Full Form

OPD Full Form In Hindi, OPD ओपीडी क्या हैं

OPD Full Form
Written by A to Z Classes

OPD Full Form Kya Hota Hai:- Hello Friends, Kya aap jante hain ki OPD ka full form kya hota hai, OPD kise kahte hain, OPD ka upyog kaha kiya jata hai, OPD kya hota hai. To ye saari jankari is article ke madhyam se aap sabhi ko diya ja raha hai jise aap jan saken ki OPD ka full form kya hota hai aur ise hindi me kya kata hain. To aap iske bare me pura jankari parapt karne ke liye is post ko pura padh sakte hain.

OPD Full Form: Outpatient Department

OPD Ka Full Form – Outptient Department hota hai aur OPD ko hindi me (बाह्य रोगी विभाग) bhi kahte hain. Bata den ki yah hospital ka ek department hai jo patient aur hospital ke staff ke bich contact ki pahli event hoti hai. Aur Jab patient pahli baar hospital me entry karta hai to patient ko sabse pahle Outpaitent Department (OPD) me le jaya jata hai jise ham OPD kahte hain. Aur Yah department un sabhi patient ke liye designing kiya gya hai jinhe hospital me rukne ya admit hone ki aavashyakta nahi hoti hai. Yah pahle patient ki bimariyo ka pata lagaya jata hai tab doctors ko patient ka admit hona jaruri lagta hai tab use hospital me admit kar liya jata hai.

Phir OPD ka Staff decide karta hai ki patient ko kis department me jana chahiye lekin aam taur par OPD hospital ke lower floor par hi hoti hai aur iske kayi khando me vibhajit kiya ja sakta hai jaise ki neurology department, bone disease department, female disease department aur general medicine department ityadi hoti hai. Yaha par patient sabhi formalities ko pura karta hai aur phir related department me jata hai yaha par patient ki jyada health khrab hone par use ICU me shift kar diya jata hai.

OUTPATIENT:- Out-Patient wo patient hai jise 24 hours ya us se adhik ke liye hospital me bharti nahi kiya jata hai lekin treatment ya diagnosis ke liye clinic ya hospital me jata hai.

Inpatient:- Inpatient wo patient hota hai jise night filled ya kai days ya week ke liye hospital me bharti karaya jata hai.

Out-Patient Department (OPD) के विभिन्न भाग

  • Neurosurgery
  • Neurology
  • Cardiology
  • Cardio-Thoracic Surgery
  • Nephrology & Renal Transplant Surgery
  • Uro surgery
  • Orthopaedics & Joint Replacement Surgery
  • General & Laparoscopy Surgery
  • Gastroenterology & HepatologyInternal Medicine 

Out-Patient Department की Service?

Consultaion Chambers:- Yah ODP ka wo department hota hai jaha patient ko Medical, Surgical, Dietetics and Specialists ki opinion diya jata hai.

Diagnostics:- ODP ka wo collection point hota hai Jaha Radiology, Pathology, Microbiology aur other Clinical Services ka sample gather kiya jata hai.

Pharmacy:- OPD ka yah ek deparment hota hai jaha patient ko medicine provide karaya jata hai. Aur baki service isme jarurat ke hishab se jodi jati hai.

Examination Rooms:- Aur yah ODP ka wo department hota hai jaha patient ko examine(जाँच) kiya jata hai jis se unki bimari ko pata jagaya ja sakta hai.

Conclusion

To is tarah aaj ke is article me aap sabhi ke saath OPD ki puri jankari iske full form ke saath share ki gyi hai. Ab aapko Google par What is the full form of OPD nahi search karna padega.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Comment