Contents
Viklang Pension New List 2021:- Jaisa ki ham sabhi jante hai ki Viklang Pension Yojna Central Government ka ek Scheme hai, Jiske antargat Desh ke sabhi Viklang Logo ko unki aarthik sahayata ke liye Sarkar ki taraf se Pension di jati hai. Viklang Pension Scheme ko shuru karne ka main maksad hi hai, Desh ke Viklang Yuva aur Yuvtiyon ko aarthik madad ke liye Pension ke roop me Sahayata Rashi pradan karna. Jis se Desh me rahne bale Viklang Nagrik apne aap par aatmnirbhar ban saken.
Isliye aaj ke is article me Central Goverment ki Viklang Pension Yojna List 2021 ke bare me puri jankari di gyi hai. Sath hi Viklang Pension List me Naam check karne ke liye (State Wise) official link bhi provide karaya gya hai. Jiske madhyam se aap Viklang Pension Yojna ke liye online Aavedan bhi kar sakte hain.
Viklang Pension Yojna List 2021
Aksar dekha karte hain ki hamare Desh me bahut aise Viklang Nagrik hain, Jo kisi dusre logo par nirbhar hote hain, Fir bhi unhe kai saare samasyaon ka samna karna padta hai. Inhi sab problems ko dekhte huye Central Government ne Viklang Pension New List ko shuru kiya hai. Taki Viklang Nagriko ko kuchh sahayata mil saken.
Aapko bata den ki is Viklang Pension List ke tahat jin logo ka naam aayega, Un sabhi Viklang Labharthiyon ko 3 Mahine tak Central Government dwara Pension ke roop me 1,000 Rupaye ki sahayata Rashi di jyegi. Taki ve apne jivan ko achche se chala saken.
Viklang Pension Yojna List Overview
Us se pahle aap jan len ki Disability Pension List ke anusar Central Government Viklang Logo ko partyek mahine 200 Rupaye ki Rashi degi. Lekin Desh ke alag alag State Government dwara is Rashi me kuchh aur Dhan Rashi joda jata hai. Jis se Viklang Logo ko Minimum 400 Rupaye di jati hai. But jyadatar Rajya Sarkar is Yojna ke tahat total 500 Rupaye harek mahine de rahi hai.
Name of Scheme | Viklang Pension Yojna 2021 |
Launched By. | Central & State Government |
Beneficiary | Disabled of various states |
Objective | Financial Assistance |
Benefits | Rs. 500 /- |
Category | Central government Scheme |
Objective of Disability Pension List
Aapki jankari ke liye bata den ki Desh bhar me bahut aise Viklang Nagrik hain, Jinhe bahut se pareshniyo ka samna karna pad raha hai. Sidhe taur par kahe ki ve apni jivan ko achche se nahi chala pa rahe hain. Jaisa aapko bataya gya inhi sab samasyaon ko dekhte huye Central Govt. ne Disability Pension List 2021 jaari kiya hai. Jiska udeshya Viklang Nagriko ko Aatmnirbhar banana hai. Viklang Pension Yojna List 2021 me jin Labharthiyon ka naam shamil hoga, Unhe financial help pradan ki jayegi.
Viklang Pension Yojna Eligibility Criteria
Is Scheme ka labh uthane ke liye pahle kuchh Eligibility Criteria ko pura hoga, Jo nimnlikhit hai.
- Sabse pahle ek Bhartiye Nagrik hona anivarya hai.
- Applicant’s ka Age 18 se 59 Varsh hona chahiye.
- Is Yojna me Aavedan karne ke liye Disability percentage 40% se kam nahi hona chahiye.
- Aavedak ko Virdha Pension/ Vidhwa Pension ya kisi prakar ki koi anya Yojna ka Labh nahi leni chahiye.
- Aur yah Rural and Urban Areas me alag alag honi chahiye.
Required Document
- Aadhar Card
- Income Certificate
- Residential Proof
- Birth Certificate
- Photo Identity Proof
- Voter ID Number
- BPL Card Number
- Passport Size Photo
- Bank Account Passbook
- Disability certificate from the concerned department
How To Apply Online For Viklang Pension Scheme?
Yaha bataye gye steps aur niche diye gye State wise link ki madad se Viklang Pension Yojna ke liye online Aavedan kar sakte hain.
- Sabse pahle is Yojna ke official website par visit karen.
- Website ke home page par “Viklang Pension Apply Online” ke link par click karen.
- Click karne par Aplication Form open ho jayega.
- Form me puchhi gyi saari details ko enter karke Important Document ko upload karen.
- Last me Submit par click kar den.
- Iske baad aapko aapke Form ka Verification hone par Register Mobile Number par SMS mil jayegi.
- Phir aapke Bank Account me Pension ki Rashi bhejna shuru kar diya jayega.
Viklang Pension Yojna State Wise Official Link
State Name | Official Link |
NSAP State Dashboard | Click Here |
Andra Pradesh | Click Here |
असम | Click Here |
Arunachal Pradesh | Click Here |
Bihar | Click Here |
Chandigarh | Click Here |
Chhattisgarh | Click Here |
Delhi | Click Here |
Gujarat | Click Here |
Himachal Pradesh | Click Here |
Haryana | Click Here |
Jharkhand | Click Here |
Karnataka | Click Here |
Kerala | Click Here |
Madhya Pradesh | Click Here |
Maharashtra | Click Here |
Odisha | Click Here |
Punjab | Click Here |
Rajasthan | Click Here |
Tamil Nadu | Click Here |
Sikkim | Click Here |
Uttar Pradesh | Click Here |
Uttrakhand | Click Here |
Goa | Click Here |
West Bengal | Click Here |
Telangana | Click Here |
We hope, Aap sabhi ke liye yah article kafi upyogi raha hoga. Agar aapke paas is Yojna se related abhi bhi koi saval hai to niche comment box ke through puchh sakte hain.
Please hme Silva dijiye
Hello sir I,am vivek
Mujhe jarurat hai pension ka
From bihar