Full Form

UPSC Exam क्या होता है? UPSC Full Form in Hindi

full form of upsc
Written by A to Z Classes

UPSC Full Form:- Aaj ke is post me UPSC ke bare me janege. UPSC kya hota hai, UPSC ka Syllabus kya hota hai, UPSC ke liye Egibility kya hoti hai, UPSC ki History. Agar aap UPSC se judi inhi savalon ki khoj kar rahe hai to is article me aap sabhi ko UPSC ki puri jankari Hind me di gayi hai.

Koi bhi Exam kisi Organization (Sanstha) ke bina nahi hota, iske liye koi sanstha jarur kam karti hai. Aapne State level se National level ke Exam ke liye Apply kiya hoga. National level tak ke exam ke liye bhi sansthayen hoti hai, Isi tarah ke National level tak ke Exam karbane ke liye sanstha UPSC hai.

UPSC Ka Full Form क्या है

UPSC ki Full-Form – “Union Public Service Commission” hoti hai. UPSC ko Hindi me “संघ लोक सेवा आयोग” kahte hai. Ye National level ke kai bade Exam karbati hai aur ye Bharat sarkar dwara sanchalit organization hai. Jiska kam Alag-Alag bhibhago ke liye Staff ka Recruitment karna hota hai.

UPSC Full Form in Hindi

तो जैसा की ऊपर आपने जाना की UPSC का फुल फॉर्म संघ लोक सेवा आयोग होता है जो Union Public Service Commission का हिंदी रुपान्तरण है. इसके बारे में और जानकारी के लिए आप इस पोस्ट को पूरा पढ़ सकते हैं.

UPSC Kya Hota Hai?

UPSC Central government ke dwara Group A or Group B ke liye Staff employee appoint karti hai. Jaisa ki hamne bataya ki UPSC kai bade bade Exam national level ka karbati hai. Jinme se kuch Exam ke naam niche diya gaya hai.

  • Civil service exam
  • Engineering Services Examination
  • Nine military academy Exam
  • Indian Forest Service Examination
  • Joint Medical Services Examination
  • Combined Defense Services Examination
  • Central Armed Police Force Examination
  • CISF Exam

Aadi kai Exam Central government ke dwara karai jati hai, Jinse lakhon Candidate ki Bharti ho pati hai.

UPSC Ke Liye Qualification

Koi bhi Exam dene ke liye aapke pass Qualification honi chahiye. Yah ek National Level ka Exam hai, Lekin iske adhiktar Exam dene ke liye kisi badi Degree or Diploma ki jarurat nahi hoti hai. Iske liye aapko Graduate hona hi kafi hai. Yadi aap Graduation 3rd year me hai aur iska Exam de chuke hai, to aapko jankar khushi hogi ki aap bhi UPSC ka Exam de sakte hai. Agar aap 12th tak ki padhai puri kar chuke hai, aur soch rahe hai ki iska Exam de paye. To ye mumkin nahi hai, Iske liye aapke pass Under Graduate ki degree honi chahiye.

UPSC Ka Syllabus

  • Preliminary Test:- Is Exam me aapko do Tarah ke Paper dene hote hai. Dono hi paper 200 Marks ke hote hai aur in dono paper ko karne ke liye 2 – 2 ghante diye jate hai. In Papers me aapko kam se kam 33% Marks lana aavashyak hai.
  • Mains Exam:- Is Exam me aapko do Qualifying paper aur 7 Main Paper dene hote hai.
  • Interview/Personality Test:- Is Exam me Candidate ko Apne Knowledge Personality ka Traning hoti hai.
  • Note:- Yah Syllabus kisi aur Exam ke liye badal bhi skati hai.

UPSC Ke Liye Egibility

Yadi aap UPSC ke liye Apply karna chahte hai, to niche diye gaye yogyta ke parameters ko janna bahut hi jaruri hai.

  • Aaapka Bhartiy Nagrik hona aavashyak hai.
  • Aapka aayu kam se kam 21 year se 32 year tak rahni chahiye.
  • Height {Male – 5.4ft (165 CM)}, {Female – 4.9ft (150 CM)}
  • Aapke pass kisi Affiliated University se Graduation ki Degree honi chahiye.

UPSC History

Kafi samay pahle 1919 ke Indian Government Legislation me hi aise aayog ki sthapna par vichar kar liya gaya tha. Lekin us samay kai karno se is aayog ko banaya nahi ja saka. Iski sthapna ke liye English ruler Lord Lee ke dwara 1923 me vichar vimarsh ke liye ek royal commision banaya gaya. Is commision ka udeshy iske sthapna par bal dene ke liye tha, taki jald se jald iski sthapna ki ja saki. Is aayog ki sthapna par apne vichar rakhne se October 1926 me sthapna ho payi. Is aayog ki sthapna ka udshey bade bade padon par Employee ki bharti karne ke liye kiya jata hai. Iske pahle President Sir Ros Barker the.

To yadi aapko UPSC se judi yah jankari pasand aayi ho to, niche comment box me comment karke bata sakte hai. Yadi aapko UPSC se judi yah Post achhi lagi ho to ise share jarur karen.

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

3 Comments

Leave a Comment