Contents
Sainik School Admission 2024 :- India ke Sainik School ne Session 2024 -26 ke liye Class 6th aur Class 9th me admission ke liye Official notice jari kiya hai. Sainik School Bharat ke Ministry of Defence ke dwara sanchalit kiya jata hai. Ministry of Defence me Bharat ke alag alag zone me Sainik School ki sthapna ki hai. Sainik School Admission bahut jald hi shuru hone vali hai. Jo Students Class 6th & 9th me Sainik School me admission lena chahte hai, Ve online aavedan kar sakte hai. Sainik School entrance exam se juri exam pattern syllabus ke bare me janne ke liye is post ko ant tak padhe.
Sainik School ke class 6th aur 9th me Admission lene ke liye sabse pahle aapko iske liye application form bharna hoga, Jiske bad aap iske liye Admit card bhi download kar sakte hai. Aur fir Sainik School iska Entrance Exam ka date jari karega, jiske bad aap diye gaye examination centre par jakar exam de sakte hai. Result jari hone ke bad aap apne Rajya ke sainik school me admission le sakte hai.
Sainik School Admission 2024
Sainik School Class 6th & 9th Admission ke liye entrance exam aayojit karega. Sainik School Ministery of Defence ke under sthapit kiya gaya hai. Jo students kam age me sena me shamil hona chahte hai, Ve in school me shamil ho sakte hai. Sainik School apne strict discipline aur rules and regulation ke liye jana jata hai.
Jo Students iske 6th aur 9th Class me admission lena chahte hai, Unhe authority ke dwara aayojit Entrance exam me shamil hona hoga. Exam khtm hone ke bad Result jari kiye jayenge aur jin students ke High Marks prapt honge, unhe sabhi zone ke schools me admission milega.
AISSE Exam Important Notice & Dates
Sainik School ne AISSE Entrance Class 6th aur 9th exam ke liye official notification jari kiya hai, Jise aap niche dekh sakte hai.
इवेंट्स | महत्वपूर्ण तिथि |
प्रबेश के लिए जारी अधिकारिक अधिसूचना | Nov 2023 |
ऑनलाइन आवेदन शुरू करें | 7 Nov 2023 |
आवेदन की अंतिम तिथि | 16 Dec 2023 |
परीक्षा की तारीख | 21 Jan 2024 |
परीक्षा का तरीका | पेन पेपर (OMR शीट्स आधारित) |
पेपर पैटर्न | बहुविकल्पी प्रश्न (Multiple Choice Questions) |
Sainik School Admission Eligibility
Authority ne Session 2024 ke liye Class 6th aur 9th me admission lene ke liye prospectus jari kiya hai. Jo students Sainik School me admission lena chahte hai, Unhe nimnlikhit eligibililty ko pura karna hoga:-
- विद्यार्थी की आयु 10 से 12 वर्ष के बीच होनी चाहिए। उम्मीदवारों का जन्म 01-04-2012 और 31-03-2014 (दोनों दिन सम्मिलित) के बीच होना चाहिए ।
- विद्यार्थी की आयु 13 से 15 वर्ष के बीच होनी चाहिए। उम्मीदवारों का जन्म 01-04-2009 और 31-03-2011 (दोनों दिन सम्मिलित) के बीच होना चाहिए ।
Sainik School Fee
Admission lene ke liye ichhuk students ke liye fee:-
- The tuition fee for the students will be 87,850 while the Dietary fee will be 32,450 per annum.
- The clothing charges will be Rs 9000 per annum.
- The incidental charges will be Rs 5000 per boy.
Sainik School Exam Pattern 2024
AISSE Class 6th Exam Pattern
Sainik School ki class 6th ki Entrance exam ka exam pattern niche diya gaya hai:-
Subject | Maximum Marks | Duration |
Mathematics | 100 | 2 Hours |
Language Test | 100 | 2 Hours |
Intelligence Test | 100 | 40 Min |
AISSE Class 9th Exam Pattern
Sainik School ki class 9th ki Entrance exam ka exam pattern niche diya gaya hai:-
Subject | Maximum Marks | Duration |
Mathematics | 200 | 2.5 Hours |
Science | 75 | 2.5 Hours |
English | 100 | 2 Hours |
Social Studies | 75 | 2 Hours |
Sainik School Admission Application Process
Yah Sainik School Class 6th aur 9th me admission ke liye application form jari Karega, Application from bharne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare:-
- Sabse pahle Sainik School ke official website par visit kare.
- Iske homepage par Admission link par click kare.
- Vaha se application form download kar len.
- Form me ache se bhar den.
- Form bharne ke bad jaruri documents upload kar den.
- Form ka online payment kar den.
- Application form costs Rs 550 for General/OBC while Rs 400 for SC/ST students
- Receipt ka ek print out nikal len.
Apply Online Application Form | Click Here |
Download Official Notification | Download Notification |
Official Website | Click Here |
Sainik School Official Site:- Click Here
Required Documents
- Application Form
- Passport size photos
- Class 5th/8th mark sheet
- Migration certificate
- Self-attested copies of all certificates
- Copy of application receipt
- Caste certificate
Sainik School AISSE Admit Card
Sainik School bahut jald hi AISSE Exam ke liye admit card jari karega. Saink school ka admit card bahut mahtavpurn hai, Kyunki yah aapko Exam dene ki anumati deta hai. Aap iska Admit card Sainik school ke official site se download kar sakte hai, Aur aap sabhi ko Admit card download karne ke bad ise bahut savdhani se rakhana hoga, kyunki yah Admission ke time par Admit card ki jarurat padti hai.
Sainik School Counselling
Sainik School lockdown hatne ke bad iska Application form jari karega, Jiske turant bad hi iska Entrance exam bhi liya jayega. Exam khatm hone ke bad result ghoshit kiye jayenge. Sainik School me admission ki last counseling July mahine me shuru hogi.