Contents
MP E Uparjan Registration 2020:- Madhya Pradesh ke dwara shuru kiye gaye “MP E Uparjan” official website ke bare me puri jankari pradan karenge. Madhya Pradesh Rajya sarkar ne Rabi season ke douran samrthan mulya par Gehu kharidne ke liye MP E Uparjan portal par registration process shur kar di hai. Yadi aap bhi Sarkar dwara tay samrthan mulya par apni fasal bechna chahte hai, To aapko MP E Uparjan portal par online registration karna hoga.
MP E Uparjan portal par registration ka process 1st February 2020 se shuru ho gaya hai. Pichli bar ki tarah is bar bhi Registration ke bad Rabi ki fasal kisano se samrthan mulya par kharidi jayegi. Is varsh vibhag dwara Rabi fasal kharid process me bahut kam badlav kiye gaye hai. Is saal, Kisan MP E Uparjan mobile app ke madhyam se registration process ko bhi pura kar payenge.
MP E Uparjan – @mpeuparjan.nic.in
Krishi mandiyo dwara pichle kuch varsho me MP E Uparjan portal par online registration process puri ki gayi thi. Is process me, Kisano ko kafi kathinayion ka samna karna pada aru kuch Kisan registration bhi nahi kara sake. Iske karan kisano ko samrthan mulya se kam mulya par apni fasal bechni padi. In sabhi samsayon ko hal karne ke liye, Is bar Registration Process puri tarah se online kar di gayi hai.
Is varsh, Kisan E Uparjan ke liye public domain me e-procurement portal registration centers me registration kara sakenge. Isse vah ghar baithe e-procurement mobile app ke jariye Registration ki prakriya pura kar sakenge. Is Article me aap sabhi ko online MP E Uparjan registration process aur mobile aap download ke bare me bataynge.
Madhya Pradesh E-Uparjan Portal – Important Details
Agar aap E Uparjan portal par registration karna chahte hai, To aapko kuch important details ko jarur janna chahiye. Yaha ham kisano ki dhan rabi fasal kharid ke liye jari kiye gaye necessary instructions ka details pradan kar rahe hai:-
- Is bar Kisan Aadhar number aur Samagra ID ke jariye apna registration kara sakenge.
- Online registration karte samay, Aapko apne dwara darj ki gayi bank account information ki janch karni chahiye.
- Is registration process ko pura karne ke liye, Aapka mobile no. aadhar card se jura hona chahiye.
- MP E Uparjan portal registration karne ke bad, Aapko prapt rashid rakhni hogi.
- Yadi aapke pass Samagra ID nahi hai, To aap registration process ko pura nahi kar payenge.
Agar aapne abhi Samagra ID nahi banaya hai, To sabse pahle aapko SSSM ID banani hogi. MP Samagra ID banane ke liye niche diye gaye Link par click kare.
Create Samagra ID | Click Here |
Essential Documents For Registration
- Farmer’s Samagra ID
- MP residence certificate
- Farmer’s Aadhar Card
- Bank passbook
- Loan book (in case of bank loan)
- Bhulekh Madhya Pradesh report
How To Apply Online For MP E Uparjan Portal Online Registration
MP E Uparjan registration karne ke liye aapko iske official website par visit karna hoga, Niche diye gaye link ka upyog kare aur bataye gaye steps ko follow kare:-
- Sabse pahle iske official site par visit kare.
- http://mpeuparjan.nic.in
- Iske homepage par “Rabi 2020-21” ke link par click kare.
- Ek naya page open hoga, Jaha aapko Farmer Registration Application for Rabi Uparjan Year 2020-21” ke link par click karna hai.
- Ab vaha se aap iske liye online registration kar skate hai.
- Apne mobile no. darj kar ke puche gaye savalon ko bharne ke bad form submi kar den.
- Form submit karne ke bad application number aur acknowledgment number diya jayega.
- Is application number aur acknowledgment number ki madad se aap center ke pass apna fasal bech sakte hai.
Download MP E Uparjan Mobile App
MP E Uparjan Mobile app download karne ke liye niche diye link aur steps ko follow kar sakte hai.
- Sabse pahle apne android phone me Play store par jaye.
- Ab vaha search section me “MP E Uparjan” search kare.
- Vaha sabse pahle app ko download kar sakte hai.
MP E Uparjan Registration | Click Here |
MP E Uparjan Mobile App | Click Here |
MP E Uprjan – FAQ’s
Q.1 MP E Uparjan पोर्टल क्या है?
Ans:- यह एक ऑनलाइन पोर्टल है जिसके माध्यम से राज्य के सभी किसान ऑनलाइन पंजीकरण करके न्यूनतम समर्थन मूल्य पर अपनी फसल बेच सकेंगे।
Q.2 इस पोर्टल पर पंजीकरण के बाद किन फसलों को बेचा जा सकता है?
Ans:- इस पोर्टल पर ऑनलाइन पंजीकरण के बाद आप रबी, गेहूं, धान, कपास, खरीफ, और प्याज आदि को बेच सकेंगे।
Q.3 क्या पिछले साल पंजीकृत किसानों को इस वर्ष फिर से पंजीकरण कराना होगा?
Ans:- हां, पिछले साल पंजीकृत सभी किसानों को इस वर्ष फिर से एमपी ई अपर्जन पोर्टल पर पंजीकरण करना होगा।
Q.4 क्या ई उपार्जन पोर्टल पर पंजीकरण के बिना फसल बेची जा सकती है?
Ans:- नहीं, आप इस पोर्टल पर पंजीकरण किए बिना अपनी फसलों को न्यूनतम समर्थन मूल्य पर नहीं बेच सकते।