Contents
LPG Gas Check Subsidy Scheme 2020:- Jaisa ki aap sabhi jante hain ki COVID-19 Mahamari ke karan pure Bharat me Lockdown ki samasya chal rahi hai, Isi bich Kendra Sakar dwara Poor Welfare Scheme (PWS) ke tahat PM Ujjwala Yojna ke Labharthiyo ko 3 Cylinder Free me diya ja raha hai. Iske liye aap sabhi ko is post ke madhyam se bataya ja raha hai ki aap kisi bhi LPG Distributor Company ke Consumers hain to kis prakar se LPG Subsidy check kar sakte hain.
Aise bhi Bharat Sarkar dwara sabhi Nagriko ko Domestic Gas Cylinder par Subsidy di jati hai, Jo Gas Subsidy Direct Cash Transfer Scheme ke tahat Labharthi ke Bank Account me aati hai. Lekin kuchh baar aisa bhi hua hai ki Gas Consumers ko milne bali Subsidy kisi aur ke Bank Account me chala gya ho, Ya fir Gas Subsidy unke Account par aa hi nahi rahi hai. Yadi aapke sath bhi aisa koi samasya aati hai to aap apni Gas Subsidy Status ghar baithe Online Check kar sakte hain, Jiske bare me saari jankari aapko is page me mil jayegi.
LPG Gas Subsidy Scheme के बारे में जानकारी
Jaisa ki aap sabhi ko pata hai ki Pradhan Mantri Ujjwala Yojna ke antargat aane bale sabhi Gas Connection aur jo purane Gas Connection chal rahe the sabhi par Gas Subsidy milne ka pravdhan kar diya gya hai, Gharo me upyog kiye jane bali Gas Cylinder ke upar Sarkar ke dwara Rs. 200 Rupaye ke aas pass ki Subsidy di jati hai. Jo ki yah Subsidy Kendra Sarkar aur Gas Distribution Company dono ke dwara sabhi Customers ko diya jata hai.
Is Scheme ke antargat jo log apni Subsidy prapt nahi karna chahte hain vah apni ichha ke anusar Gas Cylinder par milne bali Subsidy ko chhod sakte hain, Lekin jo log is Subsidy ko chhodna chahte hain to aapko bata den ki aapke ghar me jitne bhi Cyliender aate hain uske upar aapko Fixed Subsidy di jati hai, Aur ha Gharelu Gas Cylinder par Subsidy Sarkar ke dwara Pahal Yojna ke tahat di jati hai. Jo aapko niche bataya gya hai.
What is Pahal Scheme, (क्या है पहल योजना)
Aapko bata den ki PAHAL (DBTL) Scheme ki shuruaat 1 June 2016 ko kiya gya tha jisse abhi tak is Yojna ke tahat 231 District ko Cover kiya ja chuka hai.
Aur LPG Cyliender par Subsidy ka labh prapt karne ke liye Costumers ke pass apna Aadhar Card hona bahut hi aavashyak hai, Jo Sarkar ne Pahal Scheme ki vyapak samiksha ki hai, Iske baad samne aane bale sabhi problems ki janch karne ke baad Pahal Scheme ko launch kiya gya hai.
Options To Get LPG Subsidy, (एलपीजी सब्सिडी प्राप्त करने के विकल्प)
Pahal Yojna ke sansodhan me LPG Consumer apne Bank Accounte me 2 Prakar se Gas par milne bali Subsidy ko prapat kar sakte hain.
- LPG Gas Subsidy prapt karne ke liye Consumer ke pass Aadhar Card ke sath Bank Account Number aur LPG Consumer Number ko usme active karna hoga.
- Aur LPG Consumer jinke pass Aadhar Card nahi to vah Aadhar ke upyog kiye bina apne Bank Account me LPG Gas Subsidy ko prapt kar sakte hain.
इस आप्शन का उपयोग कर सकते हैं.
- LPG Date Base me Captcher kiye gye LPG Distributor ko Bank Account ki puri jankari deni hogi.
- Aur Bank ko LPG Consumer Number 17 Anko ki LPG ID bhi sath me deni hogi.
How Can I Check The Status of My Gas Subsidy Online?
Aapko Bharat Gas HP Gas Aur Indane Gas ki Subsidy online check karne ke liye niche step by step tarika batlaya gya hai, Aur sabhi ka official link bhi provide karaya gya hai.
CHECK HP GAS SUBSIDY, CHECK BHARAT GAS SUBSIDY, CHECK INDANE GAS SUBSIDY STATUS:-
आपको यहाँ पर बताये गए स्टेप को फॉलो करके उसी के ऑफिसियल वेबसाइट पर विजिट करना है, जिसका आप कनेक्शन लिए हुए हैं.
- Yadi aap BHARAT GAS, HP GAS Ya INDANE GAS inme se koi ek Connection ka Costumer hain to niche diye gye link se uske official website par visit karen.
- Iske baad home page se aapko my.lpg bale Option par click karna hai.
- Ab aap Check Pahal Status ke option par click karen.
- Click karne ke baad yYaha par aapko apna Aadhar No. Aur 17 Anko ki LPG ID And Mobile No. ke sath enter karna hai.
- Aapke paas Aadhar Card uplabdh nahi hai to aap apne State, District, Distributor and Customer Number enter kar sakte hain.
- Enter karke Process par click kar den, Aapki Gas Subsidy aapke screen par show ho jayega.
Important Link:-
LPG Gas Company | Official Website |
BHARAT GAS | CLICK HERE |
HP GAS | CLICK HERE |
INDANE GAS | CLICK HERE |
Bata den ki LPG Gas Subsidy, Pahal, DBTL Subsidy Scheme Pure World bhar me sabse badi Subsidy Scheme ban gyi hai, Jiske tahat Desh ke Millions Nagriko ko Subsidy pradan ki jati hai, Jiska Status online check karne ke liye upar me method batlaya gya hai.
How To Link Aadhar Card With LPG?
Yadi aap bhi apne LPG Connection ke sath Aadhar Card ko Link karna chahte hain to niche bataye gye tarike ko follow karen.
- Apne Gas Distributor ke pass Applicatin Form bharne ke baad.
- Subsidy Applicatin Form ko apne LPG GAS Company ki website se download karen.
- Iske Form ka ek print out nikal len.
- Ise puri tarah se bharkar apne Distributor Office me jama kar den.
HP GAS Subsidy Form Download | Download Here |
Bharat Gas Subsidy Form Download | Download Here |
Indane Gas Subsidy Form Download | Download Here |
Contact Number:- 18000-2333-555
IVRS System:-
Sabhi District Ke Lye Sabhi Company Ka Alag Alag IVRS CODE Hota Hai Aap Company Ke Official Website Par Jakar Search Kar Sakte Hain.
- Bharat Gas:- IVRS CODE को इस लिंक से खोज सकते हैं.
- HP Gas:- IVRS CODE को इस लिंक से खोज सकते हैं.
- Indane Gas:- IVRS CODE को इस लिंक की सहायता से खोज सकते हैं.
SMS Through:-
Agar aapka Mobile Number Gas Company ke sath Registred hai to aap Gas Company ke SMS No. par Aadhar Card ko apne Consumer No. ke sath Link kar sakte hain.
1. Indane Gas SMS:- http://indane.co.in/sms_ivrs.php
2. Bharat Gas SMS:- 57333, 52725
3. HP Gas SMS :- Link Aadhaar Card HP Gas Through SMS:
मैं अपना LPG Subsidy Link Account कैसे जान सकता हूं
Yadi aapko XXX.XX credited to A/C XXXXXXXXXX on date DD.MM.YYYY is prakar ka Mobile No. par show ho raha hai to aapka Bank Account Gas Subsidy se Link hai, Aapko Gas Subsidy mil rahi hai. Agar Message nahi aata hai to aapko check karne ki aavashyakta hai.
Aap is prakar se apna kisi bhi Gas Connection ka Subsidy online check kar sakte hain, Agar aapko kisi bhi Gas Company ka Subsidy check karne me kisi prakar ki problem aati hai to aap comment box ke jariye puchh sakte hain.