Contents
NDA Full Form Hindi: Hello Friends, Kya aap jante hain ki NDA ka full form kya hota hai? Yadi nahi to iske bare me mai is article me batane ja raha hu ki NDA kya hai aur iska full form kya hota hai. Aapko bata de ki NDA me do tarah ka full form famous hai. NDA me ek Politician hota hai to dusra Education. To yaha par aap sabhi ko iske bare me puri jankari is post ke madhyam se diya ja raha hai. Taki aap iske bare me jan saken ki NDA kya hai Politics ke lihaj se bhi aur Education ke lihaj se bhi.
NDA Full Form in Hindi
Ab aap sabhi ko bata de ki NDA ka Full Form National Defence Academy hota hai aur NDA ko hindi me (राष्ट्रीय रक्षा अकादमी) ke nam se jana jata hai. Aapko bata de ki ye Bharat ke tin sabse popular sena Army, Navy and Air Force ke Saath training milta hai. Yaha par aap jan len ki National Defense Academy pune, mumbai ke pas Khadkwasla (खडकवासला) me hai jo NDA (National Defence Academy) ke duniya me pahli sarvice Academy hai.
Aapko bata de ki NDA ek entrance exam leta hai jo Bharat ke tin sabse bade service jaise Army, Navy, aur Air Force me jane se pahle ek exam liya jata hai. To agar aap chahte hain ki Land-Forces, Indian Army, Air Force, Indian Air Force ya Navy me job Karna hai to aapko sabse pahle NDA (National Defence Academy) ka exam pass karna hoga. NDA ka exam saal me do baar UPSC ke dwara aayojit kiya jata hai. Lekin is exam me baithne ke liye candidate ke pass kuchh Special ability jarur hona chahiye jiske bare me niche bataya gya hai.
NDA Ka Written Exam (एनडीए का लिखित परीक्षा)
To aapko bata de ki NDA (National Defence Academy) ki written Exam me mathematics aur General Ability ke prashn puchhe jate hain. written exam ka aayojan har saal April aur september ke mahine me hota hai aur written exam me har subject ke liye time lagbagh 2 ghante 30 minute ka hota hai. Math me 300 marks ke Alawa General ability ko milakar 600 marks ka question diye jate hain jisme se 120 question math aur 150 questions General ability ke hote hain. Aur is exam me negative marking ki scheme hoti hai.
How To Prepare For NDA (एनडीए की तैयारी कैसे करें)
Agar aap NDA (National Defence Academy) ki taiyari karna chahte hain to aapko focus sirf padhai par karna hoga aur sabse pahle ek time table banana hoga. Aur jaisa ki aap pahle hi Jan chuke hain ki NDA ke written exam me math aur General ability ke prashn puchhe jate hain. To aapko in dono subject par dhyan dena hoga yadi ho sake to aap koy achha coaching bhi iske liye join kar sakte hain.
Yadi aap iske liye kuchh extra taiyari karna chahte hain to aap internet ka bhi sahara le sakte hain. Aapko internet par bahut saare website mil jayegen jo ki NDA se sambhandit har study materials dalte rahte hain. Aur bata de ki NDA ka pichhle saal ke queation paper bhi dalte hain jo aapke liye kam me aa sakta hai.
NDA (National Democratic Alliance)
To Ab aap sabhi ko bata de ki NDA ka Full Form National Democratic Alliance hota aur ise hindi me (राष्ट्रीय जनतांत्रिक गठबंधन) bhi kaha jata hai. नेशनल डेमोक्रेटिक एलायंस hamare bharat me vibhinn rajaneetik partiyon ka ek group hai jisme kayi party ko milakar gathabandhan ki sarkar banti hai jo national leval par chunab ladti hai.
- Bata de ki NDA (National Democratic Alliance) me sabse bade rajaneetik parti Bhartiya Janta Party hai.
- Aur NDA ki sthapana 1998 me kiya gya tha.
- NDA ki sthapana Bhartiya Janta Party ne hi kiya tha.
- NDA ke sthapana ke baad gathabandhan se aane bale Bharat ke pahla Prime minister Atal Bihari Vajpayee the.
- Aur NDA (National Democratic Alliance) ke sthapana ke baad iske antargat pahli sarkar 1998 Se Lekar 2004 tak cahlai gyi.
Aap sabhi ko yaha par NDA ke bare me puri jankari de di gyi hai jise aap padhkar smagh saken ki NDA kya hai aur iska full form kya hota hai to ye sab total jankari detail ke saath is post me bataya gya hai.
[…] me do sabse badi rajnitik party hai ek NDA aur dusra UPA hai, jise ham sabhi भाजपा aur कांग्रेस ke naam se jante […]
[…] NDA (एनडीए) […]