Full Form Jankari

IQ Full Form in Hindi- IQ क्या है Full Details Hindi Me

IQ Full Form IN HINDI
Written by A to Z Classes

IQ Full Form in Hindi:- Hello Friends, Aaj ke is post me ham janege ki IQ ki Full Form Kya hoti hai, IQ Kya Hai, IQ Kise kahte Hai, IQ ka Hindi me arth. Is post me ham IQ se jude savalon ki puri jankari dene bale, yadi aap bhi IQ ke bare me puri jankari janana chahte hai to is post ko ant tak jarur padhe.

Doston IQ ke bare me ham sabhi sunte rahte hai. Jab kisi vyakti ka mind bahut tej hota hai yani ki vo kisi saval ka javab bahut jaldi se deta hai, To ham uske liye kahte hai ki is vyakti ka IQ kafi achha hai.

IQ Full Form in Hindi

IQ ki Full Form – “Intelligence Quotient” hoti hai, IQ ko hindi me “इंटेलिजेंस क्वॉन्टेंट” kahte hai. IQ ek aisa Parameter hai jiska upyog kisi vyakti ka Intelligence( बुद्धिमत्ता ) ko pahchahne ke liye kiya jata hai. Yah parameter har situation ke liye different ho sakte hai. Ek vyakti ke IQ check karne ke kai tarike hai, Aayie ab IQ se judi general jankari prapt karte hai.

IQ Ki Puri Jankari Hindi Me

Kisi vyakti ke IQ Test karne ke kai tarike hai. Darsal IQ ek Scoreboard hai. IQ Test se prapt score ya number vyakti ke relative intelligence ko darshati hai. Aap human intelligence tak pahuchne ke liye kai standardized tests me se ek se ek vyakti ke IQ ki ganna aasaani se kar sakte hai.

IQ ki janch karne ke liye Vyakti ko kuchh saval hal karne ke liye diye jate hai, Ab us saval ka hal karne ki uski capability ke anusar uske IQ ka standard bataya jata hai. Iske sath hi IQ test me logon ko bahut se Visula Test & Verbal Test bhi pass karne hote hai.

IQ ka maandand Sample IQ 100 ke rup me define kiya jata hai. Ek survey ke anusar IQ 85 se IQ 115 tak two-third population hai. Total population me se IQ 125 se upar keval 5% log hai.

IQ – Intelligence Quotient Score

IQ score janne ka maksad yah hai ki hame pata chal sake ki duniya me rahne bale sabhi logo ka Mansik star kis tarah ka hai. IQ aapki intelligence ka map hai ise ek sankhya me vyakt kiya jata hai. Vyakti ki intelligence ki ki ganna is bat se ki ja sakti hai, Ki vah vyakti intelligence test kar raha hai. Average IQ 100 hai, aur yadi aap 100 se adhik number prapt karte hai, To aap average vyakti ki tulna adhik smart hai.

Ek IQ aapko batata hai ki aapka Score kisi vishes intelligence par hai, jo ki aksar aapke age group se compare kiya jata hai. Test me 100 no. ka Average score hai aur 15 no. ka standard deviation hai. Iske Standard deviation ka matlab yah hai ki 68% population 85-115 ke antral ke andar IQ score karti hai. Aur us population ka 95% vyakti 70-130 IQ ke andar hai.

IQ History in Hindi

IQ janchne ka kaam sabse pahli bar saal 1912 me Psychologist William Stern ke dwara kiya gaya tha. Unhone kisi vyakti ke IQ ki map ke liye 1 se 150 number ko liya. Isme 80 se niche IQ bale vyakti ko kam intelligent mana gaya aur 120 se adhik IQ point rakhne vale vyakti ko adhik IQ bale yani ki Intelligent mana gaya.

IQ Score ka upyog educational placements, job applicants ke evaluation, research aur human intelligence ke unatti ke liye kiya jata hai. Abhi ke school me admission lene ke liye Students ke IQ Check kiya jata hai, Iska upyog school me isliye kiye jata hai, kyunki yah pata chal sakte ki student kon se class me admission lene ki liye saksham hai.

Conclusion

Aaj ke is Article me hamne jana ki IQ – Intelligence Quotient kise kahte hai, IQ Score kya hai. Yadi aapke man me abhi bhi IQ se judi problem hai to use comment kar jarur puche. Aur agar aapko Yah IQ se judi aritcle pasand aayi ho to ise apne doston ke sath share jarur kare.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment