UP

Uttar Pradesh Jansunwai Portal (Hindi) @jansunwai.up.nic.in

Written by A to Z Classes

Uttar Pradesh Jansunwai Portal:- Hello Guys, Uttar Pradesh Sarkar dwara Integrated Grievance Redressal System(एकीकृत शिकायत निवारण प्रणाली) Jansunwai Portal ki shuraat ki gyi hai, Jiske madhyam se aap aasani se apna shikayat darj karba sakte hain. Bata den ki yah ek online portal hai jise Jansunwai ka Naam diya gya hai, Is portal par UP ke Nagriko dwara darj ki gyi Shikayato ka iske sambandhit Department dwara nivaran kiya jayega.

Uttar Pradesh ke Mukhyamantri dwara Uttar Pradesh State me Shanti Vyavastha banaye rakhne ke liye lagatar pryash kiye ja rahe hain, Taki sabhi Nagriko ko kisi prakar ki samsya ka samna karna na pade. Kyonki Uttar Pradesh me Apradhik Ghatnao ke mamle me Desh ke anya Rajyo se kafi aage hai, Isi bato ko dhyan rakhte huye State Government dwara is Shayakat Nivaran Pranali Jansunwai Portal shuru kiya gya hai.

Uttar Pradesh Jansunwai Portal 2022

Is Online Jansunwai Portal ki shuruaat ke baad yadi koi Sarkari Staff aapke sath kisi prakar ki galat vyavahar karta hai, Ya bhrashtachar ko rokne ke liye shai se palan nahi karta hai to aap uski Shikayat bhi is Online Portal par darj karba sakte hain. Jiske sambandh me Sambandhit Adhikari 24*7 aapki Seva me uplabdh kiye jayenge, Aur aapki samasya ko jald se jald Samadhan kiya jayega.

Yadi aap bhi janana chahte hain ki Uttar Pradesh Jansunwai Portal par online Shikayat kaise darj karen ya iski Status ko kaise check karen in sabhi jankari is article ke madhyam se pradan karaya ja raha hai, Jiske liye aap is post ko last tak padh sakte hain.

Uttar Pradesh Jansunwai Portal Online Registration 2022

Yadi Rajya ki jin logo ka kisi bhi Sarkari Vibhag se judi koi karya nahi ho raha hai ya bahut hi kathinaiyon ka samna karna pad raha hai, To vah Jansunwai Samadhan Portal par jakar apni shikayat darj karba sakte hain. Aur jab sambandhit Department kam se kam samay me aapki samasya ka nivaran karega aur jab tak aapki Shikayat ka Nivaran nahi ho jata hai tab tak aap online madhyam se UP Jansunwai Complaint Stauts ko dekh sakte hain.

Aapko bata den ki is Jansunwai ki suvidha ko aage badhate huye Rajya Sarkar ne Helpline Number 1076 ko bhi shuru kiya hai, Aur is Jansunwai Portal se log kisi bhi samay aur kisi bhi Sthan se apni Shikayaten darj kara sakte hain. Unhe apni Shikayato ko darj karne ke liye various Sarkari Department aur Office ke chakar lagane ki aavashyakta nahi hai.

Name of SystemIntegrated Grievance Redressal System (IGRS)
StateUttar Pradesh
Started byUttar Pradesh Government
IGRS Portal NameJansunwai / Samadhan
BenefitProblem Solving
Registration ProcessOnline And Phone ke Madhyam Se
Official Websitehttp://jansunwai.up.nic.in

Types of Complaints in Samadhan / Jansunwai Portal

Uttar Pradesh ke Nagrik abhi sirf tin Shikayate is Portal ke madhyam se Darj karba sakte hai, Jo is page me niche bataya gya hai.

  • Government Schemes ke bare me jankari prapt karne ke liye
  • Jansadhanaran ki samasya se judi Shikayat
  • Aur Janta ki Mango se judi Shikayat

Complaints Not Accepted on Jansunwai Portal

Jansunwai Portal par Accept nahi ki jane bali Shikayate niche diya gya hai.

  • Information ke Adhikar se sambandhit mamle.
  • Honorable Court me Vicharadhin prakaran.
  • Sujhav
  • Aarthik Sahayata ya Naukri diye jane ki mang.
  • Sarkari Staff ke Service se Related Cases with (transfer) jab tak ki unhone vibhag me uplabdh option ka upyog nahi kiya ho.

Uttar Pradesh Jansunwai Portal Online Registration

Jansunwai Portal ke madhyam se Uttar Pradesh ke jo bhi vyakti online Shikayat Darj karbana chahte hain ve niche bataye gye step by step tarike ka upyog kar sakte hain.

  • Sabse pahle Jansunwai Online Portal par niche diye gye link se visit karen.
  • Iske home page se Compaint Registration bale option par click karen.
  • Ab aapse Jansunwai Portal par Complaint Subjects ki Shikayat ke liye sahamati manga jayega, Jisme aapko I agree par click karke submit karna hoga.
Jansunwai
  • Iske baad aapke samne ek Registraton ke liye ek Board open ho jayega, Jisme aapko apna Mobile No. ya Email-ID ke madhyam se Captcha Code enter karke OTP par Click karna hai.
  • Ab aapke Register Mobile par ek OTP aayega, Jise aap enter karke Submit par click kar den.
  • Iske baad ek Jansunwai Shikyat Registration form open ho jayega, Yaha par aapko apni Shikayat ko sahi se enter karna hoga.
Jansunwai
  • Sabhi jankari enter karne ke baad “सन्दर्भ सुरक्षित करे” link par click kar den.
  • Aapka is parkar se online Shikayat Registration pura ho jayega.

Official Website:- http://jansunwai.up.nic.in

How To Check UP Jansunwai Complaint Status

Aapko Shikayat Registration ka Number aapke Register Mobile No. ki sahayata se pradan kya jayega, Aap Register Number ki sahayata se apni Shikayat ki Status ki janch kar sakte hain. Jiske liye niche tarika batlaya gya hai.

  • Jansunwai me Register Shikayat dekhne ke liye UP Jansunawai Offcial Website par jana hoga.
  • Home page se aap “Track Complaint Status” bale option par click karen.
  • Iske baad ek Form open ho jayega, Jisme aapko apna Mobile No. aur Email-ID enter karna hai.
  • Ab aap “Security PIN” enter karke Submit bale button par click kar den.
  • Aap aasani se ki gi Shikayat ki Status ki janch kar sakte hain.

यूपी जनसुनवाई शिकायत निवारण देखें-

Agar kisi vyakti ne apni Online Shikayat Darj karbai hai aur samay par us par koi Action nahi liya gya ho to aap niche diye gye tarike ka palan kar sake hain.

  • Agar aapki Shikayat ka Nivaran nahi kiya gya hai to aap direct Chief Minister ko Reminder (अनुस्मारक) bhej sakte hain.
  • Iske liye aapko “Official Website” par jane ki aavashyakta hai.
  • Aur iske home page se “Send Reminder” bale option par click karna hai.
  • Ab aap yaha puchhi gyi sabhi jankari ko bharkar Reminder bhej sakte hain.

How To Download Jansunwai Mobile App Online?

Uttar Pradesh Jansunwai Mobile App online download karne ke liye aap apne Mobile Phone ke Google Paly Store me Jakar Online download kar sakte hain.

  • Aap apne phone ke Google Play me sabse pahle jayen.
  • Ab aap Jansunwai enter karke Search karen.
  • Aapko Jansunwai App dikhai dega, Jise Install karen.
  • Aur App ko Mobile me open karen, yaha par aapko Jansunwai Poral ki saari suvidhayen mil jayegi.  “Jansunwai Mobile App” 

Note:- Aapko dhyan rahe ki IGRS FOR OFFICER bale Link par click nahi karna hai yah Mukhyamantri Karyalaya ke Staff ke liye banaya gya hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment