Contents
PM Ujjwala Yojana 2020:- Bharat Sarkar ke dwara shuru ki gayi Pradhan Manti Ujjwala Yojana ke tahat is Lockdown ke chalte, Pure Bharat desh me 3 mahine tak bilkul muft Cylinder Gas uplabdh karai jayegi. Aap iski puri jankari is Post ke madhyam se prapt kar sakte hai. Pradhan Manti Ujjwala Yojana Bharat sarkar ki ek pahal hai, Jo garibi rekha se niche rahen vali mahilaye (BPL) ki madad karta hai. Jin candidates ka naam BPL List me hai, Ve Ujjawala Yojana ka labh utha sakte hai aur PM Ujjwala Yojana (PMUY) se Registration form bhar sakte hai. Jiske bad aap aap muft Cylinder Gas ke liye PMUY New BPL List me apna naam dekh sakte hai.
PM Ujjwala Scheme kendra sarkar dwara funded scheme hai, Jiska mukhya udeshya desh ke BPL parivaro ko 5 Crore (50 million) LPG Connections pradan karna hai. Aur sath hi sath Rs.1600 pratyek connection par provide kiya jayega. Bharat Sarkar dwara is Yojana ke liye Rs.8000 Crores ka Package diya gaya hai. Aap niche diye gaye Table se उज्ज्वला योजना बीपीएल न्यू लिस्ट 2020 dekh sakte hai.
Latest Update:- Lockdown के दौरान BPL परिवारों को सहायता प्रदान करने के लिए, सरकार ने अगले 3 महीनों के लिए प्रधान मंत्री उज्ज्वला योजना के सभी लाभार्थियों को 3 Free LPG Cylinder प्रदान करने की घोषणा की है| निचे इसकी पुरी डिटेल्स दि गई है|
Pradhan Mantri Ujjwala Yojana List 2020
Pradhan Mantri Ujjwala Yojana ki shuruat 1st May 2020 ko Prime Minister Narendra Modi ke dwara Balia, Uttar Pradesh me kiya gaya tha. Yah Yojana central government-funded scheme hai, Jiska udeshya hai BPL parivaro ko LPG Connection pradan karna hai. PMUY scheme vartman me sakriye hai, Aur desh ke 715 Districts ko cover karti hai. Jin logo ne Ujjwala Yojana ke tahat labh utha rahe the, Unko agle 3 mahine tak muft cylinder muhaiya karaya jayega.
PM Ujjwala Yojana 2020 par sabhi aavashyak jankari prapt karne ke liye, Aapko is diye gaye Post ko follow karna hoga. Isme sabhi mahatvpurn jankari jaise ki registration process, free gas list, eligibility criteria, a document required, etc. shamil hai.
Name of scheme | Pradhan Mantri Ujjwala Yojana |
Known As | PMUY |
Concerned Ministry | Ministry of Petroleum and Natural Gas, Govt. of India |
Year | 2020 |
Objection | 3 Month Free Gas Cylinder |
New List Status | Active |
Official web site | www.pmuy.gov.in |
Overview of PMUY 2020
Sarkar garibi rekha niche aane vali BPL parivaro ko muft me gas connection pradan kar rahi hai. Is yojana ka labh un mahilao ko milega jo abhi bhi purane indhan chulhe me lakdi jalakar khana pakati hai. Jiske karan mahilaon ka savasthya kharab hota hai. Isliye kendra sarkar ne Petroleum aur Natural Gas ministry sahyog se is Pradhan Mantri Ujjwala Yojana 2020 ki shuruat ki hai.
PM Ujjwala Yojna Eligibility Criteria
- LPG Connection ke bina garib (BPL) Parivar ki vyasak mahila.
- Aavedak ka Bhartiye nagrik hona chahiye.
- Aavedak ki aayu 18 Varsh honi chahiye.
- Connection parivar ki mahila ko jari kiya jayega.
- Aavedak ko kisi aur sarkari yojana ke tahat labh nahi uthana chahiye.
List of Required Documents for PMUY
- BPL Certificate Authorized by Panchayat / Municipality Chairman
- BPL Ration Card
- One Photo Id (Aadhar card/ Voter Id/ and Other)
- One Recent Passport Size Photograph
- Caste Certificate
- Address Proof
State Wise – Pradhan Mantri Ujjwala Yojana 2020 List
State Name | Download List |
Andhra Pradesh | Click here |
Arunachal Pradesh | Click here |
Assam | Click here |
Bihar | Click here |
Chhattisgarh | Click here |
Goa | Click here |
Gujarat | Click here |
Haryana | Click here |
Himachal Pradesh | Click here |
Jammu and Kashmir | Click here |
Jharkhand | Click here |
Karnataka | Click here |
Kerala | Click here |
Madhya Pradesh | Click here |
Maharashtra | Click here |
Manipur | Click here |
Meghalaya | Click here |
Mizoram | Click here |
Nagaland | Click here |
Odisha | Click here |
Punjab | Click here |
Rajasthan | Click here |
Tamil Nadu | Click here |
Sikkim | Click here |
Tripura | Click here |
Uttarakhand | Click here |
West Bengal | Click here |
Uttar Pradesh | Click here |
Andaman & Nicobar Islands | Click here |
Chandigarh | Click here |
Daman & Diu | Click here |
Delhi | Click here |
Dadra & Nagar Haveli | Click here |
Lakshadweep | Click here |
Pondicherry | Click here |
How to Apply for PM Ujjwala Yojana Online Form?
PMUY Yojana ke tahat naye gas connection ke liye offline apne najdiki block jakar form bhar sakte hai. Aap iske official site se iska Application form download kar skate hai.
- Sabse pahle iske official site par visit kare.
- @www.pmuy.gov.in.
- Iske homepage par Registration Section par click kare.
- Vaha aapko PMUY Registration Form ke link par click kare.
- Application form thik se bharne ke bad submit button par click kar den.
- Submit karne ke bad, iske application form ka ek print out le len.
PMUY Application Form (English) | Click Here |
PMUY Application Form (Hindi) | Click Here |
How to check PMUY New List Free Gas?
Jin logo ne naye gas connection ke liye aavedan kiya hai, Unhe nayi list muft gas ki janch karne ki aavashykta hai. Niche diye gaye Steps ko follow kar iska New List check kar sakte hai:-
- Sabse pahle iske official site par visit kare.
- Iske homepage par New List ke link par click kare.
- New beneficiaries ke list ki janch kare.
- Name aur List check kare.
- Aur fir aap use download bhi kar sakte hai.
PMUY New BPL List Link | Check Here |
Official Website | www.pmuy.gov.in |
Check This Government Scheme:-
Sir
Mera gass ka ke by si rangha more main hua tha 2019 main hi abhi tak mughe gass ka connection nhi mila hai.
Mere gar se rangha more 12 km hai 8-10 bar ja chuke hai but mughe abhi tak nhi mila hai
Sir
Mughe abhi tak nhi mila hai gass connection