Contents
DNA Full Form In Hindi: Hello Friends, Kya aap jante hain ki DNA ka full form kya hota hai. Aapne DNA ka nam to kahi jarur suna hoga ye jyada tar News me sunne ko milta hai. Aap sochte honge ki DNA akhir hai kya iska full form kya hota hai iska kam kya hota hai. To is article me aap sabhi iske bare me pure detail ke saath batane ja raha hu taki aap jan saken ki DNA ka full form kya hota hai iski puri jankri aaplog ko is post me diya ja raha hai.
DNA Full Form in Hindi
To sabse pahle bata de ki DNA ka Full Form (Deoxyribose Nucleic Acid) hota hai aur ise hindi me bhi डिऑक्सी रइबो न्यूक्लिक अम्ल hi kaha jata hai. Baise to agar aap 12th science stream se kiye hain to usme DNA ke bare me kafi jankari diya jata hai. Bahi aap graduate agar biology se kiye hain to usme bhi DNA ke bare me pura bataya jata hai. To sabse pahle aapko bata de ki yah ek aisi snarachna hai jo ke sabhi Living cell me payi jati hai.
- Aur bata de ki DNA ka khoj बैज्ञानिक जेम्स और फ्रांसिस क्रिक ne 1953 me kiya gya tha aur ise khog karne ke liye inhe 1962 me नोबेल पुरस्कार se sammanit bhi kiya gya tha.
- DNA (Deoxyribose Nucleic Acid) ek aisa acid hota hai jo ki pidhi dar pidhi ek dusere me jata hai jise ki aap me apke father ka DNA hai.
- Yah har ek Human ke andar me paya jata hai yani isko aap apni akho se dekh nahi sakte hain lekin yah aapke blood me included jarur hota hai.
- Iske karn jab aapka blood test hota hai to aap uski madad se DNA test bhi karwa sakte hain. Aur hamesa kisi santan ke andar father ka hi DNA paya jata hai jske karan kabhi iska test hota hai to father ke saath hi hota hai.
DNA Test Kya Aur Kaise Hota Hai
Aapne to news me bhaut jyada suna hoga ki DNA (Deoxyribose Nucleic Acid) test kya hota hai, lekin aapko pata nahi hoga ki DNA test kaise hota hai aur kyo hota hai. To aapko bata de ki DNA ke lagbhag 1200 trah ke test uplabdh hote hain. DNA ek pidhi se dusre pidhi me utpan hote rahta hai jisme har human ke andar 46 gunstar hote hain. Jisme se 23 father me aur 23 mother me hote hain.
DNA Test Kya Hai
Bata den ki DNA test Genetic testing ke andar se hota hai genetic testing hamare jean ko check karta hai genetic testing ki madad se jean me parivartan kareke kisi beemari ke karan bhi pata kar sakte hain.
DNA Test Kaise Kiya Jata Hai
DNA test karwane ke liye human ke hair, blood, skin, (एम्नियोटिक फ्लुइड ) ka sample le sakte hain. Aur iske alawa aap uske cheeks ke interiors part ka sample bhi le sakte hain. Aapko bata de ki mouthwash ke jariye mouth ke andar cell jama kiye ja sakte hain. Inhe janch karne ke liye Accredited laboratories(मान्यता प्राप्त प्रयोगशालाएं) jo hai 10 se lekar 40 hajar tak charge karti hai iska janch ki report 15 dino ke andar me mil jati hai.
Same reason se kahte hai ki har human ka DNA Immortal (अमर) rahta hai wo kabhi death nahi hota hai. Agar kisi ke DNA me parivartan paya jata hai to use mutation kahte hain.
Yah parivartan cell me upshthit kisi fault ke karan utpan hota hai ya UV radiation (पराबैंगनी विकिरण) ke karna se hota hai. ya kisi bhi Chemical elements (रासायनिक तत्व) ya virus ke karan bhi ho sakta hai.
DNA Ke Prakar
Bata de ki DNA Nucleotide naam ke Molecules(अणुओं) ko milakar banaya jata hai har ek nucleotide bhi 3 prakar ke hote hain. Phosphate molecule, sugar molecule, nitrogen base bhi 4 prakar ke hote hain jo DNA ki sanrachna banate hain.
- Adenine ( एडेनिन )
- Guanin ( ग्वानिन )
- Thiamin ( थायमिन )
- Cytosine ( साइटोसिन )
Conclusion (निष्कर्ष)
To aap sabhi log jane ki hamare body ke liye DNA bhaut aavashyak hota hai iske dwara bahut saari aavashyak bato ko pata lagaya ja sakta hai. Ye aapradhik janch me bhi DNA ka upyog kiya jata hai aur genetic problems ko solve karne me DNA ka hi upyog karte hain. To ye sab puri jankari aap logo ko yaha par de diya gya hai jise aap padhkar smagh sakte hain ki DNA hamare liye kiya aavashyak hota hai.