Contents
MP Medhavi Vidyārthī Yojna Online Application Form:- Hello Guys, Madhya Pradesh ke sabhi Students ke liye MP Chief Minister dwara ek Scheme Launch kiya gya hai. Bata den ki Madhya Pradesh ke rahne bale Students ko Higher Education prapt karne karne ke liye Medhavi Vidyarthi Yojna ko shuru kiya gya hai, Is Yojna ke antargat Rajya ke jin Medhavi Chhatron ne Board of Secondary Education se Class 12th ki Examination me 70% ya usse adhik Marks prapt kiye hain, Aur jo Students ne CBSE / ICSE Board dwara aayojit 12th Intermediate ki Board Examination me 85% ya usse adhik Marks prapt kiye hain. To unhe Graduate Level par High Education me Admission lene ke liye Teaching Fees Rajya Sarkar dwara pradan kiya jayega.
To MP ke honhar Student ke liye ek sunahra mauka pradan kiya gya hai jo Studetns ko apna Future banane ke liye bahut kaam karegi. Jaisa ki aapko pata hai ki bahut se aise Students hai jo apni Padhai me bahut achhe hote hain, Lekin ve apni Garibi aur Paiso ki dikkat ke karan aage nahi badh pate hain. Aise Students ko pichhe na rahne ke liye MP Government me is Yojna ko lagu karne ka fishal liya hai, Jis se us Students ko Financial Help pradan ki jayegi aur uske Future ko ujjbal banaya jayega.
Medhavi Chhatra Yojana Online Registration Form 2022
Medhavi Chhatra Yojna (MMVY) ke that Raya ke Medhavi Chhatron ko Graduate Level par Education prapt karne ke liye Madhya Pradesh Sarkar dwara aarthik shayata pradan ki jayegi. Aur Madhya Pradesh Medhavi Chhatra Yojna ke antargat Graduation Level Teaching Fees ke roop me Admission Fees aur Actual Charge (Mes Fees and Cochin Money) ko chhodkar jo Fees Regulatory Committee Madhya Pradesh Private University Regulator aayog aur Bharat Sarkar / State Government dwara nirdharit kiya gya hai.
Madhya Pradesh ke jo bhi Students Rajya Sarkar dwara diye gye Education ke liye sahayata Rashi prapt karne ke liye ichhuk hain, To Medhavi Vidyarthi Yojna ke official website par jakar apna Registration kar sakte hain, Uske baad is Yojna ka Labh utha sakte hain.
(MMVY) Medhavi Chhatra Yojana 2022 Highlights
Article Name | MMVY Scheme 2020 |
Name of Scheme | Mukhyamantri Mdehavi Chhatra Scheme |
Started by | State Government |
Beneficiary | Rajya ke Medhavi Chhatra |
Objective | Higher Education Ke Liye Financial Help Prdan Karna |
Application Process | Online Mode |
Official Website | http://scholarshipportal.mp.nic.in/Index.aspx |
Benefit of Medhavi Vidyarthi Scheme
- Is Scheme ka Labh Rajya ke Medhavi Chhatra ko pradan kiya jayega.
- Rajya ke jo bhi Students Board of Secondary Education se 12th Exam me 70% adhik Marks prapt kiye hain to unke aage ki Padhai ka kharch Rajya Sarkar dwara kiya jayega.
- Aur jo Students CBSE /ISCE Board se 12th Board Exam me 85% Marks prapt kiye hain, Unhe Graduate Level me Admission ke liye Aavedan Fees State Government dwara vahan kiya jayega.
- Is Yojna ke tahat Government Medical, Engineering, Management, Law, Private Sector sabhi Medical Engineering Colleges ya anya Educational Institutions me Admission ke liye Sarkar ki taraf se Sahayata Rashi pradan ki jayegi.
- Rajya ke sabhi Medhavi Chhatra ko Scholarship provide karke unke Future ko ujjval banana, Aur Desh ko Progress ki taraf lekar jana hai.
- Jo bhi Labharthi is Yojna ka Labh uthane ke liye ichhuk hain ve official site par jakar aavedan kar sakte hain.
Eligibiltiy Criteria For Medhavi Scholarship
- Engineering For Jee Mains Exam me Rank 15,0000 ke that hone par Rajya Sarkar dwara Government Engineering / College me Admisson lene par puri Fess aur Aided Private College me Admission lene par Maximum 15,0000 Rupaye /- Actual Tuition Fee me se jo bhi kam ho prdan karegi.
- Medical ki Padhai ke liye NEET or Medical or Dental Colleges of State Government ke MBBS / BDS Course or MP me sthit kisi Private Medical College se MBBS Course me Admission par bhi Financial Help kiye jayenge.
- Method ki Padhai karne ke liye Common Law Admission Test or Self ke dwara aayojit Exam ke madhyam se National Method Uiversities or Deshi University me Admission prapt karen ke liye Students ko is Yojna ka Labh diya jayega.
- All Universities Institutes in India me Sanchalit kiye jane bale Graduation Program or Integrated PG Program or Degree Course Jisme Master Degree ke sath Bachelor Degree bhi shamil hai. Is Course me bhi Admission lene bale Students ko Labh pradan ki jayegi.
- Rajya ke sabhi Universities / Colleges me Sanchalit sabhi Courses or Diploma Course of Polytechnic College me Admission ke liye bhi iska Labh milega.
- Aur ha Medhavi Chhatra Yojana ke that Labharthiyon ke Parivar ki Annual Income 6 Lakh Rupaye se kam honi chahiye.
Important Document
- Applicant’s Aadhar Card
- Identity Card
- Mobile Number
- Income Certificate
- Residence Certificate
- Bank Account Passbook
- 10th Passed Mark Sheet
- 12th Passed Mark Sheet
- Admission Certificate From College / University
- Passport Size Photo
How To Apply in Chief Minister Medhavi Vidyarthi Yojana?
Medhavi Chhatra Yojana ka Labh uthane ke liye Madhya Pradesh ke ichhuk Labharthi niche bataye gye step ko follow karke apna online Aavedan kar sakte hain.
- Sabse pahle is Yojna ke official site par visit karen.
- Iske main page se aap Aplication bale option par jakar Register On Portal (New Student) ke option par click karen.
- Ab aapke samne Registration Form open ho jayega.
- Registration Form me puchhi gyi sabhi Details Jankari ko enter karen.
- Aavedan form bharne ke baad Recheck karke Check Form Verification bale button par click kar den.
- Iske baad submit par click kar den, Registration karne ke baad aap User Name aur Passward ke jariye Log.in karen.
- Ab aapka Registration pura ho jayega.
Official Website:– Go Here
How To Check Mukhyamantri Medhavi Yojna Applicatin Form Status
- Iske official website par visit karen.
- Home page se Application bale Option me se Track Your Application Status ke option par click karen.
- Iske baad aap is page me apna Application ID aur Academic Year ko enter karen.
- Ab aap Show My Application bale button par click kar den.
- Aapke Screen par Application Status show ho jayega.
Madhya Pradesh ke Sabhi ichhuk Labharthi is prakar se Medhavi Vidyarthi Scholarship 2022 ke liye iske official portal par jakar online aavedan form bhar sakte hain. Yadi Form bharne me kisi prakar ki problem ho raha hai to comment box ke jariye puchh sakte hain.
Cbse students of mp kha se apply kre ???
Muje yh doubt h mne 12 th cbse s pass out ki thi 91 percent s ek sal phle aur ab me college me hu ..1 sal ho chuka h to kya me is sal 2020 me medhavi yojna ke lie apply kr skti hu???? Please answer karieye