sakte hain.
Ludhiana new janta nagar makan number 2783street 5
Hamko Uttar Pradesh Gonda jana hai