Jankari JOBS UP

Uttar Pradesh Rojgar Mela Aavedan 2020 | UP Rojgar Mela Online Registration

UP Rojgar Mela 2020 Online Aavedan:- Uttar Pradesh Rojgar Mele ka aayojan UP ke Mukhyamantri Yogi Adityanath Ji ke dwara Rajya ke Berojgar Yuvaon ko Rojgar pradan karne ke liye Rajya ke kai District aur Shahro me kiya ja raha hai. Is Yojna ke antargat Uttar Pradesh ke jo bhi Yuva Education Qualification Class 10th, 12th se lekar BA, B.Sc, B.Com, M.Sc ki Degree prapt kar chuke hain, Aur Berojgar baithe hain unhe is yojna ke tahat Rojgar uplabdh karvaya jayega.

Aise bhi Uttar Pradesh State ke jo bhi Candidates apni Padhai puri karke apne Rajya me Rojgar ki khoj kar rahe hain ve is UP Rojgar Mela 2020 me bhag lekar Rojgar prapt kar sakte hain. Usse pahle Shamil hone bale Candidates ko isse Sambandhit saari jankari jaise Registration Process, Important Document, Eligibility Criteria Ityadi ke bare me janana bahut aavashyak hai, Jo is article me niche Share kiya ja raha hai.

Uttar Pradesh Rojgar Mela 2020

Aapko bata den ki is Yojna me Rajya ke Employment Offices dwara kai sare Multinational and Private Sector ke Berojgar Yuvaon ko Rojgar uplabdh karbane ka pryash kiya ja raha hai. Kyonki UP Rojgar Mela 2020 ke tahat Lucknow, Aligarh, Allahabad, Bijnor, Mirzapur, Jhansi Jaise anya Districts ki aur Private Companies bhi Shamil hone bali hai.

Isliye UP ke Berojgar Yuvaon ke liye Employment Office dwara Various Districts me lagbahg 70,000 se adhik Posts ki Bharti ke liye Rojgar Mele ka aayojan kiya ja raha hai. Jo ki Employment Office Berojgar Yuvaon aur Niyojako ko ek hi jagha par aamantrit karke is Rojgar Mele ko aayojit ki gyi hai.

UP Rojgar Mela 2020 – Overview

Name of SchemeUttar Pradesh Rojgar Mela 2020
DepartmentEmployment Department Uttar Pradesh
Application Start DatesAvailable Here
BeneficiaryShikshit Berojgar Yuva
ObjectiveAarthik Sahayata Aur Rojgar ka Avasar Prdan Karna
CategoryState Government Schemes
Official Websitewww.sewayojan.up.nic.in

Uttar Pradesh Rojgar Mela Online Registration 2020

UP Rojgar Mela 2020 me Sevayojan Karyalaya dwara apni aavashyakta ke anusar Rajya ke Berojgar Abhyarthiyon ko Select kiya jayega, Jiske anusar is Yojna me Berojgar Yuva ko Naukri dene ke liye Multinational Aur Private Sector ke kai Companies me Various Post par Bharti ki jayegi.

Agar jo bhi Labharthi is Rojgar Mele 2020 ke tahat alag alag Companies me Various Post par Naukri prapt karna chahte hain ve Employment Department ke Official Website par jakar Online Registration kar sakte hain, Aur Naukri pane ke Avsar ka Labh utha sakte hain.

Rojgar Mela Uttar Pradesh 2020

Aapko batana chahuga ki is Yojna ke tahat UP me rah rahe Berojgar Yuvaon ke liye State Government ne yah ek Golden Opportunity di hai. Kyonki Rajya Sarkar ne Uttar Pradesh ke lagbhag 36 Districts me Rojgar Mele ka aayojan kiya hai, Jaha ke liye aap online aavedan kar payenge.

Aur ha State Government Rajya ke aise Candidates ko Select karegi jo Eligible aur Scheme ke Rule ke anusar Paatr ho. Aise bhi Rojgar Mele me UP ke Berojgar Yuva aasani purvak Rojgar prapt kar sakte hain.

Key Fact of UP Rojgar Mela 2020

  • Is Yojna ke liye Berojgar Yuva ka Educational Qualification Class 10th se BA, B.Sc, B.Com, M.Sc etc. ka Degree prapt hona chahiye.
  • Iske liye Candidates ki koi Age Limit nirdharit nahi ki gyi hai.
  • Aavedank UP ka ek sthai Nivasi hona chahiye.
  • Is Yojna me Sirf bahi Yuva Shamil ho sakte hain, Jinke pass koi Rojgar nahi hai.

Objective of UP Rojgar Mela 2020

Is Yojna ka Mukhya Udeshya Uttar Pradesh me apni Padhai puri karke Berojgar Baithe Yuvaon ko Rojgar Mele ke antargat Educated Ability aur unke Anubhav ke anusar Rojgar pradan karna hai. Jisse wo aaj ke Samay me apne aap par Aatmnirbhar ban saken.

Aur UP Rojgar Mela 2020 ke jariye Rajya ke Berojgar Yuvaon ko Naukri Pradan karke Rojgar ke Anupat me Vridhi aur Berojgari ki Samasya ko kam karne ke sath Yuvaon ko Strong banana hai.

How To Apply For UP Rojgar Mela 2020 ?

Uttar Pradesh ke jo bhi Berojgar Yuva is UP Rojgar Mele 2020 me Rojgar Pradan karne ke liye ichhuk hain ve niche bataye gye step ko follow karke iske liye online Registration kar sakte hain.

  • Aap diye gye Link se Sevayojan Vibhag ke official website se visit karen.
  • http://sewayojan.up.nic.in/
  • Iske home page se Registration bale option par click karen.
  • Click karne ke baad ek page open ho jayega.
  • Isme puchhi gyi sabhi jankari ko enter karen.
  • Applicant’s ko apna Password banana hoga, Uske baad Submit bale button par click kar den.
  • Saphaltapurvak Registration ke baad Log.In karke banaye gye Id Password ko enter karke click karen.
  • Phir apne sabhi Basic Details, Educational Qualification Information aur Experience ko bharen.
  • Last me Profile ko pura karne ke baad aapko Naukri ke liye Notification mil jayega.
  • Aapki Educational Qualification ke anuar Kaushal aur Anubhav ko iske Portal par upload kiya gya hai.

Official Website:- http://sewayojan.up.nic.in/

Uttar Pradesh Rojgar Mela List

Rojgar Mela IdDistrict NameRojgar Mele ka Sthan
2920BulandshahrDistrict Employment Office ‚Near Vikas Bhawan‚ Bulandshahr
2862   LalitpurDistrict Employment Office, Campus Govindernagar Lalitpur
2926SonbhadraMajor Employment Fair – State Polytechnic ‚Lodhi‚ Sonbhadra.
2927Kanpur DehatDistrict Employment Office Complex Mati Kanpur Dehat.
2905HamirpurDistrict Employment Office Near Shikha Garden Hamirpur
2909KannaujDistrict Employment Office, Bus Stand, Kachhari Road, Sakshi Ultrasound Street, Kannauj.
2919BulandshahrDistrict Employment Office ‚Near Vikas Bhawan‚ Bulandshahr
2944ShahjahanpurState ITI Roja Shahjahanpur.
2948   MauDistrict Employment Office, Sahadatpura Mau
2929   BandaSaraswati Vidya Mandir Inter College
2947   BalliaGovernment ITI Campus Rampur Ballia
2845   JaunpurTD Degree College Campus, Jaunpur.
2867Gautam Buddha NagarIIMT Group of Colleges, Plot N – A – 209 Knowledge Park – 3 Greater Noida – Gautam Buddha Nagar.
2923EtawahNarayan College of Science and Art Alampur Hauz, Etawah.
2937BareillyRegional Employment Office Civil Line Bareilly
2940SultanpurDistrict Employment Office Payagipur Sultanpur
2946VaranasiBlock-Sewapuri Headquarters- District-Varanasi

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment