Bihar Ration Card Apply Online 2020:- Yadi aap Bihar Rajya ka ek Nagrik hain aur aapke pass Ration Card nahi hai, ya phir New Ration Card banbana chahte hain to ab aapko iske Application Form bharne ke liye kahi jane ki aavashyakta nahi hai, Aap apne Ghar baithe Bihar Ration Card 2020 ke liye aavedan kar sakte hain.
Government of Bihar ke dwara Bihar Ration Card banane ki prakriya ko aaj kal bahut hi aasan kar diya hai, Ab Rajya ke Nagrik Food and Consumer Protection Department ke official Portal par jakar khud se New Ration Card ke liye apply kar sakte hain. Jiske liye hamne is article me saari jankari jaise Application Process, Eligibility Criteria, Important Document Ityadi share kiya hai.
Bihar Ration Card Online Aavedan Form 2020
To Bihar Rajya ke jo bhi ichhuk Labharthi is Yojna ke antargat New Ration Card banbana chate hain ya phir Purane Ration Card ka Renewal karna chahte hain, To Food and Consumer Protection Department ke official site se online Application Form jama kar sakte hain, Jiska official link is page me niche provide karaya gya hai.
Aap sabhi ko pata hai ki Other Wise kisi bhi Rajya ke Nagrik ho uske liye Ration Card bahut hi mahatvapurn Doucment hota hai, Isliye Bihar Rajya ke jo bhi Garib ya Amir Nagrik abhi tak Ration Card ke liye aavedan nahi kiye hain, To ve jitna jald ho sake Application Form bhar sakte hain.
Kyonki Bihar Ration Card banbane ke liye ab koi Sarkari Karyalaya me jane ki aavashyakta nahi hai. Aise bhi Food Department and Bihar Sarkar dwara APL / BPL Ration Card Labharthi ki aarthik sthiti ke anusar banaye jate hain. To Rajya ke jin Logo ki Age 18 Varsh se adhik hain wo Bihar Ration Card ke liye aavedan kar sakte hain.
Bihar Ration Card 2020 – Overview
Name of Scheme | Bihar Ration Card |
Department | Food and Consumer Protection Department |
Benefit | State citizen |
Objective | Uchit Mulya Par Food Grain Pradan Karna |
Application Process | Online |
Overview | http://sfc.bihar.gov.in/login.htm |
Types of Bihar Ration Card 2020
Aapko bata den ki Bihar Ration Card Three Types ke hote hain jo nimnlikhit hai:-
- APL Ration Card
- BPL Ration Card
- AAY Ration Card
- APL Ration Card:- APL Ration Card Rajya ke un Parivaro ko di jati hai jo Garibi Rekha se niche hain, Jinka Annual Income 10,000 Rupaye se kam hai. Aur is Ration Card ka Colour Orange hota hai.
- BPL Ration Card:- BPL Ration Card un Parivaro ko di jati hai jo bahut hi jyada Garib hain, Un Logo ke liye yah Ration Card jaari ki jati hai, Is Ration Card ka Colour Red hota hai.
- AAY Ration Card:- Yah Ration Card Rajya ke Kisi bhi Nagrik ke Parivar ki Sthiti aur Income ke aadhar par pradan ki jati hai, Jis Card ka Colour Yellow hota hai.
Objective of Bihar Ration Card 2020
Bihar Sarkar ke dwara jaari kiye gye yah Bihar Ration Card ke madhyam se Sarkari Ration Store se Food Grain jaise Wheat, Rice, Sugar, Kerosene ityadi jaise Samman Ration Card Dharak ko Uchit Mulya par uplabdh karaye jayenge.
Rajya ke jo bhi Nagrik ki aarthik sthiti kamjor hai ya apne Parivar ka Jivan Yapan ke liye Food Grain nahi khrid sakte hain, To ve is Ration Card ke madhyam se Kam Rates par Grain khrid sakte hain, Aur apne Parivar ka Jivan achhe se chala sakte hain.
To is Ration Card ka mukhya udeshya hai ki Rajya ke Nagriko ko pahle Ration Card banane ke liye kisi Sarkari Office me jana padta tha, Lekin vah ab apne ghar baithe Ration Card ke liye Online Aavedan kar sakte hain, Jisse unki kafi Samay ki bachat bhi hogi. Aur Ration Card ke jariye Sarkari Ration Store se sabhi aavashyak Food Ingredient (खाद्य पदार्थ) aasani se Kam Price par khrid sakte hain.
Benefit of Ration Card Bihar
- Aap Ration Card ka upyog ek Identity Card ke roop me kar sakte hain.
- Voter Id, Driving License jaise aur bhi kai mahatvapurn kaamo me Ration Card Use kar sakte hain.
- Ration Card se aap Sarkari Ration Store se aavashyak Chije Uchit Mulya par khrid sakte hain.
- Aap Ration Card ke jariye Power Connection bhi le sakte hain.
- Ration Card ke liye aavedan aap apne Ghar baithe online madhyam se kar sakte hain.
Eligibility & Document For Bihar Ration Card
- Applicant Must be Permanent Resident of Bihar
- Aadhar Card
- Postal Address
- Income Certificate
- mobile Number
- LPG Details
- Passport Size Photo
How To Apply For Bihar Ration Card 2020?
Bihar ke jo bhi Labharthi New Ration Card banbane ke liye ichhuk hain ve Online and Offline dono tarah se aavedan kar sakte hain. Jiske liye niche step by step tarika batlaya gya hai.
- Aap niche diye gye link se iske official website par visit akren.
- http://sfc.bihar.gov.in/
- Iske home page aap User Name, Password aur Captcha Code enter karke Log.in karen.
- Iske baad Bihar Ration Card Form ke link ko search karen aur us link par click karen.
- Click karne ke baad Application Form open ho jayega.
- Aap is Form ko puri tarah se bharne ke baad submit par click kar den.
Offline Application Form:-
- Offline bharne ke liye aap niche se Ration Card Application Form ko download karen.
- Download karke ek Print out nikal len.
- Isme puchhi gyi saari details ko sahi se bharen.
- Ab Application form bharne ke baad sabhi Document ko ek sath karen.
- Iske baad apne Form ko Iske Deparment Office me jakar jama kar den.
Official Website | Click Here |
Download Ration Card Application Form | Download Form |