Hindi Jankari Sarkari Yojna

UP Bhagya Lakshmi Yojana: उत्तर प्रदेश के बेटियों को मिलेगा 2 लाख 50 हजार, जानकारी यहाँ देखें

Written by A to Z Classes

UP Bhagya Lakshmi Yojana:- Abhi ke samay me Sarkar dwara Desh ke Ladakiyon ke liye ek bahut hi achhi Scheme ki shuru ki gyi hai, Jisse Desh ke sabhi Ladakiyon ko Future me kafi jyada Sahayata pradan ki jayegi, Is Yojna ko lagu hone se Garbhpat ki samasya bhi bahut had tak kam ho sakti hai. Jiske bare me is post me pure vistar tarike se bataya ja raha hai, Aap is post ko pura padhkar Bhagya Lakshmi Yojna 2020 ke bare me saari jankari aasani se prapt kar sakte hain.

Aap sabhi ko batate chale ki is Yojna ka mukhya udeshya hai ki Pradesh me Balikaon ke Anupat ko kam karna hai, Jaisa aap sabhi ko pata hai ki aaj ke samay me Ladko ki tulna me Ladakiyon ki Sankhya din pratidin kam hoti ja rahi hai, Isi ko dekhte huye Sarkar ne Bhagya Lakshmi Yojna ki shuruaat ki hai.

Aaj kal Desh me bahut se aise Garib Parivar hain jo apni aartihk sthiti kamjor hone ki bajha se ya phir ham kah sakte hain ki Paise ki kami ke karan Ladakiyon ko boarn nahi karte hain, Ya phir uski hatya Garbh me hi log kar dete hain, Jiske karan se Ladko ki tulna me Ladakiyon ki Sankhya kafi jyada kam hoti ja rahi hai. Inhi sab samasyaon ko dur karne ke liye Sarkar ne Bhagya Lakshmi Yojna ki shuruaat ki hai, Jiski sabhi jankari aap sabhi ko is post ke madhyam se diya ja raha hai ki is Yojna ka Labh Ladakiyon kis had tak mil payega.

UP Bhagya Lakshmi Yojana

Aap jan len ki Bhagya Lakshmi Yojna ek aisei Yojna hai jiske antargat Desh ke kisi bhi Mahila ko Beti Janm hone par unhe Rs. 50,000 Rupaye ki Rashi pradan karaya jayega aur bahut jald is Yojna ka Labh in sabhi Mahilaon ko di jayegi Jo ki is Yojna ke tahat Beti ko Janm lene ke samay Rs. 5100 Rupaye ki Rashi pradan karayi jayegi. Jiske liye Labharthi ko Ladki ki Janm hone ke 1 Years ke andar Bhagya Lakshmi Yojna ke liye Registration karbana hoga.

Sarkar ki taraf se Bhagya Lakshmi Yojna ka Labh dene ka mukhya udeshya hai ki Ladakiyon ki Sankhya me Growth karna aur unko pada likhakar ek Capable Human banana hai, Sath hi is Yojna ka Labh lene ke baad Log Paise ki kami ya uske aabhav ke karan Ladakiyon ki Shadi jald nahi karenge aur na hi unka Garbhpat kar payenge.

Note:- Is Yojna Ke Tahat Ladakiyon Ko Rs. 50,000 Rupaye Ki Rashi Di Jati Hai Aur Unki Age 21 Varsh Pura Hone Par Unhe Rs. 2,00,000 Rupaye Ki Sahayata Pradan Ki Jayegi.

Uttar Pradesh Bhagya Lakshmi Yojana – Highlights

Scheme NewsUP Bhagya Lakshmi Yojna
Started byChief Minister Yogi Aditya Nath
DepartmentWomen and Child Development Department
BeneficiaryState Girls
ObjectiveLadakiyon Ki Aarthik Sahayata Pradan Karna
Official Websitehttp://mahilakalyan.up.nic.in/

यूपी भाग्य लक्ष्मी योजना ऑनलाइन आवेदन के लिए जरुरी दस्ताबेज

Jo bhi Labharthi is Yojna ke liye aavedan karne ke liye ichhuk hain unhe kuchh Important Eligibility aur Document ki aavashyakta hai jo is post me niche diya gya hai.

  • Aadhar card of parents
  • Mobile Number
  • Bank Account Passbook
  • Residence Certificate
  • Income Certificate
  • Caste Certificate
  • Birth Certificate of Girl Child
  • Passport Size Photo

UP Bhagya Lakshmi Yojana Eligibility Criteria

  • Sabse pahle ek Uttar Pradesh ka Mul Nivasi hona aavashyak hai.
  • Parivar me Ladki ka Janm lena aavashyak hai tabhi is Yojna ke liye Aavedan ki jayegi.
  • Is Yojna ka Labh lene ke liye Family me kisi Member ki Sarkari Naukari nahi honi chahiye.
  • Bhagya Lakshmi Yojna ka Labh uthane ke liye Aavedak ko Ladki ka Birth Certificate dena jaruri hai.
  • Aur Family ki Annual Income Rs. 2,00,000 Lakh se adhik nahi honi chahiye.
  • Iska Labh lene ke liye Balika ka Janm Varsh 2006 ke baad hua ho.

Eligibility And Conditions For Bhagya Lakshmi Yojna

  • Aavedak ki Ladki ki Padhai ki liye Admission Sarkari School me karbana hoga.
  • Ladki Child Labour karti nahi pai jani chahiye.
  • Aur Ladki ki Shadi 18 Varsh ke baad honi chahiye.
  • Is Yojna ka Labh lene ke liye Ladki ka Life Insurance bhi aavashyak hai.

Important Point For Bhagya Lakshmi Scheme

  • Bhagya Lakshmi Yojna ke antargat diye jane bali Rs. 50,000 ki Rashi Ladki ke Bank Account me Jama ki jayegi.
  • Ladki ka Aadhar Card bana hona chahiye.
  • Ladki ka Janm jis bhi Hospital me hua ho uska Birth Certificate hona aavashyak hai.
  • Aur Bhagya Lakshmi Yojna ka Labh lene ke liye Ration Card hona jaruri hai.

UP Bhagya Lakshmi Yojana Apply Online

State ke jo bhi Labharthi is Yojna ka Labh uthane ke liye ichhuk to niche bataye gye tarike ko follow karke iske Application Form ko online download kar sakte hian.

  • Aap niche diye gye official link se iske official website par jakar iske aavedan form ko download karen.
  • Application Form ko download karne ke baad usme puchhi gyi saari Details Jankari ko sahi se bahren, Yadi aapke Aavedan Form kisi prakar ki error rahti hai to aapka Form Reject kar diya jayega.
  • Form bharne ke baad aap apne najdiki District Welfare Department ya Anganwadi Workers ke pass jama kar den.

Important Links

Apply OnlineClick Here
Official Websitehttp://mahilakalyan.up.nic.in/

Agar aap Bhagya Lakshmi Yojana se Sambandhit kisi prakar ki aur jankari chahte hain to niche diye gye Comment Box se puchh sakte hain?

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment