Sarkari Yojna UP

UP Kaushal Vikas Yojana 2020 | कौशल विकास उत्तर प्रदेश Online Form

UP Kaushal Vikas Yojana:- Yadi aap Uttar Pradesh Sarkar dwara shuru ki gayi Kaushal Vikah Yojana ke bare me jankari prapt karna chahte hai, To is post me aap sabhi ko is Yojana ke bare me sampurn jankari pradan ki gayi hai. Aur aap yaha ke diye gaye link se UP Kaushal Vikas Yojana ke liye online avedan bhi kar sakte hai. Uttar Pradesh sarkar dwara yuvaon ko unke kaushal ke anusar parshikshan pradan karne ke udeshya se UP Kaushal Vikas Yojana ki shuruat ki gayi hai.

UP Kaushal Vikas Yojana me pradesh sarkar yuvaon ko Training centers me ke madhyam se training kar rojgar ke behatar avasar pradan karne me madad karegi. Is yojana ka mukhya udeshya yuvaon ko industrial training pradan kar self-sufficient aur skilled banana hai. Kisi desh rajya ki economy me vaha ke yuvaon ki bhagidari aham mani jati hai. Yadi kisi kshetra ke logo ko rojgar ke avasar prapt hai, To vah desh aur rajya vikas ki aor teji se aage badhne lagta hai.

Isi bat ko samjhte huye UP Kaushal Vikas Yojana ki shuruat ki gayi thi. Jo yuva apne dam par samaj me ek mukam hasil karna chahte hai, Unhe is yojana ke antargat sarkar Training centers ke madhyam se yuvaon ko training pradan karegi.

वह सभी उत्तर प्रदेश के युवा जो किसी कारणवश अपनी पढ़ाई बीच में ही छोड़ चुके है वे कौशल विकास योजना उत्तर प्रदेश के अंतर्गत प्रशिक्षण प्राप्त कर सकते है| इस योजना के लाभ लेने के लिए सभी युवाओं को इसके ऑफिसियल वेबसाइट पर ऑनलाइन आवेदन करना होगा| आवेदन करने कि पुरी जनकरी निचे शेयर कि गई है|

Uttar Pradesh Kaushal Vikas Yojana

Central Government ki BJP Sarkar 2022 tak har vyakti ko aavas aur rojgar dene ke liye sanklpit hai. Isi sankalp ko sambhav dikhane ke liye BJP ki Uttar Pradesh Sarkar ne Kaushal Vikas Yojana ki shuruat ki hai. Uttar Pradesh iske atirikt Rojgar mele ke madhyam se bhi yuvaon ko rojgar uplabdh karane ke liye iske website par Online Application form jari kiya hai.

Kaushal Vikas Mission ke madhyam se Sarkar ka mukhy udeshya yuvaon ko training karna hai jisse ki unhe rojgar ke behatar avasar prapt ho sake. Niche iski puri jankari pradan ki gayi hai, aur avedan karne ki puri jankari step by step pradan ki gayi hai.

UP Kaushal Vikas Yojana Main Purpose

  • Yuvaon ko training dekar na sirf unhe rojgar pradan karna balki unhe rojgar utpann karne ke liye prerit karna bhi hai.
  • Kaushal Vikas Yojana ke madhyam se Sarkar ka lakshy 1 Crore se adhik yuvaon ko kaushal pradan kar aatmnirbhar banana hai.
  • Sabhi yuvaon ko training pura karne ke bad Certificate pradan kiya jayega sath hi yuvaon ko puraskar bhi vitrit kiye jayenge.
  • Yojana ke antargat Yuva ek se adhik kshetra me training prapt kar sakte hai.

UP Kaushal Vikas Yojana 2020 Eligibility Criteria

Uttar Pradesh Sarkar dwara Kaushal Vikas Yojana ke antargat avedan karne ke liye kuch eligibility criteria nirdharti ki gayi hai:-

  • Aavedak ko Bharat ka nagrik hona aavashyk hona jaruri hai.
  • 12th aur Graduate athva bich me padhai chhor chuke Yuva is yojana ke tahat training prapt kar sakte hai.
  • Sabhi berojgar yuvak, yuvatia is yojana ke tahat training prapt karne ke liye eligible hai.
  • Kisi noukri vale vyakti bhi is yojana ke liye labh le sakte hai.

UP Kaushal Vikas Yojana 2020 Documents

  • Aadhar Card
  • Voter ID Card
  • Residence certificate
  • Age certificate
  • Ration card
  • Unemployment allowance registration number
  • Passport size photo
  • High-school, Inter mark sheet

How To Apply For UP Kaushal Vikas Yojana?

Yadi aap UP Kaushal Vikas Yojana ke liye avedan karna chahte hai, To niche diye gaye link aur bataye gaye Steps ko follow kar sakte hai:-

  • Sabse pahle UP Kaushal Vikas Yojana ke official site par visit kare.
  • Official Website
  • Iske homepage par “Candidate Registration” ke link par click kare.
  • Iske bad aapke samne UP Kaushal Vikas Yojana Application form khul jayega.
  • Yaha puchhi gayi sabhi jankari bhare.
  • Form bharne ke bad, Submit button par click kare.
  • Aur form ka ek print out bhi nikal len.

UP Kaushal Vikas Yojana – Click Here

UP Kaushal Vikas Yojana {Course List}

Under the UP Kaushal Vikas Yojana, training has been arranged by the state government through various courses in many fields. The details of all these verticals are given in the table.

Furniture & FittingPaint & CoatingMedia & Entertainment
BFSIInsurancePipeline
Food ProcessingBeauty and KalyanElectrical
Automotive IndustryHome DecorHealthcare
Logistic FabricationAutomotive Service
Career and LogisticsCommunication TechnologyFashion Designing
Plastic ProcessingHospitalityTourism
Power IndustryMaterial ManagementGems and Jewelery
Electronics and HardwareLeather and Sports GoodsProcess Instrumentation

पूछे गए प्रमुख प्रश्न – FAQ’s

Q.1 उत्तर प्रदेश कौशल विकास मिशन क्या है?

Ans:- उत्तर प्रदेश सरकार द्वारा चलाये जा रहे इस मिशन के अंतर्गत युवाओ को उनके कौशल के अनुसार प्रशिक्षण प्रदान किया जाता है।

Q.2 उत्तर प्रदेश कौशल विकास मिशन प्रशिक्षण केंद्र की स्थिति क्या है?      

Ans:- कौशल विकास योजना के तहत अधिकतर खोजे जाने वाले प्रशिक्षण केन्द्रो की स्थिति इस प्रकार है:-

प्रयागराजबांदीपुरइटावा
लखनऊइलाहाबादअंगुल

Q.3 कौशल विकास योजना में कितने प्रकार के कोर्स उपलब्ध है?

Ans:- इस योजना के तहत 34 क्षेत्रों में कुल 283 कार्यक्षेत्रो का समावेश किया गया है। आप उपरोक्त सारणी में प्रमुख कार्यक्षेत्रो की जानकारी ले सकते है।

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Comment