Contents
Hamare Bharat me aaj ke Samay me Partyek Vyakti ke liye Permanent Account Number Yani (PAN Card) ek bahut hi Mahatvapurn Document hota hai. Kyonki Desh ke jab koi Nagrik kisi bhi Bank me apna Account kholbane ya other aur koi Important Work Loan ityadi jaise ke liye Aavedan karta hai to uska apna PAN Card hona bahut hi aavashyak hai.
PAN Card Bharat me pahachan ka ek Valid Proof hota hai aur ise Desh ke Nagrik, NRI aur yaha tak ki Foreign Nationals ke liye bhi PAN Card jaari kiya ja sakta hai. Lekin in sabhi Logo ke liye Application Process alag alag hota hai.
To agar aap ek Bhartiy Nagrik hain aur apke pass apna PAN Card nahi hai to ab apne Aadhar Card ke Madhyam se Ghar Baithe PAN Card bahut hi aasani se bana sakte hain. Jiski Sabhi Process aapko is article me Provide karaya ja raha hai.
घर बैठे आधार कार्ड से पैन कार्ड कैसे बनाएं?
Aap sabhi ko bata den ki Aadhar Card ki KYC ke jariye Instant Pan Card Aavantan karne ki Suvidha Adhikarik taur par Launch kar di gayi hai. Iski Ghosna Finance Minister Nirmala Sitharaman Ji ne Thursday ko ki hai. Lekin iska Beta Version February se hi Income Tax Department ki E-Filing Website par jaari kiya ja chuka hai.
Ab Desh ke sabhi Log apna Aadhar Card ke madhyam se kuchh hi samay me apna Permanent Account Number (PAN Card) prapt kar sakte hain. Aap jan len ki iski ghosna 2020-21 ke Budget ke dauran kiya gya tha, Jo ek Pan Card hasil karne ka ek bahut hi aasan tarika hai.
Is Pan Card banane ke liye koi jyada Samay waste nahi hota hai, Desh ke koi bhi Vyakti yah kaam apne khud se kar sakta hai.
किन आवेदकों के लिए है यह सुविधा (For which applicants is this facility)
To yah Suvidha un sabhi Applicants ke liye hai, Jinke pass Valid Aadhaar Number hai. Aur jinka Mobile Number UIDAI (Unique Identification Authority of India) ke DataBase me Darj kiya ja chuka hai.
Paperless Process
Is Process me Pan Card ka Aavantan turunt hota hai, Isme koi samay nahi lagta hai. Isme Applicants ko Income Tax Department bina kisi Charge ke Electronic Pan (E-Pan) jaari karta hai.
Takes Just 10 Minute
Aadhar Based E-KYC ke madhyam se Instant Pan ka Beta Version February se hi Inocme Tax Department ki E-Filing Website par uplabdh hai, Jisme se abhi tak 6.7 Lakh se adhik Instant PAN card Taxpayers ko jaari kiye ja chuke hain. Jo ki ek PAN Card me mane to sirf 10 Minute ka Samay lagta hai.
Application Process
Instant Pan Card Ke Liye Aavedan Karna Bahut Hi Aasan Hai.
- Iske liye liye sabse pahle Income Tax Department ki E-Filing Website par jana hoga.
- Aap apna Aadhar Card Number waha par enter karen.
- Ab aapke Registered Mobile Number par ek OTP aayega jise Enter karke Submit par click kar den.
You Will Get Enrollment Number
Iski Process ko pura hone ke baad 15 Digits ka Enrollment Number diya jayega. Is Number milne par E-PAN Card ko official website se download kiya ja sakta hai.
Jabki iske alave Applicants ki Email ID par bhi E-Pan Card bheja ja sakta hai.
Important Details:-
Is Varsh 2020 me 30 June tak Aadhar Card se Pan Card ko Link karna anivarya hai, Yadi aap aisa nahi karte hain to aapka Pan Card Inoperative ho jayega, Yani ki aap iska Use nahi kar payenge. Sath hi Income Tax Department ne yah bhi kaha hai ki Pan Card ki jagha Aadhar Card No bhi Use kiya ja sakta hai.