Contents
CCTV Full Form in Hindi:- Yadi aap CCTV ke bare me Janna chahte hai to aaj ke is post me ham aapke sath CCTV Full Form, CCTV Full Form in Hindi, CCTV Kya Hai, CCTV ke Fayde, CCTV kaha kaha Use kiya jata hai, CCTV ki History, share karne ja rahe hai. Is article me aap sabhi ko CCTV se juri sari jankari Hindi me share ki gayi hai.
Full Form of CCTV in Hindi
CCTV ki Full Form – “Closed Circuit Television” hoti hai. Yah ek Camera hai, Jise ham nigrani ke liye upyog me late hai. CCTV ka upyog ek Sensitive Area (Ek vishes area jaha hamesa nigrani ki jarurat hoti hai aur jaha har samay dekhne bala nhi hota) me kiya jata hai. Aaiye ab CCTV ke bare puri jankari hindi me prapt karte hai.
CCTV Kya Hai?
CCTV ka Use kisi Main Gate, or Kisi Bank, aur Kisi officie aur jaha se logon par nigrani rakhe jaye, me iska jyadatar upyog kiya jata hai. CCTV camera ko Computer server se joda jata hai, Jo ki har ek Recording ko Hard disk me save kar leti hai.
CCTV Camera apne samne hone bali har hal-chal ko record karta hai aur Main server Computer ko send karta hai. Main Computer iski sabhi Recording ko apni Hard disk me save kar leti hai, Jab kabhi is Recording ki jarurat hoti hai to iska Use kiya jata hai.
CCTV vaise to Live chalta rahta hai, ise aap Live bhi dekh sakte hai, lekin agar aap kahi aur busy ho gye aur aapke Camera ke samne kisi tarah ki Accident hui hai to Recording ki madad se aap use bhi dekh sakte hain.
- IPL Full Form in Hindi | आईपीएल की पूरी जानकारी
- OBC Full Form in Hindi ओ बी सी का फुल फॉर्म क्या होता है
- OPD Full Form In Hindi, OPD ओपीडी क्या हैं
CCTV ki Puri Jankari
CCTV camera signal ya recording device par signal bhejne ke liye Wired ya Wireless transmission ka upyog karta hai. Iski khash bat yah hai ki yah Video, Audio dono ko live telecast karta hai. CCTV camera me kam light me video record karne ke liye isme Night Vision Capability bhi hoti hai. CCTV camera publicly har jagah to use nahi kiya ja sakta lekin ise Security Purpose ke liye use kiya ja sakta hai.
CCTV के Basic Components
- Video Recorders (DVR or NVR)
- Cables (RJ45 or RJ59 Cables)
- Security Cameras (Analog or Digital)
- Display Unit (optional, usually a monitor)
- Storage Unit (usually a Hard Disk)
CCTV ka invention Walter Bruch ne 1942 me kiya tha, Ab aap ye to jaan hi gaye honge ki iska use nigrani ke liye kiya jata hai. Aur ye kaam Security purpose ke liye kiya jata hai. CCTV ko ek Closed Circuit Television isliye kaha jata hai kyoki CCTV Camera ke dwara Recorded Video ko publicly distribute nahi kiya jata hai. CCTV ka upyog sirf aur sirf Security Purpose ke liye kiya jata hai.
CCTV ke Labh aur Fayde
- CCTV apradh ke dar ko kam karta hai.
- CCTV choro ke liye bahut badi badha hai.
- CCTV remote monitoring ki suvidha deta hai.
- Ise ghar ki Suraksha ke liye ek behtarin vikalp ke rup me istemal kiya ja sakta hai.
- Yah dukan me chori karne balo ke liye mushkil ko badhata hai.
- CCTV Recording apradhik mamlon me Police ki sahyata karta hai.
Aise jagho par aam tour par CCTV lagaye jate hai:-
- Shops and Multiplexes
- Banks
- Schools or Colleges
- City Roads and Highways
- Airports and Railway Stations
- Industrial Plants
- Government Offices and Buildings
Conclusion
To aaj ke is post me aap sabhi CCTV se judi sari jankari di gayi, Aasha hai aapko pasand bhi aaya hoga, Yadi aapko CCTV se judi yah post achhi lagi to ise apne doston ke sath jarur share karen.