Contents
PM Kisan Samman Nidhi Yojna 2020:- Pradhan Mantri Narendra Modi ne Desh bhar ke Kisano ke liye is varsh kai fayde bali Yojnao ki shuruaat ki hai, Aur in sabhi Yojnao me Pradhanmantri Kisan Samman Nidhi Yojna bhi kafi aham raha hai, Jiske tahat Sarkar ne Desh ke sabhi Kisano ke Bank Account me har saal 6000 Rupaye jama karne ki nirnay li hai. Jo ki yah 6000 Rupaye ki Rashi 3 Installments me Kisano ke Bank Account me Transfer ki jati hai.
Lekin COVID-19 (Coronavirus) Lockdown Mahamari ke badhte prkop ko dhyan rakhte huye Purv Finance Minister P Chidambaram ne Kendra Sarkar ko suggestion dete huye kaha ki Kisano ke liye chalai ja rahi Pradhanmantri Kisan Samman Nidhi Yojna me is Corona Sankat ko dekhte huye Sarkar ko iski Subsidy Double kar deni chahiye.
Corona Virus impact on PM Kisan Yojna 2020
Aur Finance Minister Nirmala Sitharaman Lok Sabha me elan karne ja rahi hai, Isi bich Kendra Sarkar ke Karya ko sarahana karte huye P Chidambaram ne Tweet karte huye kaha ki kyo na Coronavirus ke is Sankat me Sarkar ko Kisano ke liye ke achha kadam aur uthana chahiye, Jo PM Kisan Samman Nidhi Yojna ke tahat milne bali Subsidy ko Double kar deni chahiye. Sath hi unhone in sabhi Relief Package ka bhi elan kiya hai, Aur apna Suggetion bhi diya hai.
P Chidambaram ne apne Tweet me likha hai ki in Relief Measures me kai chijo ko bhi Shamil kiya jana chahiye, Jaise PM Kisan Samman Nidhi Yojna ke antargat diye jane bali Rs. 6000 Rupaye ki Rashi ko kyo na Rs. 12000 Rupaye ki sahayata pradan karna chahiye. Aur Kisano ke sath sath Bahar me rahne bale tenant ko bhi is Yojna ka labh milna chahiye.
अगर सरकार सुझाव मान लेती है तो क्या होगा.
To ab baat rah jati hai ki agar Kendra Sarkar is suggestion ko manti hai to kya hoga.
Yadi P Chidambaram ke suggestion ko Kendra Sarkar manti hai to PM Kisan Samman Nidhi Yojna ke tahat jitne bhi Desh ke Kisan Register karba chuke hain unhe Rs. 6000 Rupaye ki jagha par ab Rs, 12000 Rupaye ki aarthik sahayata ke liye PM Kisan Samman Nidhi Schemes ki taraf se pradan kiya jayega.
Aur Kendra Sarkar ke tarf se jaha Four month me Rs. 2000 Rupaye ki Installment Kisano ke Bank Account me bheje ja rahe the waha ab Sarkar ki taraf se unke Bank Acccount me Rs. 4000 Rupaye ki Installment Bheji ja sakti hai.
Will Farmers Get Another Relief, (किसानों को मिलेगा एक और राहत) ?
Bharat ke Kisano ko Relief dene ke liye Kendra Sarkar ne PM Kisan Samman Nidhi Yojna ke tahta aur ghosna karte huye kaha ki ab Desh ke sabhi Kisan apne aavedan me kisi prakar ki sudhar karne ke liye sirf apne Phone Call ke madhyam se karba sakte hain.
Aap sabhi abhi ke samay me jan rahe hai ki Coronavirus ke sankrman ko kam karne ke liye pure desh me Lockdown lagu kar di gyi hai, Aise me Sarkari Adhikariyon ke Office band ho chuki hai, Aur jo jarurat ki chije hain wo sirf khola gya hai. Iske karan Sarkar bhi nahi chahti hai ki Farmer Agricultural Office me jakar crowd lagaye.
Lekin Sarkar ko yah bhi malum hai ki PM Kisan Samman NIdhi Yojna ke labh uhtne ke liye bahut aise kisan hain jinka Bank Account ya Aadhar Card Number ki jankari galat ho gyi hai. Isliye Sarkar ne in sabhi ko madad karne ke liye Helpline Number jaari kya hai, Jispar Call karke Koi bhi Kisan galat chijo ko sudhar karba sakte hai, Jo is page me niche provide karaya gya hai.
PM Kisan Samman Nidhi में सुधार किया जा सकेगा सिर्फ कॉल करके
Aap in Helpline Number par Call karke apni shikayat darj karba sakte hain, Aur sudhar karne ki aavashyakta ho to Bank Account Passbook aur Aadhar Card ki Photo lekar diye gye Number par Whatsapp kar sakte hain.
Agriculture Department ke Office me crowd kaam karne ke liye Tehsil Level par Mobile No jaari ki gyi hai, Jise PM Kisan Samman Nidhi Yojna ke Labharthi Kisan apni problem ko Call karke darj karba sakte hain.
Iske baad Kisano ko Agriculture Department Office PM Kisan me sudhar karne ke liye jane ki aavashyakta nahi hai. Kyonki PM Kisan Samman Nidhi Yojna ka labh na milne ke karan Kisan apni Porblem ko solve karane ke liye per day aate jate rahte hain. Isi ko kam karne ke liye is Mobile Number ko jaari ki gyi hai.
Helpline Number:-
Aap niche diye gye Helpline Number par Call karke apni Problem ko solve karba sakte hain, Ya fir kisi chij ko sudhar karana ho to aap is Number par apni Bank Account Passbook And Aadhar Card ka Photo karke Whatsapp kar sakte hain.
For The Farmers of Sadar Tehsil:- 9569508655
For The Farmers of Bindki:- 9569533613
For The Farmers of Khaga Tehsil:- 7497960054
Frequently Asked Questions
Q. Pm Kisan Samman Nidhi Yojna Helpline No. Kya hai.
Ans:- Aap PM Kisan Help Desk Email ID pmkisan-ict@gov.in Itna par par sampark kar sakte hain, Iska Toll Free Helpline No.:- 011-23381092 itna hai.
Q. PM Kisan Samman Nidhi Yojna Application Form upar bale No. se sahi karba sakte hain.
Ans:- Yadi aap aavedan karte samay kuchh galat number enter kiya hai to CSC Center se aap Account No. sahi karba sakte hain.
Q. Is Schemes ke liye Aavedan kaise karen.
Ans:- Aap PM Kisan Samman Nidhi Yojna ke liye online aavedan kar sake hain, Jiske liye aapko CSC Center me jana hoga.
Q. Pm Kisan Samman Nidhi Yojna ke liye Important Document kya hai.
Ans:- Aadhar Card, Bank Account, Kisan Credit Card, Khasra Khatouni Copy.
Aap sabhi ko is page me iske bare me saari jankari provide karaya gya hai, Yadi aap iske bare me kuchh aur jankari pradan karna chahte hain to comment box se puchh sakte hain.
sir hmare account me kyu rupaye nhi bheje ja rhe hai. Kya hm is yojna ka labh nhi le skte hm to berojgar hai sir mera job card v bna h lekin usse v koi help nhi mil rhi h sir . Mera name Aman%Awadhesh kumar h. Mera bank account nbr 34344799463 hai.
sir mera ifsc code SBIN0002559 Va bank Account nbr 34344799463 Address jaddupur basant khera bindki fatehpur 212657Pincode nbr hai. Adhar card nbr 267661400521 hai.
sir mera ifsc code SBIN0002559 Va bank Account nbr 34344799463 Address jaddupur basant khera bindki fatehpur 212657Pincode nbr hai. Adhar card nbr 267661400521 hai. Mob. Nbr 7388478254