Full Form

GDP Full Form: GDP क्या है और कैसे Calculate किया जाता है?

FULL FORM OF GDP
Written by A to Z Classes

GDP Full Form in Hindi:- Hello Friends, Aaj ham bat karenge GDP ki, GDP Full Form, GDP Kya Hai, GDP Calculate Kaise Karte Hai, Kisi bhi desh ki Economy ke vikas ke Level ko samjhne ke liye GDP ka upyog kiya jata hai. Desh ki Economy me GDP ka bahut bada yogdan hota hai, Ek majbut GDP bale desh ki Economy bhi majbut hoti hai. Yadi desh ki GDP me giravat hoti hai, To us Desh ki Economy ko achha nahi samjha jata hai. To aayie in sabhi chijo ki jankari ham vistar me prapt karte hai.

GDP Full Form in Hindi

GDP ki Full Form – “GROSS DOMESTIC PRODUCT” hoti hai, GDP ko hindi me “सकल घरेलु उत्पाद” kahte hai. GDP ka upyog kisi bhi desh ki Economy ko mapne ke liye kiya jata hai, Isko is tarah samjha jaa sakta hai, Kisi bhi desh ki sima rekha ke andar utpadit Vastu aur Seva ka bajar me Mulya kitna hai. Mulya adhik hone par desh ke andar Videshi Mudra (Foreign Exchange) jyada aayegi, Jisse desh tej gati se Vikas kar sakega. Aur yadi utpadit Vastu aur Seva ka Mulya kam hai, to us desh ki economic situation sahi nahi hai.

Bharat me GDP me yogdan dene bale mukhya tin sectors hai:- industry, services sector and agriculture. GDP desh ki Economy ko nirdharit karne bala prathmik sanketak hota hai. GDP ki ganna karne ke liye kai drishtikon hote hai. Agar ham ek saral drishtikon ki bat karte hai, To yah kul private consumption, gross investment and government expenditure ke equal hota hai.

GDP Kya Hai Hindi Me

GDP kisi bhi desh ke consumer goods aur services ka bajar mulya hota hai. Yah desh ki kul utpadan ko mapne ka kam karta hai, aur iske sath hi yah desh ki Economy ko samjhne ka sabse achaa tarika hai. Iske antragat ek desh me ek saal me jitna utpadan hua aur uske sath hi aapke dwara seva ka kitna upbhog kiya gaya hai, Dono ki ganna ki jati hai. GDP ki ganna aamtour par varshik aadhar par ki jati hai parntu iski ganna tin mahine par bhi ki jati hai.

Government har tin mahine aur varshik dono ke liye GDP ka anuman jari karti hai. GDP is bat par dhyan deti hai ki utpadan kaha se prpat ho raha hai na ki is bat par dhyan deti hai ki ise koun utpan kar raha hai. GDP sabhi gharelu utpadano ka mapan karta hai.

GDP Kaise Calculate Hota Hai

Doston GDP ko Calculate karne ke liye kai drishtikon hote hai, Lekin ham ek saral drishtikon ki bat kare to yah kul private consumption, gross investment and government expenditure ke equal hota hai.

GDP (सकल घरेलू उत्पाद) = उपभोग (Consumption) + कुल निवेश (Gross Investment) + सरकारी खर्च (Government Spending) + [निर्यात (Imports) – आयात (Exports)]

GDP = C + I + G + (X − M)

Consumption ( उपभोग ):- Adhiktar gharelu kharch, Upbhog me gharelu kharch shamil hote hai jaise ki kiraya, khana, medical kharch aadi.

Gross Investment ( कुल निवेश ):- Yah upbhokta Goods and Services par kiye jane bala kharch hai. Yah desh ki andar goods and services par sansthano ke dwara kiye gaye kul kharch ka mapan karta hai.

Government Spending ( सरकारी खर्च ):- Isme sabhi prkar ke kharch shamil kiye jate hai. Jaise ki Government employee ka Vetan, Sena ke liye Hathiyar, Aur sarkar ke dwara kiya gaya Nivesh.

Imports ( निर्यात ):- Import me any deshon ke liye upbhog me taiyar kiya gaya Goods and Services ko gina jata hai. Tatha GDP me joda jata hai.

Export (आयात ):- Isme export ki gayi goods and services shamil hote hai. GDP ki ganna ke liye Export ko ghataya jata hai.

Production Method of Counting GDP

Production Method ka bhi Desh ki GDP me bada yogdan hota hai. To aayie iske Method jante hai ki kaise ki iska GPD calculate kiya jata hai.

  • Kisan Gehu utpadan karta hai 100 kg …. 2000 रु. me bechta hai.
  • Aaten mil ne use kharid liya, isko pisa aur kisi Bakery bale ko 2500 रु. me bech diya. (Pichli kharid se +500 रु. added )
  • Bakery bale ne Bread aur Biscuit banya aur hamen bech diya 3500 रु. me (Pichli kharid se +1000 रु. added)
  • To kul GDP kya hua???
  • 2000+2500+3500= 8000 रु. ????  Nahi Nahi … Aapko value added dekhna hai.
  • Iska Kul arthik mulya (money value) = 2000+500+1000=3500.

GDP Of India in 2020

$12.363 trillion Economy of India. $3.202 trillion (nominal; 2020 est.) $12.363 trillion (PPP; 2020 est.)

Conclusion

Aaj ke is Post me hamne GDP ke bare me sari jankari share ki hai. Yadi aapke man GDP se judi koi saval ho to use Comment box me comment kar jarur puche, ham aapke saval ka javab jarur denge. Yadi aapko yah GDP Article achhi lagi to ise share jarur kare.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment