RSS Full Form: Hello Friends, RSS ka do full form hota hai mainly rup se aur in dono ke bare me is article me aap sabhi ko jankari mil jayegai. Waise RSS ka full form Rashtriya Swayamsevak Sangh hota hai aur Technical world me RSS Full-Form Really Simple Syndication hota hai. To Dono ke bare me Niche baari baari se janenge ki ye kya hota hai.
RSS: Rashtriya Swayamsevak Sangh
To aap sabhi ko bata den ki Rashtriya Swayamsevak Sangh ek “National Volunteer/ Patriotic Organization” hai. Ye ek Hindu nationalist, right-wing, charitable, educational, Non-Governmental and world largest voluntary non-governmental organization hai jo India me kafi famous hai aur ye aajkal kafi charcha me rahta hai. Iski sthapna 27 Sept 1925 me Keshav Baliram Hedgewar ke dwara ki gyi thi. Iski ideology India me selfless service par based hai.
Iska main motive Bharat ko Vishv shakti aur param baibhav banana hai. Is sangh ka nirman is liye kiya gya tha taki apne bacho ko khoye hue hindu sanskar vapas dila saken. saath hi prakritik aapdao me bhi logo ki badh chadh kar madad karta hai.
Kabhi kabhi ise viollence ke liye criticize bhi kiya jata hai aur anti-muslim sangathan bhi kaha jata hai. First time ise 1948 me ban laga diya gya tha jab RSS member Nathu Ram Godse ne Mahatma Gandhi ki goli maar kar hatya kar di thi. Dusri bar ise emergency (1975-77) ke bich ban kiya gya tha aur 3rd time ise Babri Masdij demolition ke karan 1992 me ban kiya gya tha.
RSS: Really Simple Syndication
RSS ka full form Really Simple Syndication jo internet aur technical duniya me jana mana shabd hai. Ise Rich Site Summary ke naam se bhi jana jata hai. Iska upyog web content ke syndication me kiya jata hai aur web contents ko news feeds headlines, event summary and forum updates in XML based format me distribute karne ke liye bhi kiya jata hai.
RSS ke basic idea ko 1995 me Ramanathan V. Guha aur Apple Computer’s Advanced Technology Group me kaam kar rahe dusre logo ke dwara develop kiya gya tha.
RSS web contents ko automatically syndicate kar leta hai jo publishers aur readers dono ke liye upyog hota hai. Iske karan koi bhi readers kisi blog ya website ko subscribe kar pata hai jiske karan uska content baar baar padh pata hai bina us website par visi kiye hue apne email me.
Joy sri ram