Full Form

Ph.D. का फुल फॉर्म क्या होता हैं | PhD Full Form In Hindi

PhD Full Form
Written by A to Z Classes

PHD Full Form:- Hello Friends, PhD Full Form kya hota hai aur PhD kya hai iski puri jankari is article me aap sabhi ke saath share ki jayegi. Bata den ki har koyi chahta hai ki mera future achha ho saken. Aur Aaj ke date me saphalata pane ke liye sabhi alag alag area me bahut se course karte hain uske alawa day night apni mehanat karte hain. Kisi bhi course ko karne se pahle aapko us course ke bare me jarur pata hona chahiye. To is article me aap sabhi ko full form of PhD ke saath iske bare me aur bhi jankari diya ja raha hai jse padhkar aap iske bare me smagh sakte hain ki Ph.D. karne me kitna hard work karna padhta hai.

PhD Full Form [ Hindi ]

PhD ka full form Doctor Of Philosophy hota hai aur ise Hindi language me (विद्या चिकित्सक) Kaha jata hai. Ph.D. ek highest degree course hai aur ye pure 3 saal ka course hai. Aur is course ko pura karne ke baad aapke name ke aage (Dr.) lagaya jata hai. PhD ek bahut hi distinguished aur kisi bhi University dwara Highest Educated Academic Degree me se ek mana jata hai. Aur yah ek Postgraduation ka program hai aur ise complete karne me kayi saal lag jate hain. PhD Degree Ek Primary Scientists aur researchers ki agli generation taiyar karta hai.

PHD ek aisa course mana jata hai jo ki ek achhe education ka symbol hai. PhD karne ke liye jaisa ki upar bata gya ki bahut jyada hard work karna padhta hai. Tab PhD jaise high range aapko prapt hoti hai. PhD aap jis subject se karte hain aapko us subject ka expert mana jata hai aur log aapko ek alag nazar se dekhte hain jise aapko khud par proud feel hota hai. Agar koyi PhD karna chahte hain to use PhD ke bare me jaur malum hona chahiye.

Bata den ki Ph.D. ek doctor ki degree hai agar aap Kisi college me ek Professor ya Lecturer banana chahte hai to aise me aapke pass Ph.D. ki degree hona aavshayak hai tabhi aap Professor ban sakte hain ya aap chahe to Rechearch ya phir Analysis bhi kar sakte hain. Isliye aap apne subject me is course ko karne ke baad aapko kisi bhi ek subject ka pura expert banana hoga. Lekin PhD karne se pahle aapko kisi bhi subject me Master Degree puri karni chahiye.

PhD Course karne se pahle aapko ye bate Dhyan rakhni hai ki jo bhi subject me aap jyada interested hain usi subject se 12th Yani Inter aur usi subject se Graduation B.A Pura karke Saath hi Master Degree bhi usi subject se pura karna hai taki aapko Ph.D. Course karne me kisi bhi tarah ki problem na ho aur aap Suru se ek hi subject me interest lete rahe, to aapko Ph.D. me jyada help ho sakta hai.

पी.एच.डी COURSE करने के लिए किये योग्यता क्या है

  • PHD karne ke liye Post Graduation Degree ka complete hona aapke liye bahut jaruri hai aur isme kam se kam 60% Marks hona chahiye. Reserved Categories ke liye yah percentage 55 ho Sakta hai.
  • PhD me admission lene ke liye NET ya phir jis college ya university se aap Ph.D. karna chahte hai us college ka entrance test clear karna jaruri hota hai.
  • Jo Candidate Entrance Exam clear kar lete hain unhe PHD me admission diya jata hai.
  • PhD karne ke liye kuchh subject me M.Phil karna jaruri hota hai. Aise me agar M.Phil me admission Entrance Test pass karne ke baad liye gya hai to PHD ke dauran entrance test ki clear karne ki jarurat hoti hai.
  • Agar kisi candidate ne M.Phil Kisi university se kiya hai aur Ph.D. ke liye kisi aur university me jata hai to Ph.D. ke liye Entrance Test clear karne ki jarurat hoti hai.

PhD Degree Course Subjects

Aapko bata den ki PhD Degree Course bahut sare aise subject hain jis se kiya ja sakta hai aur har subject ka ek alag apna syllabus hota hai. PHD me admission lene ke liye bahut se college me apna ek entrance exam bhi conduct karaya jata hai aur bahut se college candidate ke Master Degree ke percentage ke adhar par bhi admission ho jata hai. Aap is post me niche diye gye subject me se kisi ek subject se PHD ki degree aap prapt kar sakte hain.

  • Accounting
  • Economics
  • Chemistry
  • Physics
  • Finance
  • Statistics
  • Engineering
  • Mathematics
  • Biotechnology
  • Biochemistry
  • Organization Behavior
  • Health Care Management

Yahan par aap kisi bhi subject se Ph.D. ka degree hashil kar sakte hain aur us subject me expert ban sakte hain. Aur yad rahe PHD Degree tabhi milti hai jab aap us subject me kuchh naya research karte hai aur wo puri tarah se original hona chahiye.

Top 10 Best Institutes For Ph.D. In India

1.Amity University, Noida
2.Jawaharlal Nehru University
3.Chennai Mathematical Institute
4.Institute of Technical and Professional Studies, Kolkata
5.Institute of Genetic Engineering Badu – Kolkata
6.Jamia Milia Islamia University, New Delhi
7.Indian Institute of Science, Bangalore
8.KCG College of Technology, Chennai
9.Indian Statistical Institute (ISI)
10.Tata Institute of Fundamental Research

PHD (Doctor Of Philosophy) College Ki Fee

Aapko Bata den ki PhD course ko pura karne me 3 Saal ka samay lagta hai. Aur PhD karne ke liye fees puri tarah se college par depend karta hai jisme lagbhag bata den ki 50,000 se lekar 4, Lakh ke bich ho sakta hai. Agar aap PhD kisi Government college se karte hain to fees kam hogi bahi private college ki fees jyada hoti hai.

PhD Ke Baad Career Scope

PhD course karne ke baad aap Coaching Centers, Education Consultancies, Education Department, House Tuitions, Museums, Private Tuitions, Publishing House, Research and Development Agencies aur Schools Jaise aur bhi bahut saare work hai jisme aap kaam kar sakte hain. Agar isme ham annual average salary ki baat kare to 4 Lakh se lekar 20 Lakh ke bich hoti hai, lekin Yah aapke kaam par depend karta hai.

CONCLUSION

To aap sabhi ko is article me PhD ka full form bataya gya aur saath hi iske bare me aur bhi jankari diya gya to aap sabhi log is post se padhkar smagh hi gye honge Ph.D. ke bare me ki iska full form kya hota hai aur iske liye kitni taiyari karni padti hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

2 Comments

Leave a Comment