Full Form

KYC Full Form in Hindi | KYC क्यों जरुरी है

KYC Full Form
Written by A to Z Classes

KYC Full Form in Hindi:- KYC ka Naam to aap sab se ne suna hi hoga, Aaj Bank me account kholne ke alaba Loan lene tak sare chijo me KYC ki jarurat padti hai. Yadi aap KYC ki puri jankari Hindi me janna chahte hai to is post me aap sabhi ko KYC Kya Hai, KYC ki Full Form, KYC kyu Jaruri hai in sabhi savalon ka javab diya gaya hai.

Aaplogon ko KYC ki jarurat har Jagah padti hogi jaise ki Bank me Khata kholna, Bank Loan, Locker Lene, Credit Card banbane, Mutual Fund kharidne, Post office, Bima lene yadi me KYC Form bharne ki aavshykta padti hai. To chaliye jante hai KYC kya Hai aur iska Full form kya hota hai.

KYC Full Form In Hindi

KYC ki Full Form – “Know Your Customer” hoti hai, KYC ko Hindi me “अपने ग्राहक को जानिए” kahte hai. Bank apne sabhi Customer ki puri Information rakhne ke liye KYC ki form bharvati hai taki vo Aapka Data apne yaha Save kar ke rakh sake isi ko KYC kahte hai.

KYC Kya Hai – KYC Meaning

KYC RBI ke dwara shuru ki gayi hai jo ki ek prkar ki Identification hai. Iske jariye Bank apne Customers ke pahchan ki pushti bahut hi aasaani se kar leti hai. KYC ka form har Ek Account Holder ko bhar kar Bank me jama karna hota hai. RBI ke instructions ke anusar har Bank Account holder ko KYC karbana anivary hota hai.

Saral bhasha me kahe to KYC customer ke bare me jankari update karne ki ek samnay prakriya hai. KYC ke dwara yah sunischit kiya jata hai ki koi vyakti kahi Banking sevaon ka durupyog ya galat istemal to nahi kar raha hai, aur KYC Process dwara vyakti aur uski pahchan sunischit ho jati hai. Aur financial institutions is bat se convinced ho jati hai ki customer ke dwara Document sahi hain.

Aaj ke samay me sabhi Bank aur Financial Institutions apne Customers se KYC Document dene ko kahti hai, Isse Bank ko pata rahta hai ki Customer kaha ka rahne bala hai, koi kale dhan ka paisa to jama nahi kara raha, Uska aamdani ka tarika kya hai, aur ye sabhi chije hi Bank KYC ke rup me apne pass rakhti hai.

KYC Documents Jama Kaise Kare?

KYC jama karne ke liye koi Online Tarika nahi hai, Iske liye aapko Bank or Financial Institutions me jakar hi apne Paper Deposit karni hoti hai. KYC ke liye ek Form milta hai is Form ko bharkar aapko iske sath apna Aadhar Card aur apna Address Proof ki Photocopy dene hoti hai. Aapko KYC me niche diye gaye documents jama karne hote hain:-

  • Customer Name
  • Date of Birth
  • Father’s Name
  • Mother’s Name
  • Marital Status
  • Address Proof
  • Identity Proof
  • Contact No
  • PAN Card
  • Source of the Funds

KYC Document List

KYC Documents me aapka Pahchan patra, aapka pata aur ek aapka Photo hota hai. Bharat sarkar ne vyakti ke pahchan ke liye kai prkar ke documents ko KYC ke liye manya hai Jaise:-

  1. Passport
  2. Voter’s Identity Card
  3. Driving Licence
  4. Aadhaar Card
  5. NREGA Card
  6. PAN Card

KYC Verification ke liye Bharat sarkar ne Aadhar Card ko KYC ke liye aavashyak document mana hai, Lekin aap Pan Card, Driving License, Bijli ka bill, Parivar ka Rashan Card aadi se bhi Verification karba sakte hai.

Conclusion

Aapko hamari aaj ki post kaisi lagi? aaj hamne aapko bataya ki KYC Kya Hai, KYC ki Full Form, KYC kyu Jaruri hai. Ummid hai ki aapko samjh aaya hoga aur pasand bhi aaya hoga. Ham asha karte hai ki aapke savalon ka javab mil gaya hoga agar koi dikakt ho aap use comment me puchh sakte hai.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Comment