Contents
CRPF Full Form Kya Hota Hai: Hello Friends, Kya aap jante hain ki CRPF ka Full Form kya hota hai. Yadi nahi, to is article me batane bala hu ki CRPF ka full kya hota aur ise hindi me kya kahte hain. Yaha par aap sabhi ko iske bare me puri jankari hindi me diya ja raha hai taki aap bhi jaan saken ki CRPF kya hota hai aur iska full form kya hota hai. Aur isme service yani sarkari naukri karne ke liye aapko kya kya karna parta hai to total jankari is post ke dwara yaha par diya jayega.
Central Reserve Police Force (CRPF)
Ji Haa, CRPF ka Full Form (Central Reserve Police Force) hota hai aur ise hindi me केन्द्रीय रिज़र्व पुलिस बल kaha jata hai. yah ek Paramilitary Force hai jo india ke sabse bari Central Armed Police Force hai aur CRPF India Government ke grih mantraalay ke tahat kam karta hai. Is Force ke sabhi State ke Government ko unke kanun vyavastha banae rakhne ka kam hota hai. CRPF ka Headquarters New Delhi me sthit hai.
Aapko bata de ki is force ko Paramilitary Force ke name se jana jata hai. 27 July 1939 ko CRPF Ek crown Representative Police ke rup me pahli bar samne aaya tha. Aur ise aajadi ke baad 28 December 1949 ko CRPF Act ke rup me Central Reserve Police Force me badal diya gya tha. CRPF ek paramilitary force hai yah central government ke niche kam karta hai is liye kisi bhi state ke border par ise bandhkar nahi rakha jaha hai.
Central Reserve Police Force (CRPF) ke bare me special baat yah hai ki india ke subse bara paramilitary Force hai is Paramilitary Force me lagbhag 239 Battalion ka samaavesh hai Aur in sab bataalion ki sankhya samay ke anusar din par din badhta hi rahta hai. CRPF ko aaj ke samay me sabse bata paramilitary Force mana jata hai.
CRPF ke Liye Qualification
Ab aap logo ko upar me CRPF ke bare me puri jankari de diya hai lekin ab ham bat karte hain ki CRPF me join karne ke liye iska qualification kya hota hai. To agar aap Central Reserve Police Force me apna career banana chahte hain to iski puri details jarur pata hona chahiye.
Age Limit
- 20 Years Se Lekar 25 Years Tak
Educational Qualification
- 10th + 2 / Diploma / ITI
Hight Male
- 153 CM
Hight Female
- 140.5 CM
Male Chest Inflated
- 74.5 CM
CRPF Ka Kaam Kya Hota Hai
- CRPF VIP Personality ko Security me Rahne ka Kam Karta hai.
- State aur kendra sashit pradesh me aatankvaad aur naksalavaad ko rokne ke kam me ata hai.
- CRPF ka pahla kaam kendra shasit pradesh mein kaanoon vyavastha banaye rakhne ka hota hai.
- CRPF ka airport, parliament, chief minister etc ke security me bhi kaam liya jata hai.
- CRPF ka kaam election jaha hota hai waha koi danga na hone ke liye diya jata hai.
To is tarah Central Reserve Police Force (CRPF) ke bare me aapne kafi vistar se jana ki ye kya hota hai aur kaise kaam karta hai. CRPB kaise ban sakte hain uske bare me bhi jankari aap sabhi ko di gayi hai. Aur sabse important baat ki aap sabhi ko CRPF ka full form bhi bataya gya hai.
[…] ki team 12 battalion ki Paramilitary Lines Force hoti hai isme 3 BSF, 2 CISF, 3 CRPF, 2 ITBP, Aur 2 SSB ki force Shamil hote hain. Aur yah force earthquake ke Samay earthquake se […]