Full Form

ATM Full Form – एटीएम का फुल फॉर्म क्या है?

ATM Full Form
Written by A to Z Classes

ATM ka full form Automated Teller Machine hota hai aur iske bare me puri jankari aap sabhi ko niche di ja rahi hai. ATM ek electro-mechanical machine hai jiska upyog financial transaction ke liye kiya jata hai. Iske dwara main kaam ham Debit card se paise nikalne ke liye karte hain. Matlab ye ki yadi aapka kisi bhi bank me account hai aur waha se aapko ek debit card ya atm card mila hai to uske dwara aap kisi bhi ATM se paise niakal sakte hain. Ye banking processs ko bahut aasaan bana deta hai kyonki iske dwara aap kisi bhi bank se paise nikal sakte hain, aapko sam bank ke atm me visit karne ki koi jarurat nahi hai. Ye ek automatic machine hoti hai jiske karan paise naikalne ke liye hame human cashier ki aavshykta nahi hoti hai. ATM do prakar ke ho sakte hain. Ek basic ATM jisme ham sirf paise ko nikal sakte hain aur dusra advance ATM jiske dwara aap paise ko niakal ya jama bhi kar sakte hain. Iske alawe aap ATM se bahut saare banking transaction bhi kar sakte hain. Jaise fund transfer, bank balance check, mini statement ityadi. ATM se paise nikalne ke liye aapko apna ATM card ATM me swap karna hota hai ya insert karna hota hai. Iske baad waha par aapke account ki information aa jati hai. Aapko paise nikalne ke liye waha par 4 digit pin enter karna hota hai jo sirf aapko pata hota hai. Iske baad screen par di gyi jankari ke anusar steps ko pura karna hota hai aur is prakar aap ATM se paise nikal paate hain. ATM ke dwara aap nimn karya kar sakte hain.

  • Cash and cheque deposit
  • Fund transfer
  • Cash withdrawal and balance enquiry
  • PIN change and mini statement
  • Bill payments and mobile recharge
  • etc.
ATM FULL FORMAutomated Teller Machine
KAAMWithdraw And Deposit the Money
Inventor NAMEJohn Shepherd Barron
First Person Use to ATMComedy Actor Reg Varney

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

4 Comments

Leave a Comment