Contents
Uttrakhand Employment Registration 2020:- Uttrakhand ke State Government ne Uttrakhand ke ke rahne bale Berojgar Yuva ko Rojgar pradan karne ke liye Uttrakhand Rojgar Application Form ki shuruaat ki hai. Rajya ke bahut aise Yuva hain jo apni padhai puri karke Berojgar baithe hain, Lekin unke pass koi Rojgar nahi aur apne Rojgar ki talash kar rahe hain. Un sabhi Berojgar Yuvaon ko Rojgar Registration Form ke liye jariye Sarkar dwara Rojgar uplabdh karai jayegi. Isliye is article me Aap sabhi ko bataya ja raha hai ki aap kis prakar se Employment Registration kar sakte hain.
Bata den ki Berojgar Yuvaon ko Registration karne ke baad Rajya Sarkar ko pata chal payega ki Rajya me Berojgar logo ki sankhya kitni hai. Agar aap bhi inme se ek hain aur iske liye Online Registration karna chahte hain to is post ko last tak dhyan se padhe, Isse sambandhit saari information aapko mil jayegi.
Uttrakhand Online Employment Registration 2020
Uttrakhand State Government ne Rajya ke un sabhi Yuvaon ke liye Employment Registration Process ki shuruaat ki hai jinhone apni padhai puri li hai, Aur wo Rojgar prapt karna chahte hain vah Employment Office me jakar apna naam darj karbakar Rojgar ka achha avasar prapt kar sakte hain. Aise bhi Rajya ke jo bhi ichhuk Berojgar Labharthi Rojgar prapta karna chahte hain ve Uttrakahand Employment Registration kar sakte hain. Ya apna naam Employment Office me jakar apna naam darj karba sakte hain.
Agar Canidates Rojgar prapt karne ke liye Registration karna chahte hain to is page me diye gye official link ki madad se apne ghar baithe Online Registration kar sakte hain, Aur Rajya Sarkar dwara diye gye is avsar ka labh utha sakte hain.
Aapko bata den ki Bharat ke bahut aise State me Employment Department se sambandhit State me Nivas karne bale Berojgar Yuva ko Rajya ke Various Area me hone bali Nukari ke liye nikalne bali Vacancies ke liye Pre-Registered karne ki anumati pradan karta hai.
Uttrakhand Rojgar Registration Highlights
Us se pahle aap jan len ki is Yojna ka mukhya udeshya hai ki Berojgar Yuvak ya Yuvatiyan jo apne Rojgar ki talash kar rahe hain, Ya phir unko aur bhi bahut saari problem ka samna karna pad raha hai, Isi ko dekhte huye Directorate of Training & Employment Govt. of Uttarakhand (INDIA) dwara Rajya me Rojgar Registration ki shuruaat kiya gya hai.
Name of Scheme | Uttarakhand Employment Registration |
Started by | State Government |
Beneficiary | Rajya ke Berojgar Yuva, Yuvatiyan |
Registration Process | Online & Offline |
Objective | Berojgar Yuvaon ka Rojgar Pradan Karna |
Category | Uttarakhand Government Schemes |
Official Website | www.rojgar.uk.gov.in/ |
Benefits of Uttarakhand Employment Registration
- Is Yojna ke antargat Rajya ke jo Yuva apna Registration karte hain unhe Educational Qualification ke aadhar par Rojgar uplabdh karaya jayega.
- Aur Employment Office Uttarakhand me sabhi Register Logo ka ID No jaari kiya jayega, Jo Berojgar Yuva ke liye Identification Number hota hai.
- Jab kisi Government or Non Government Organization, Government Department ya Private Company dwara kis bhi New Vacancy nikali jati hai to unhe iski Department ke madhyam se Information de jayegi.
- Aur Rajya ke sabhi Berojgar Yuva apne ghar baithe Online Employment Registration kar sakte hain.
Eligibility Criteria For Uttrakhand Employment Registration
- Is Yojna ka labh prapt akrane ke liye Yuvak ya Yuvatiyan ko Uttrakhand ka sthai nivasi hona aavashyak hai.
- Aur sirf vah Yuvak Yuvatiyan iske liye Online Registration kar sakte hain, Jo apni padhai puri karke Rojgar ki talash kar rahe hain.
Impotant Document
- Aadhar Card
- Identity Card
- Ration Card
- Certificate of Educational Qualification
- Mobile Number
- Passport Size Photo
How To Apply For Uttrakhand Employment Registration Online?
Rajya ke sabhi ichhuk labharthi niche bataye gye step ko follow karke Uttrakhand Employment Registration online kar sakte hain.
- Aavedan ko Directorate of Training & Employment Govt. of Uttarakhand (India) ke official website par visit karen.
- Ab iske home page se Candidates Corner ke section par jakar Online Registration bale Option par click karen.
- Click karne ke baad ek page open ho jayega, Jisme aapko Uttrakhand Rojgar Registration mil jayega.
- Ab aapko Registration Form me Drop Down Box se apna State aur District ko select karna hai, Sath hi Captcha Code ko enter karna hai.
- Iske baad puchhi gyi saari jankari ko enter karke submit par click karna hai.
- Phir se ke Form open hoga, Isme saari detailsko bharen aur Next par click karen.
- Ab apna sabhi aavashyak document ko scane karke upload karke submit par click kar den.
- Aur last me apne Application Form ka ek print out nikal len.
Official Website | Click Here |
Registration karne ke 1 ya 2 week baad Experience, Caste, Sports, Disability (Medical Board / CMO) dwra jaari ki jayegi, Aur Ex-Serviceman, Vidhwa, Freedom Fighter aur Awas se sambandhit sabhi Certificate ko lekar Employment Office me jakar jama karna hoga.
Uttarakhand Employment Offline Registration Process
- Aapko Uttrakhand Employment Office me jana hoga.
- Yaha par aapko sambandhit officers se Registration Form prapt karna hai.
- Iske baad aapko Form me puchhi gyi saari jankari ko bharna hoga.
- Form ko bharne ke baad aap apne sabhi mahatvapurn document ke sath Employment Office me upshthit officers ke pass jam kar dena hai.
Last Word:-
I hope, ki aapko Uttrakhand Rojgar Registration Form se sambandhit sabhi jankari is page me mil gyi hogi, Agar abhi bhi aapke pass isse judi aur koi saval hai to aap niche diye gye comment box se puchh sakte hain.