Contents
Meri Fasal Mera Byora 2020:- Haryana Government ne Kisano ke labh ke liye Meri Fasal Mera Byora ka online registration form jari kar diya hai, Jise aap is post se check kar sakte hai. Meri Fasal Mera Byora online registration form ke liye aavedan karne ki start date 7th April 2020 hai aur last date 19th April 2020 hai. Aap last date se pahle iske official site par visit kar registration form bhar sakte hai. Meri Fasal Mera Byora yojana ki puri jankari aap yaha se prapt kar sakte hai.
Haryana Rajya ke kisan is portal me Fasal ka vivran darj karke jama bhi kar sakte hai. Yah yojana Rajya ke Mukhyamantri Manohar Lal Khattar Ji ke dwara kisano ki madad shuru ki gayi thi. Meri Fasal Mera Byora Online Registration Form village-level entrepreneurs (VLEs) ki madad se kiya ja sakta hai aur bilkul muft me kisan khud bhi form bhar sakte hai.
Yadi aap bhi Meri Fasal Mera Byora Yojana ke labh ke liye online registration karna chahte hai, To aap iske official site par visit kar sakte hai, Niche online registration karne ke liye direct link bhi provide kiya gaya hai, Aur registration karne ke liye step by step method bhi share kiya gaya hai.
मेरी फसल मेरा ब्यौरा हरियाणा 2020 Online Form
योजना | हरियाणा मेरी फसल मेरा ब्यौरा |
विभाग | किसान और कृषि किसान मंत्रालय |
उद्देश्य | किसान और खेत का पंजीकरण |
लाभार्थी | राज्य के किसान |
आवेदन की प्रक्रिया | ऑनलाइन |
ऑफिसियल वेबसाइट | https://www.fasalhry.in/ |
Haryana Sarkar 15th April 2020 se Sarso ka fasal aur 20th April 2020 se Gehu ki kharid shuru karegi. Is bar unhone ne 1.5 lakh metric tonnes gehu kharidne ka prastav kiya hai. Sarso kharidne ke liye Haryana Sarkar ne pahle hi 140 Mandio ki khoj kar li hai, Aur unhone gehu kharidne ke liye 2000 mandi, up mandi aur kharid kendra ki suchi ki ghoshna ki hai. Kisano ko sabhi navintam upadate ke liye aap official site ki janch karne ki aavashykta hai.
Meri Fasal Mera Byora – Important Details
Haryana Sarkar ne 7th April 2020 se online registration form khola hai. Application form bharne ki last date 19th April 2020 hai. Kisano ko Corona Virus Covid-19 ke sankat me madad karne ke liye Sarkar ne is prakriya ko June 2020 tak badhane ka faisla kiya hai. Registration ki latest report batati hai ki 60% Kisano ne saflatapurvak online portal par registration kiya hai aur 40% abhi bhi registration ke liye aavedan karne ke liye sesh hai.
Name of the scheme | Meri Fasal Mera Byora, Haryana |
Application Method | Online |
Beneficiary | Farmers |
Launched by | Chief Minister, Manohar Lal Khattar Ji |
Main Purpose | Farmers registration |
Last Date to apply | 19th April 2020 |
Toll-free | 1800-180-2060 (9am-7pm) |
Official website | https://fasalhry.in/ |
मेरी फसल मेरा ब्यौरा हरियाणा Online Registration
Haryana Kisan official website par registration karke sidh alag alag labho ka labh utha sakte hai. Yaha un labho ki suchi di gayi hai jo kisan registration se prapt kar sakte hai:-
- Kisano ko agrilculture ke bre me satik jankari prdan karna.
- Kisano ko food, seeds, loans and agricultural equipment ki sahayata prdan karke sahayata kare.
- natural disaster or poor weather conditions ke douran kisano ki sahayata aur sahi jankari pradan karna hai.
- Ek portal par sabhi Sarkari suvidhaon ki vyastha karne ke liye.
- Kisan fasal vuai aur mandiyo se sambandhit satik jankari prapt kar sakte hai.
- Sarkar ne Kisano ko protsahan rashi dene ka faisla kiya hai.
- Kisan apni fasalo ko e-Kharid mode ke madhyam se bech sakenge.
Meri Fasal Mera Byora Online Registration Form कैसे भरें?
Meri Fasal Mera Byora registration shuru ho chuka hai, Aap online aavedan karne ke liye official site jakar online kar sakte hai. Registration karne ke liye niche diye gaye Steps ko follow kare aur apna Registration khud kar sakte hai:-
- Sabse pahle official site par visit kare.
- Iske homepage par Registration ke link par click kare.
- Ab aap Registration ke liye aapko mobile no. ya aadhar card ki madad se kar sakte hai.
- Ab aapko OTP ke dwara verify kare.
- Aur ab aap apne Jamin ke bare me bataye.
- Fir aap apna Account Details de.
- Ab aap verify karke, Submit kar den.
OFFICIAL SITE = https://fasalhry.in/
List of important documents
Yojana ke safltapurvak registration ke liye kisano ke pass sabhi aavashyak documents hone chahiye. Online registration karte samay sabhi mahtvpurn documents le jane ke liye anivary hai.
- Aadhar Card
- Passport size photograph
- Copy of bank passbook
- Residential Certificate
- Land documents
- Identity proof Certificate
Is prakar aap Haryana Sakar ke dwara shuru ki gayi Meri Fasal Mera Byora ke liye online registration kar sakte hai. Yadi aapko online registration karne me koi problem aati hai, To niche comment kar ke puchh sakte hai.
Other Sarkari Yojna Hindi Me Jankari:-