Sarkari Yojna

UP Kanya Sumangala Yojana 2021- Check Application Form, Eligibility and Process

UP Kanya Sumangala Yojana
Written by A to Z Classes

UP Kanya Sumangala Yojana 2020:- Uttar Pradesh Sarkar ke dwara shuru ki gayi Mukhyamantri Kanya Sumangala Yojana ek bahut hi mahtvpurn yojanao me se ek hai. UP Kanya Sumangla Yojana ek pahal hai, Jo vishesh rup se Balikaon ke vikas ke liye kaam karti hai aur unki samajik surksha bhi sunischit karti hai. Mukhyamantri Kanya Sumangla Yojana varsh 2019 me shuru ki gayi thi.

Mukhyamantri Kanya Sumangla Yojana balikaon ke sabhi badhaye ko samapt karne ke udeshya se lagu kiya gaya hai. Jo ki Uttar Pradesh Rajya me balikaon ki safety & protection, health, aur education ke liye kaam karti hai. Is Yojana ke 6 Stage hai, Jinke bare me puri jankari niche di gayi hai. Iske liye kaise online avedan kare, Yah bhi aap logo ke sath share ki gayi hai.

MKSY ek conditional cash transfer yojana hai. Jo alag alag Stages ke tahat labharthi (i.e. girl child and her family) ko financial help karti hai. UP Sarkar dwara 6 Stage me me UP Kalyan Sumangla Yojana ko rajya bhar me lagu kiya gaya hai. Alag alag Stages ke liye aap MKSY ke official site online aavedan kar sakte hai.

Mukhyamantri Kanya Sumangla Yojana UP

Kanya Sumngla Scheme ek sarkari yojana hai. Jise Uttar Pradesh ke Mukhyamantri Yogi Adityanath ji ke dwara shuru kiya gaya hai. Yah balika ke janm se lekar vivah tak ki aarthik sahayata pradan karne ke liye hai.

Yojana ka NaamMukhyamantri Kanya Sumangla Yojana (MKSY)
Concerned DepartmentDepartment of Women and Child Development, Govt. of Uttar Pradesh
Date of Implementation1st April 2019
BeneficiaryGirl Child
Stages of ImplementationSix
Mode of applicationOnline/ Offline
Official websitehttps://mksy.up.gov.in/women_welfare/index.php

मुख्यमंत्री कन्या सुमंगला योजना के उद्देश्य

Is yojana ke mukhy udeshya yaha niche share kiye gaye hai, Aap sabhi is yojana ke liye avadan karne se pahle aapko iska Udeshya jan lena chahiye.

  • Rajya me Health and Education ke condition me shudhar.
  • Kanya bhurn hatya ka elimination.
  • Proper Sex ratio banaye rakhne ke liye.
  • Child marriage ke kupratha ko rokne ke liye.
  • Navjat balika ke parivar ko aarthik sahayata pradan karna.
  • Logo ki negative mindset ko badlane ke liye, Is yojana ko shuru ki gayi hai.

Six Stages For Implementation Of MKSY

Mukhyamantri Kanya Sumangla Yojana ke liye mukhya rup se 6 Stage me lagu kiya gaya hai. UP Kanya Sumangala Yojana ke liye share kiye gye implementation criteria par ek najar dalen.

Stage 1:- Is Stage ke natargat Navjat balikao jinka janm 01/04/2019 ya uske bad hua hai, Unhe Rs. 2000 rupaye pradan kiye jayenge. Aur iske labh ke liye Balikao ke janm ke 6 mahine ke bhitar avedan ho jana chahiye.

Stage 2:- Is Stage me, Ve balikaye shamil hai jinka janm 1st April 2018 se pahle na hua ho, aur sampurn tikakaran ho chuka hai. Unhe Rs. 1000 rupaye pradan kiye jayenge. Balika ki aayu 2 varsh se kam honi chahiye.

Stage 3:- Is stage me, Ve Balikaye shamil hongi, Jo class 1 me admission liya hai, Unke academic year ke douran Rs. 2000 rupaye pradan kiye jayenge. Balika ki aayu 3+ varsh honi chahiye.

Stage 4:- Stage four me, Ve balikaye hongi, Jinhone Class 6 me admission liya hai, Unke academic year ke douran Rs. 2000 rupaye ka labh milega. Is yojana ka labh lene ke liye balika ka aayu 7+ varsh honi chahiye.

Stage 5:- Ab is Stage me, Un balikao ko shamil kiya gaya hai, jinhone Class 9 me admission liya hai. Unhe academic year ke douran Rs. 3000 rupaye ka labh pradan kiya jayega. Ladki ki aayu 10+ varsh honi chahiye.

Stage 6:- Last stage ke tahat, Sabhi balika shamil hogi, Jinhone Class 10/ 10+2 pass karke chalu academic year ke douran bachelor’s degree or certified diploma course me admission liya hai. Un sabhi balikaon ko Rs. 5000 rupaye ki sahayata rashi pradan ki jayegi. Labh lene bali balikaon ka aayu 12+ varsh honi chahiye.

Amount of Monetary Benefit Dispersed

StagesAmount
Stage 1Rs.2000/- one time
Stage 2Rs.1000/- one time
Stage 3Rs.2000/- one time
Stage 4Rs.2000/- one time
Stage 5Rs.3000/- one time
Stage 6Rs.5000/- one time

Eligibility Criteria for MKSY

How to Apply for UP Kanya Sumangala Yojana Online?

UP Kanya Sumangala Yojana ka application form bharne ke liye iske official site par visit karna hoga, Niche diye gaye Link aur bataye gaye Steps ko follow kar application form bhar sakte hai:-

  • Sabse pahle MKSY ke official website par visit kare.
  • https://mksy.up.gov.in/women_welfare/index.php
  • Iske home page par “MSKY Application Form” ke link par click kare.
  • Application form aapke samne open ho jayega.
  • Jise aap print kar ke, Bhar sakte hai.
  • Form bharne ke bad, Apne najdiki block me jakar jama kar den.
  • Form accept ho jane par aapke register no. par notification aa jayega.

Documents Required For MKSY Registration

  • Scanned copy of the Address Proof – Scan copy
  • Identity Proof
  • Scanned copy of Bank A/c No.
  • And Passbook (Mother and Father or Guardian or Self)
  • Scanned copy of Voter Id (optional)
  • Death Certificate (if mother or father is not alive)

Documents Required For MKSY Application Process

  1. Latest photograph of girl
  2. Joint family photograph
  3. Affidavit Certificate

UP Kanya Sumangala Yojana Application List

Kanya Sumangala Yojna List check karne ke liye niche diye gaye Link ka upyog kare, Aur bataye gaye Steps ko follow kare:-

  • Sabse pahle MKSY ke offical website par visit kare.
  • Iske homepage par “All district Application List” option par click kare.
  • Ab vaha New Features/Report ke tab par click kare.
  • Aur diye gaye Financial year, quarter, division chun kar submit kar den.
  • Aapke samne Stage-wise application list open ho jayega.
  • Jisme aap apna Name dund sakte hai.
MKSY Official SiteClick Here
All District Application ListClick Here

MKSY FAQs

Q. कन्या सुमंगला योजना क्या है?
ANS:- कन्या सुमंगला योजना एक योजना है। जिसे उत्तर प्रदेश सरकार द्वारा शुरू किया गया है। यह बालिका के जन्म से लेकर विवाह तक की आर्थिक सहायता प्रदान करने के लिए है।

Q. यदि दूसरी डिलीवरी में महिलाओं को जुड़वाँ बच्चियाँ हों तो क्या होगा?
ANS:-
उस स्थिति में दोनों लड़कियों को योजना का लाभ मिलेगा। अगर उनके पास पहली डिलीवरी में लड़की और दूसरी डिलीवरी में जुड़वा लड़कियां हैं। फिर तीनों लड़कियाँ इस योजना का लाभ उठा सकती हैं।

Q. अगर परिवार के द्वारा गोद ली गई लड़की है?
ANS:- इस मामले में भी, परिवार की केवल दो बालिकाओं को एक जैविक बच्चे सहित इस योजना का लाभ मिलेगा।

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

2 Comments

  • बच्ची up बोर्ड से हो या किसी और भी बोर्ड से इस योजना का लाभ मिल सकता है

Leave a Comment