Contents
SSSM ID MP List:- Madhya Pradesh Sarkar ke dwara shuru ki gayi SSSM ID jise Samagra ID ke naam se jana jata hai, Jiske bare me aaj ki yah Post puri jankari uplabdh karayegi. Yadi aap bhi SSSM ID ke bare me janna chahte hai, To aapko bata den yah Madhya Pradesh Sarkar ne pardarshita ke sath Samaj ke aarthik rup se kamjor vargo, Vridho, Vidhvao, aur BPL parivaro tak Sarkari Yojanao ka labh pahuchane ke udeshya se unique 9-digit SSSM ID ki shuruat ki hai.
“Sarvajan Hitaya Sarvajan Sukhay” slok ke anusar sabhi nagriko tak sarkar ki yojanao ka labh pahuchane ke liye Madhya Pradesh ki Kamalnath Sarkar anek prayas kar rahi hai. SSSM ID ke dwara database ke aadhar par samaj ke sabhi nivasio ko government scheme ka labh unke eligibility ke anusar aasaani se prapt ho jata hai. SSSM ID ke sadsayo ke anusar “Samagra Social Security Mission” portal par uplabdh hai.
Pahle vibhin Department ke antargat Sarkar dwara shuru ki gayi yojano ke labharthi ka details keval Paper par hi hota tha, Sath hi sabhi yojano ka labh lene ke liye aavedan prastut karna padta tha. Logo ko bar bar vibhin certificate prastut karne padte the. Pahle ke mukable ab SSSM ID ke dwara sabhi labharthi ki pahchan aasaani se ki ja sakti hai.
What is SSSM Samagra ID?
Sabse pahle sambandhit Department ke adhikari ghar-ghar jakar survey karte hai, Jiske aadhar par parivar ke sabhi sadasyo ki jankari jaise ame of the head, member’s name, age, sex, marital status, work area, educational education aadi collect ki jati hai. Sabhi sadasyo ko 9 Digit ki unique Samagra ID aur Parivar ko 8 Digit ki unique Samagra ID pradan kiye jate hai.
Utility and Benefits of Samagra ID
Yah Portal Madhya Pradesh Sarkar dwara Social Security Mission ke tahat shuru kiya gaya hai, Jiske antargat Sabhi sadasyo ko 9 Digit ki unique Samagra ID aur Parivar ko 8 Digit ki unique Samagra ID uplabdh karaye gaye hai.
Is pahal ke dwara sarkari yojanao ke implementation me pardarshita aayegi tatha Samaj ke sabhi vargo tak yojanao tak labh pahuch payega.
Samagra ID Registration se pahle ek nagrik ek se adhik vibhago ki yojanao ka labh le leta tha, Jabki kuch kuch nagrik labho se vanchit rah jate the. Parntu ab Database ke uplabdh hone se vibhago ke pass sambandhit jankari uplabdh rahegi.
SSSM ID Registration process ekdam free hai. Aap khud bhi Samagra Social Security Portal ke dwara pane parivar ki ID bana sakte hai.
How To Know SSSM Samagra ID?
Sabhi SC/ST parivaro ko Food Security Act ke antargat Public Distribution System (PDS) ke madhyam se Subsidy based foods ka vitaran kiya jata hai. Madhya Pradesh ke pratyek e-ration card / eligibility slip ke madhyam se (Rs 5 per Kg) ki dar se food, rice, sugar, wheat etc. prapt kar sakta hai. Aap SSSM ID apne ration card / eligibility slip par dekh sakte hai. Isi tarah aap any tariko se bhi SSSM ID dekh sakte hai.
MP Food Security Portal:- Yadi aapke pass eligibility slip nahi hai, To aap Madhya Pradesh Food Security Portal ke madhyam se Samagra ID jan sakte hai. Yaha aap apne jile ka chayan kar Samagra ID ki jankari parivar ke sadsayo ke anusar le sakte hai.
Through the list of students of their school education session (2013-14):- Pichle Kuch saalo me class 1st-12th tak ke sabhi students ka survey kiya gaya tha, Jiske aadhar par Samagra Portal par Database taiyar kiya gaya tha. Aap yaha click kar Class anusar Students ki List se Samagra ID jan sakte hai.
From the Samagra ID of the siblings:- Aap apne bhai-bahan ki Samgra ID se bhi apni SSSM ID jan sakte hai.
From the mobile number of a family member:- Aap apne parivar ke sadasy ke register Mobile no. se bhi Samgra ID jan sakte hai. Yaha sirf aapko mobile no. aur DOB darj karna hai, jiske bad aap aasani se SSSM ID dekh sakte hai.
Samagra ID [SSSM ID] Registration Process
Madhya Pradesh ka koi bhi nagrik jise abhi tak apna Unique Samgra ID nahi mila hai ve niche diye gaye Steps ko follow kar aasaani se Registration karba sakte hai.
- Sabse pahle civil defense service ke official website par visit kare.
- http://samagra.gov.in/default.aspx
- Iske homepage par “Register Family” ke link par click kare.
- Ab aapke samne Samgra Family Registration ka Form khul jayega.
- Jo ki tin bhago me bata hoga, Use ache se bhar den.
- Form bharne ke bad aap Register Application ke button par click kar den.
Important Document For Registration
- Identity document
- Voter ID Card,
- Aadhar Card,
- Ration Card,
- 10th Marksheet
- Residence certificate
- Electricity bill,
- water tank bill,
- residence certificate
- Passport size photo
- Mobile number