Sarkari Yojna UP

UP Sarathi Parivahan Driving License and Learner License Form Online 2020

UP Sarathi Parivahan Driving License
Written by A to Z Classes

UP Sarathi Parivahan Driving License 2020:- Yadi aap UP Driving License ke liye online apply karna chahte hai, To is Post me ham Sarathi Parivahan ke madhyam se UP Driving License se sambandhit details pradan karenge. Yaha ham aapko Ministry of Road Transport and Highways ke official website ke madhyam se Driving License Application Process aur Learner License ke liye apply karne ki puri jankari pradan karenge.

Aapko bata den Sarathi parivahan Ministry of Road Transport and Highways (सड़क परिवहन और राजमार्ग मंत्रालय) ke dwara kiye aye Uttar Pradesh ke nagriko ke liye official website hai, Jiske madhyam se aap aasani se Online Driving License ke liye apply kar sakte hai. Ab aapk driving license banbane ke liye Regional Transport Office (RTO) jana nahi hoga, Ab sabhi License process online kar di gayi hai.

UP Sarathi Parivahan Learner Driving License

Ab aap sabhi ghar baithe hi Online ke madhyam se Driving License aur Learner License ke liye application form bhar sakte hai. Iske sath hi jab aap Driving license ke liye application form bahr chuke honge, Tab iska Status bhi online check kar sakte hai. Aap sabhi Post office ke dwara Driving license ke aane ka intejar karne ke bajay Driving license token number se Driving license ki status check kar sakte hai.

Learner Driving License Application Fee

  • First class vehicle ke liye application fee Rs 150 / – nirdharti hai. Iske alava aavedak ko Rs 50 / – ka Test fee bhi dena hoga.
  • Second class vehicle jaise motorcycles aur LMV cars ka application feeRs 150 / – nirdharti hai. Iske alava aavedak ko Rs 50 / – ka Test fee bhi dena hoga.

Essential Documents

  • Aadhar Card
  • Pen card
  • Residence certificate
  • Passport size photo
  • Form No. 2 Filled
  • Medical Certificate in Form No. 1A

How to Apply for Learner Driving License Online?

Aap sabhi Sarathi Parivahan ke official website par Learner Driving License ke liye niche bataye gaye Steps ko follow kar online apply kar sakte hai:-

  • Sabse pahle niche diye gaye Link se iske official website par visit kare.
  • https://sarathi.parivahan.gov.in/sarathiservicecov12/newLL_displayNewLL.do
  • Iske Hompage ke left side me Learner License ke link par click kare.
  • Vaha click karte hi aapko application form dikhega.
  • Application form ki puri details bhar den.
  • Jaruri documents upload kar den.
  • Apna Photo aur Signature upload kare.
  • Vaha se hi LL Test Slot Booking choose kar len.
  • Aur fir Payment kar ke Form Submit kar den.

UP Sarathi Parivahan Driving License

Aap sabhi Ministry of Road Transport and Highways Department ke dwara jari karne ki Date se ek mahine ke bad Driving License ke liye aaplication form bhar sakte hai. UP Driving License ki application process Learner License application process se alag alag hai.

Isme aapko alag alag prakar ke Documents aur adhik Application fee jama karna hoga. Is post me aap sabhi ke liye isse juri puri jankari di gayi hai.

Driving License Application Fee

  • First-class vehicle ke liye Driving License ke application form ka fee Rs 700 / – hai. Is application form fee me s 200 / – grand fee, Rs 200 / – smart card fee aur Rs 300 / – test fee juda hua hai.
  • Second class vehicle jaise two-wheelers aur LMV car ke liye aaplication fee Rs 300 / – hai. Isliye sabhi aavedako ko Rs 1000 / – ka fee dena hoga.

Essential Documents

  • Form No. 4 Filled
  • Learner’s license
  • Passport size photo
  • Driving license issued by training school
  • Application fees fixed in the directory

UP Driving License Online Application Process @sarathi.parivahan.gov.in/

Sarathi Parivahan ke official website se aap sabhi Driving License ke liye online aaply kar sakte hai. Iska application form aap Learner Driving license ke bad hi bhar sakte hai.

  • Learner license jari ho jane ke 1 mahine bad hi aap iska application form bhar sakte hai.
  • Driving License form apply karne ke liye niche diye gaye link par click kare.
  • https://sarathi.parivahan.gov.in/sarathiservicecov12/newDL_ekycAuthenticat.do
  • Iske Homepage par left side me aapko Driving License ka link milega.
  • Vaha se aap iska Application form bhar sakte hai.
  • Aur jaruri documents upload kar den.
  • Payment karne ke bad, Form submit kar den.

Is tarah se aapki Driving License application process puri ho jayegi. Aap online Application form Status bhi dekh sake hai.

Ham ummid karte hai ki Sarathi Parivahan se related sari jankari prapt ho gayi hogi. Yadi aapko application form bharne me problem aa rahi ho to, Use niche comment kar ke jarur puche.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

2 Comments

Leave a Comment