Contents
UIDAI E-Aadhar Card Online Download:- Hello Friends, E-Aadhar Card ko online download karne ke liye kafi aasan kar diya gya hai. Desh ke jin bhi Logo ne Unique Identification Authority of India ke pass apna Aadhar Card banane ke liye aavedan kiya hai, Lekin abhi tak unka Aadhar Card nahi aya hai ya phir unka Aadhar Card kahi gum ho gya hai. To aap Unique Identification Authority of India ke official website par jakar apna Aadhar Card kafi aasani se online download kar sakte hain.
Aap sabhi ko pata hai ki aaj ke samay me har Vyakti ke liye Aadhar Card ek bahut hi mahatvapurn Document me se ek hai, Jiska upyog lagbhag sabhi Sarkari ya Private Kamo me kiya jata hai. Jise jyadatar Log Bharat me Important Card ya Identity Document ko apne Purse me hi rakhte hain, Jiske babjud bahut baar Purse Gum ho jata hai, Isi samasya ko samadhan karne ke liye aap E-Aadhar Card ko download kar sakte hain.
Aise to bahut Log hain jo Aadhar Card ko gum hone par Common Service Center (CSC) me jakar online download kar sakte hain, Jiske liye unhe kam se kam 100 Rupaye dene hote hain. Lekin aaj ke is article me aap sabhi ko UIDAI E-Aadhar Card online download karne ke liye puri jankari diya ja raha hai, Sath hi iske official portal ka link bhi niche provide karaya jayega.
E-Aadhar Card Online Download की जानकारी
Jaisa aapko bataya gya ki aaj ke samay me Aadhar Card har vyakti ke pass hona aanivarya hai, Kyonki Aadhar Card ke bina koi Sarkari Work nahi ho sakta hai, Jaha dekha jaye to waha Aadhar Card ki jarurat padti hai. Isliye Desh ki har Nagrik ke pass apna Aadhar Card hona aavashyak hai,
Aur Desh ke Nagriko ko Sarkar dwara di ja rahi Kalyankari Suvidhayon ka Labh lene ke liye bhi Nagrik ke pass apna Aadhar Card ki aavashyakta hai. Aadhar Card kis bhi Nagrik ke Address and Identity Card ka Certificate hota hai, Aur jo Aadhar Card me 12 Digit Number hain jise ek Unique Identification Authority of India (UIDAI) dwara jaari ki jati hai.
UIDAI Aadhar Card Online Download
Jab koi Labharthi pahli baar Aadhar Card ke liye aavedan karte hain to aavedan karne ke baad ek Rashid pradan kiya jata hai, Jiske madhyam se Aadhar Card online download kiya ja sakta hai. To yadi aapne bhi pahli baar Aadhar Card banbaya hai to Grahak Seva Kendra se mili Rashid ke dwara aap apne Aadhar Card ko online download kar sakte hain.
Aap apna Aadhar Card online download karne ke liye is post me bataye gye tarike ko follow karke E-Aadhar Card download kar sakte hain, Lekin aapke pass iske liye Laptop Computer ya Mobile aur Internet Connection ki vayashtha jarur honi chahiye.
Key Point of E Aadhaar Download Online 2020
Name of Scheme | E-Aadhar Download Online |
Department | Unique Identification Authority of India (UIDAI) |
Beneficiary | Indian citizen |
Download Process | Online |
Official Website | https://uidai.gov.in/ |
How to download E-Aadhaar Card from the Internet?
Unique Identification Authority of India (UIDAI) ke official website se E-Aadhar Card ko online download karne ke liye aap three types ka upyog kar sakte hain, Jo is post me niche batlaya gya hai.
- Sabse pahle apne Mobile ya Laptop ke Chorme Browser ko open karke “Aadhaar Card Download” Type karke Search karen.
- Iske baad aap Search Result me eaadhaar.uidai.gov.in Website show ho jayega.
- Aap ispar click karen, Aur Download Aadhar Section ke option show ho jayega jo niche di gyi hai.
- By. Adhaar Number
- By. Enrollment Number
- By. Virtual ID
Note:- Yadi aapka Mobile Number aapke Aadhar Card se Link hai tabhi aap Aadhar Card online download kar sakte hain.
1. Aadhar Card Download by Aadhaar Number
- Aap sabse pahle UIDAI ke Website se Aadhar Number par click karen.
- Ab apna 12 Digit Aadhar Number ko Box me enter karen.
- Iske baad Captcha Code ko enter karke Send OTP par Click kar den.
- Ab aapke Register Mobile No. par ek OTP aayega, OTP ko enter karke Aadhar Card ko download kar sakte hain.
2. Aadhar Card Download by Enrollment Number
Aap Aadhar Card ko download karne ke liye Enrollment Number bale option par click karen.
- Sabse pahle aap 14 Digit Code ko enter karen, Yah Number aapko diye gye Rashid me mil jayega, Ya aap jaha se Aadhar Card banbaye hain waha mil jayegi.
- Ab aap Captcha Code enter karke Send OTP par click karen.
- Ab aapke Aadhar Card se Link Mobile No. par OTP aayega, OTP ko enter karke aadhar Card ko download kar len.
3. Aadhar Card Download by Virtual ID
Aadhar Card online download karne ke liye aap Virtual ID par click karen, Yani 3 No. Option par click karen.
- Yaha par aapko 16 Digit Code ko sabse pahle enter karna hai.
- Iske baad Captcha Code enter karke Send OTP par click karen.
- Register No. par OTP aane ke baad ise enter karen, Aur Aadhar Card ko download karen.
How to know Aadhaar Card PDF Password?
E-Aadhar Card Download karte samay Download ki gyi Aadhar Card ki PDF ko aap bina Password ko nahi khol sakte hain.
- Aadhar PDF ka Password aapke Naam aur DOB ko milakar banaya jata hai.
- Aadhar PDF Password aapke Naam ke pahle Four Letter Aur DOB ko milakar banaya jayega.
Example:-
- Aapka Naam Rakesh Kumar hai, Aapka DOB 1996 itna hai, To aapka Password RAKE1996 hoga.
- Yadi aapka Naam kisi bhi Letter me ho, Aur aapka DOB kitna bhi ho to aapke Naam ka Four Letter ke sath DOB ko Sath me milaya jayega.
Aap isi prakar ki aur bhi jankari ko prapt karne ke liye is page par continue visit karte rahe, Agar aapke pass isse judi aur koi Saval hai to niche diye gye comment box se puchh sakte hain.