Contents
CISF Full Form In Hindi:- Hello Friends, CISF ka Full Form kya hota hai, CISF Hindi me kise kahte hain, CISF ka pura naam kya hota hai aapko pata hai? Agar aapka answer nahi hai to is article me aap sabhi ko iske bare me puri jankari diya ja raha hai, To aap is post ke madhyam se CISF ke bare me puri information prapt kar sakte hain.
Indian government alag alag department ke liye har saal bahut saari job nikalti rahti hai. Yadi aap ek soldier ke taur par contury service ke liye Central Government me work karna chahte hain to ham aapko is post ke madad se yahi advice dena chahege ki CISF iske liye best hai agar aap bhi iske liye taiyari kar sakte hain tab. Aur jankari aap sabhi ko iske bare me niche diya gya hai.
CISF Full Form (Central Industrial Security Force) केन्द्रीय औद्योगिक सुरक्षा बल
Aap sabhi ko bata den ki CISF ka Full Form Central Industrial Security Force hota hai aur ise Hindi me (केन्द्रीय औद्योगिक सुरक्षा बल) bhi kahte hain. CISF Ek Aisa Paramilitary Force hai jiska main work government factories aur other government undertakings ko security(सुरक्षा) provide Karna hota hai. Aur iske alawa CISF country ki internal security jaise VVIP Security, Merto, Nuclear Institute, ityadi ki suraksha karte hain.
CISF ki gathan 1969 me hua tha. Yah sidhe Home Ministry ke under me aata hai aur iska headquarter New Delhi me hai. Aaj ke date me CISF ki sankhya lagbhag 1.50 lakh se jyada hi ho gyi hai. Central Industrial Security Force ko 7 regions jaise Airports, North, Northeast, East, West, South and Training me baata gya hai. Aur iske paas ek Fire Service Wing bhi hai ye fire wing industries me fire accidents ke dauran help karta hai.
CISF Ki Puri Jankari Hindi Me
Aaj kal ke bahut sare log chahte hain ki vo sarkari naukri me apna future banaye lekin kam jankari ki vajah se ve piche rah jate hain. To aise me is post ke madhyam se CISF kaise bante hain aur iske liye kya yogyta honi chahiye uske bare me saari jankari diya ja raha hai. To Pahle aap sabhi ko bata dete hai hain ki CISF ka history kya hai.
Central Industrial Security Force (केन्द्रीय औधोगिक सुरक्षा बल) ki shuruaat 10 March 1969 ko Indian Parliament ke dwara banaye gye ek Central Industrial Security Act 1968 (50 of 1968) ke tahat huyi thi, jab is force ki sthapana ki gyi thi, Us time isme kebal 3 battalion aur total 2800 staff Kam karte the. Jaisa ki aap jante hain ki iski sthapana karne ka main uddeshy Public Sector Undertakings tha jinka us time country ki economy me ek mahtvapurn place tha, aur unko security provide bhi karna tha.
Agar baat kiya jaye pichhle four decades ka to in decades me CISF ka vistar jyada hua hai. Aur is Sangathan me jaisa ki upar me bataya gya ki present time me lagbhag 1.50 lakh se jyada log apni services de rahe hain. Aur jab se economy ka liberalization(उदारीकरण) aur globalization(वैश्वीकरण) hua hai, tab se CISF kebal PSU kendrit sangathan nahi raha, CISF ke work karne ka scope Aaj ke time me bahut bada ho chuka hai. Aur Is sanghatan ko India ke ek Armed Force ke roop me 15 June 1983 me manyata prapt huyi. Aur yah Sangathan India ki Chief Multi-Skilled Security Agency ban gyi, jiska responsibility contury ke chief sensitive infrastructure installations ko security provide karna hai.
CISF Ka Syllabus ASI & Constable Ke Liye
Iske exam me nimn subjects se prashn puchhe jate hain aur iske marks bhi niche bataye gaye hain.
- Numerical Ability – 50 Marks
- General Intelligence and Reasoning – 50 Marks
- Comprehension and communication skill – 50 Marks
- General Awareness & Professional Knowledge – 50 Marks
A career at CISF, CISF में करियर
Aapko bata den ki CISF ke liye har saal different post par bharti nikalti rahti hai, jinme se Assistant Commandant, Assistant Sub Inspector, Sub Inspector, Head Constable, Constable / Tradesman, Driver ityadi jase post Shamil hai. Aur aapki jankari ke liye bata den is department me sabse jyada Constable Trademan ki Bharti nikalti hai, jiske liye aapko following conditions ko pura kana hota hai.
- CISF Constable post ke liye educational qualification ke adhar par har candidate ko 10th pass hona bahut aavashyak hai.
- CISF Constable post ke liye age lagbhag 18 se 23-25 years tak aur SC, ST or OBC ko rules ke anusar exemption(छुट) ka provision hai.
CISF Constable Post Ke Liye Medical
CISF Central Industrial Security Force post ke liye medical bhi karaye jate hain. Aur agar aap iske medical ko paas kar lete hain tb jakar aap isme Naukri kar sakte hain. iske medical ke bare me aap niche dekh sakte hain.
Male Height – 170 CM Aur, Female Height – 157 CM
Male Chest – 80 cm se 85 cm
Male Running – 16 Second me 100 Metre
Female Running – 18 Second me 100 Metre
Long Jump Male – 12 Feet 3 Chance Me
Long Jump Female – 9 Feet 3 Chance Me
High Jump Male – 3 Chance me 9 Feet
High Jump Female – 3 Chance me 3 Feet
Yaha Head Constable ke liye kul milakar 3 base par selection process puri ki jati hai. Jisme document verification, CBT and Skill test bhi liya jata hai. Aur jo koyi inhe paas kar leta hai bo in naukri ke liye Select ho jate hain.
Conclusion
To is tarah aaj ke is post me aap sabhi ko CISF ki puri jankari, CISF ka full form ityadi ke bare me bataya gya. Article achhi lagi to ise apne friends ke saath share jarur karen.