Contents
Hello Friends, Kya aap Govt job karna chahte hain ya iski taiyari kar rahe hain to aapne IBPS ke bare me jarur suna hoga kyonki IBPS banking sector ka ek mahatvpurn hissa hai.
Aap sabhi ko IBPS ke bare me puri jankari di jayegi, iske full form ko bataya jayega aur is se judi banks ki list, isme job kaise karna hai, ibps ke dwara aap kaun kaun se posts ke liye apply kar sakte hain un sabhi ke bare me detail me janakri aap sabhi ko niche bataya ja raha hai.
IBPS Full Form in Hindi
IBPS ka full form INSTITUTE OF BANKING PERSONNEL SELECTION hota hai jise hindi me बैंकिंग कार्मिक चयन संस्थान kaha jata hai.
Iski sthapna 1975 me ki gyi thi.
IBPS banks me officers jaise, PO and Clerk ityadi bharti karne ke liye jana jata hai.
Ye in sabhi pad ki bharti ke liye online exam karwata hai jiske liye notification alag alag samay par apne official site ibps.in par jari karta hai.
IBPS india ke bahut saare govt banks me bharti karwata hai aur un sabhi banks ki list niche ke table me di ja rahi hai.
IBPS BANKS LIST
Canara Bank |
Indian Bank |
Andhra Bank |
Baroda Bank |
Bank Of India |
Allahabad Bank |
Punjab National Bank |
Syndicate Bank |
Oriental Bank Of Commerce |
Union Bank Of India |
Corporation Bank |
Dena Bank |
Central Bank Of India |
Maharastra Canara Bank |
Punjab And Sind Bank |
Indian Overseas Bank |
Uco Bank |
United Bank Of India |
Vijay Bank |
Kuchh exam ki list jo IBPS ke dwara online liye jaate hain online form bharwa kar…
- IBPS Clerk Exam
- IBPS PO Exam
- IBPS SO Exam
- IBSC RRB Exam for various Posts
IBPS Job Types
- Clerk − Bank clerk liye IBPS alag se job notification nikalta hai aur iske liye bhi ab online exam liya jata hai. Bank clerk ko bank me computer operator ka kaam karna padta hai aur record maintain karna hota hai.
- (PO) Probationary Officers − Iske liye bhi online form nikala jata hai. Yah aam taur par Assistant Manager ki tarah hota hai jo bank me diye gye bibhin kaam ko karta hai.
- (RRB) Regional Rural Banks − RRB ke Rural banks me bharti bhi IBPS ke dwara hota hai alag lag padon par.
iske sabhi padon ki list niche di ja rahi hai.
- क्लर्क पद
- पीओ पद
- स्पेशल ऑफिसर पद
- ग्रामीण बैंक क्लर्क पद
- ग्रामीण बैंक पीओ पद
- ग्रामीण बैंक ऑफिसर स्केल I
- ग्रामीण बैंक ऑफिसर स्केल II
IBPS Exam Ke Liye Qualification
IBPS ke alag alag padon ke liye alag qualification hota hai lekin ab generally har pad jaise CLERK, PO, RRBs ke liye minimum GRADUATION hona anivarya hai 50% marks ke saath.
IBPS Exam Ka Pattern
Iska exam patter teen process se hokar gujarta hai jise niche list kiya gya hai.
- Preliminary Exam [PT]
- Main Exam [MAINS]
- Interview
To is tarah aaj ke is post me aap sabhi ko IBPS ke bare me puri jankari di gyi aur iske alawe aap sabhi ko ibps ke full form, ibps ke posts, ibps ke banks list ke bare me bhi bataya gya. Post acchi lagne par ise share jarur karen.
[…] IBPS Full Form […]