Contents
Uttrakhand Swarojgar Yojna 2020 Online Registration:- Aaj ke is post me Uttarakhand ke Mukyamantri dwara suru kiye Swarojgar Yojna 2020 ke bare me puri vistarit jankari provide karaya ja raha hai, Jiske antargat Uttrakhand ke Pravasi Majduro ko Rojgar pradan karaya jayega.
To chaliye jante hain Uttrakhand Swarojgar Yojna ke bare me:-
Uttrakhand Mukyamantri Swarojgar Yojna ki shuruaat State Government Shree Trivendra Singh Rawat Ji ke dwara Pravasi Majduro ko Rojgar ka avsar pradan karne ke liye shuru ki gyi hai. Aap jante hain ki sabhi Pravasi Majdur jo Lockdown ki bajha se dusre dusre Rajyo me fase huye the wo ab apne Rajya vapas aa chuke hain, Isliye Uttrakhand Sarkar dwara un sabhi Pravasi Majduron ko is Yojna ke tahat apna khud ka Udyog kholne ke liye Protsahit karne ka Karya kiya jayega. Iske liye liye Rajya Sarkar Subsidy par Loan pradan karegi, Jisse vah apna khud ka Business shuru kar sakte hain. Jo is article me is Scheme se sambandhit sabhi Jankari jaise Application Process, Eligibility, Document Ityadi niche share ki gyi hai.
Uttarakhand Pravasi Swarojgar Yojna 2020 Online Application Form
Aap sabse pahle jan len ki Rajya Sarkar dwara Swarojgar Yojna ke tahat diye ja rahe yah Loan Nationalized Bank, Regional Rural Bank, State Cooperative Bank and other Scheduled Banks ke madhyam se provide karayi jayegi.
Swarojgar Yojna ke tahat Manufacturing me 25 Lakh Rupaye aur Seva Area me 10 Lakh Rupaye tak ki Pariyojnaon par Loan uplabdh karbaya jayega. Aur MSME Policy ke anusar Vargikrit Category (A) me Margin Money ki Maximum Limit Pariyojna ka Lagat 25%, Jabki Category B & B me 20% Aur C & D me kul Pariyojna ki Lagat 15% tak Margin Money ke roop me Mang kiya jayega.
To Uttrakhand ke jo bhi Pravasi Majdur is Swarojgar Yojna 2020 ka Labh uthane ke liye ichhuk hain vah iske liye Offline And Online dono ke madhyam se Aavedan kar sakte hain. Uttrakhand ke Pravasi Majduro ko Online Aavedan karne par Sarkar ke official site par jana hoga jiska link is page me uplabdh hai, Aur Offline Aavedan karne ke liye Application Form ko download karke apne Najdiki Bank me jakar sabhi Important Document ke sath jama karna hoga.
Uttarakhand Chief Minister Swarojgar Scheme Key Facts
Name of Scheme | Mukyamantri Swarojgar Yojna |
Started by | Chief Minister Trivendra Singh Rawat |
Beneficiary | Migrant Labour of The State |
Benefit | Loan |
Objective | Pravasi Majduro ko Loan Uplabdh karana |
Application Process | Offline / Online |
Category | Uttarakhand Government Schemes |
Official Website | https://doiuk.org/ |
Benefit of Mukhyamantri Swarojgar Yona
- Uttrakhand me vapas aaye sabhi Pravasi Majduro ko is Yojna ka Labh pradan kiye jayenge.
- Rajya ke Pravasi Majduro ko apna khud ka Business shuru karne ke liye Sarkar dwara Nationalized Bank, Regional Rural Bank, State Cooperative Bank ke madhyam se Loan ka Offer di jayegi.
- Is Yojna ke tahat Udyog Service or Business Area me Funding Suvidha uplabdh hogi.
- Uttrakhand Sarkar ke Entrepreneurial or Pravasi ko Swarojgar ke liye protsahit karegi.
- Jabki is Yojna me Pariyojna ki Maximum 25 Lakh aur Minimum 10 Lakh Rupaye hogi.
- Mukhyamantri Swarojgar Yojna ke Prachar ke liye Sarkar dwara Adhikariyon ko Nirdesh diye gye ki is Yojna ki jankari Ganb Ganb tak pahuchaya jaye, Taki Yuva is Yojna ka labh utha saken.
- Jiske liye aavedak ko sabse pahle Application form bharna aavashyak hai.
Eligibility Criteria For Swarojgar Yojna
- Aavedak ek Uttrakhand ka Mul Nivasi hona chahiye.
- Iske liye Aavedak ki Minimum Age 18 Varsh honi chahiye.
- Education Qualification ki Obligation nahi hai.
- Aavedak ya uske Family Member ko is Yojna ke tahat Sirf ek baar Benefited kiya jayega.
- Labharthi ka Selection adhik Aavedan prapt hone par Project Viability ko dekhte huye uske aadhar par kiya jayega.
- Aaveak Pichhle 5 Varsho ke andar Kendra Sarkar ya Rajya Sarkar dwara Sanchalit kisi anya Swarojgar Yojna ka Labh prapt nahi kiya ho.
- Isme SC, Tribes, Minorities, Other Backward Classes, Ex-Service Men, Women and PWDS ke Aavedako ko Competent Authority Special Category dwara Output Certificate Application Form ke sath dena hoga.
How To Apply For Uttarakhand Mukhyamantri Swarojgar Yojna 2020?
Is Yojna ke liye aavedan karne ke liye Uttrakhand ke Pravasi niche bataye gye tarike ka upyog kar sakte hain.
- Sabse pahle niche ke Link se iske official website par visit karen.
- Iske home page se Mukhyamantri Swarojgar Yojna Application PDF ko download karen.
- Aavedan Form download akrne ke baad aap isme puchhi gyi saari details ko bharen.
- Iske baad Form me sabhi Mahatvapurn Document ko Attach karen.
- Ab aap upar bataye gye kisi ek Bank me jakar jama kar den.
OFFICIAL LINK:- GO HERE
How To Apply Mukhyamantri Swarojgar Yojna offline?
- Aap Nationalized Bank, Regional Rural Bank, State Cooperative Bank me se kisi ek me jayen.
- Waha ke Adhikari se aap is Yojna ke liye aavedan form prapt karen.
- Form ko puri tarah se bharkar sabhi Important Document ko Attach karen.
- Ab aap Application Form ko us Bank me jama kar den.
- Form Bank Officer dwara Verified karne ke baad aapko Loan pradan karaya jayega.
महत्वपूर्ण जानकारी:-
Is Yojna ka mukhya udeshya hai ki Pravasi Majduro ko Swarojgar ke liye Protsahit karna hai, Jiske liye inhe Sarkar dwara Nationalized Bank, Regional Rural Bank, State Cooperative Bank ke madhyam se Loan pradan ki jayegi, Jiske jariye vah apna Business shuru kar sakte hain.
Jabki is Yojna ka Labh Sirf Pravasi Majdur jo dusre Rajyo se vapas apne Rajya aaye hain unhe pradan kiya jayega. Swarojgar Yojna 2020 ko shuru hone se yah Pravasi Majdur apne Parivar ka Jivan Yapan achhe se chala sakte hain. To Uttrakhand Chief Minister Swarojgar Yojna 2020 ka Udeshya in Logo ko Swarojgar banakar Aatmnirbhar bana hai.