Sarkari Yojna

Delhi Pravasi Majdur Registration Form घर वापसी www.delhishelterboard.in

Written by A to Z Classes

Delhi Pravasi Registration Form 2020:- Hello Friends, Delhi Sarkar ne pravasi majduro aur students ko ghar laane ya delhi se jaane ke liye yojna chala rahia hai jsike bare me puri jankari yahan par share ki ja rahi hai. To yadi aap aap lockdown ke karan delhi me fase hue hain ya kisi dusre state me fase hue hain aur delhi aana chahte hain to is form ko bhar sakte hain. Yahan par iske liye puri jankari di ja rahi hai. Yeh yojna delhi ke CM Arvind Kejriwal ji ke dwara shuru ki gayi hai taki sabhi pravasi majdur aur koi any vyakti apne ghar ko laut sake is lockdown ki stthiti me. To jo bhi Delhi pravasi apne rajy delhi aana chahte hain wo bhi is form ko bhar sakte hain. Covid 19 ke chalte sabhi pravasi majdur kafi pareshan hai aur ve apn apne state lautna chahte hain. Kendra sarkar ne iske liye notice nikal diya hai ki jo bhi pravasi apne ghar jana chahte hain ve special shramik train ke jariye ghar ko laut sakte hain. To us train me aapki booking ho sake iske liye aapko registration karwana hoga ya aap hlpline number par baat kar sakte hain. Delhi Govt ne helpline number bhi jaari kiye hain jinki jankari bhi niche update ki gyi hai.

To aap sabhi jaante hi hain ki lockdown ko teesri baar 2 saptah ke liye badha diya gya hai aur abhi ye 17 May tak hai. Aise me jo bhi pravasi majdur hain jo daily kamate aur khate the unhe kafi pareshani ka samna karna pad raha hai. Ve abhi jaldi se jaldi apne ghar lautna chahte hain. Aur iske Delhi sarkar registration karwa rahi hai taki unhe pata chal sake ki kitne majdur ko ghar jana hai aur kitne ko vapas delhi aana hai. Iske liye official site delhishelterboard.in/covid19/migrant-info.php, www.delhi.gov.in, epass.jansamvad.org par visit kiya ja sakta hai.

दूसरे राज्य में फंसे प्रवासी श्रमिक अब पंजीकरण फार्म भरकर वापस दिल्ली आ सकते हैं। आवेदक आधिकारिक वेबसाइट www.delhishelterboard.in पर फॉर्म भर सकते हैं 

दिल्ली प्रवासी श्रमिक पंजीकरण ऑनलाइन

To aap bhi yadi apne ghar jana chahte hain Delhi se to is article ko pura padhen. Delhi CM ne dusre rajyo me fase hue majduron ke liye दिल्ली प्रवासी श्रमिक वापसी पंजीकरण फॉर्म योजना shuru ki hai. Iske liye helpline number par call kiya ja sakta hai ya phir webiste par visit kiya ja sakta hai. India ke Grih Mantralay ne lockdown me pravasi majduron ke ghar vapsi ke liye guidelines jaari kiye hain.

Iske liye state govt ko Nodal officer niyukt karne hain aur unhe ye jimmedari deni hai ki logon ko ghar vapas laaya jaye. Iske liye sharmik special train chalayi ja rahi hai. To aap bhi is lockdown me kahi fase hue hain aur vapas Delhi ya apne ghar aana chahte hain to is form ko bhar sakte hain.

Delhi Jaane Ke Liye Registration Ki Jankari

उच्च प्राधिकारीदिल्ली सरकार
विभागश्रम आयुक्त, दिल्ली सरकार NCT
योजना का नामप्रवासी यात्रा पंजिकरण COVID-19 ऑनलाइन फॉर्म
योजना घोषितसीएम अरविंद केजरीवाल
उद्देश्यअन्य राज्यों में फंसे दिल्ली के लोगों की वापसी
लाभार्थीमजदूर, छात्र, यात्री, तीर्थयात्रीऔर अन्य व्यक्ति
पंजीकरण मोडऑनलाइन
ऑफिसियल वेबसाइटlabour.delhi.gov.in और 
www.delhishelterboard.in

दिल्ली प्रवासी पंजिकरण 2020

Bahar fase hue logon ke liye Grih Mantralay ne pahle hi guidelinse jaari kiya hai aur iske anusar Majdur diwas ke din se yani ki 1 May se sabhi pravasi majduron, tourist, students ityadi jo lockdown ke karan dusre rajy me fase hue hain unhe apne rajy vapas laya jayega. Iske liye train aur bus ki sahayta li jayegi. Sarkar ne iske liye shramik special train bhi chalana shuru kar diya hai jo daily bahut saare majduron ko apne ghar vapas le ja rahi hai. Iske sahi se sanchalan ke liye state govt ne kuchh nodal adhikari bhi niyukt kiye hain jo isme help kar sakte hain. To aap bhi nodal adhikari se baat karke apne ghar ko laut sakte hain. Jyada jankari official site par uplabdh hogi.

दिल्ली यात्रा के लिए पंजीकरण कौन कर सकता है?

  • प्रवासी मजदूर (Migrant Worker)
  • विद्यार्थी (Student)
  • पर्यटक ( Tourist)
  • अन्य पेशेवर ( other Professional)

Delhi Pravasi Majdur Registration Form Kaise Bharen?

  • Sabse pahle official webiste https://delhishelterboard.in/ par visit karen.
  • Iske baad iske homepage par Migrants Movement ke link par click karen.
  • Ab ek naya page open ho jayega.
  • Apne bare me jankari yahan par bharen.
  • Uske baad select karen ki aapkao kaha se kahan jana hai.
  • Ant me is form ko submit kar den.
  • Direct link niche ke box me diya gya hai.
रजिस्ट्रेशन फॉर्म भरेंयहाँ क्लिक करें
ऑफिसियल वेबसाइटयहाँ क्लिक करें

Kisi tarah ki sahayta ke liye aap niche ke helplne number par contact kar sakte hain. Iske timing ke anusar aap number par call kar sakte hain.

Helpline No.(1)   +91-9555363032 (9:00 AM to 2:00 PM)
Helpline No.(2)   +91-9717999263 (2:00 PM to 6:00 PM)

दिल्ली मजदुर पंजीकरण सेवा के लिए विवरण

  • चलने से पहले ट्रेनों और बसों को को स्वच्छ किया जाएगा|
  • यात्रा से पहले स्क्रीनिंग की जाएगी|
  • यात्रा करते समय सभी यात्रियों को सोशल डिस्टेंसिंग का पालन करना होगा|
  • आपको मास्क पहनना होगा और अपनी हाइजीन का ध्यान रखना होगा|
  • आपके पहुंचने के बाद 14 दिनों के लिए घर में संगरोध कर दिया जाएगा|
  • यदि आप नियमों का पालन नहीं करते हैं तो सख्त कार्रवाई की जाएगी|

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

17 Comments

Leave a Reply to Raju Pal X