Hello Friends, NRC ke baad ab ek naya word NPR aaj kal bahut popular ho raha hai to ye kya hai uske bare me puri jankari aap sabhi ko is article me di jayegi. Aap sabhi ko bataya jayega in dono ke bare me hindi me. To ham is article me charcha karenge NPR vs NRC ki aur aap sabhi ko pahle hi CAB, CAA aur NRC ke bare me bataya ja chuka hai.
To aaj ham naye word NPR ke bare me vistar se janenge ki ye kya hai aur ye kaise NRC se alag hai. Sabse pahle shuruaat karte hain NPR ke full form se.
NPR Full Form in Hindi
To Doston, NPR ka full form National Population Register hota hai aur ise hindi me राष्ट्रीय जनसंख्या रजिस्टर (NPR) kahte hain. To iska mukya uddeshya pure india me Jangan-na karna hai. Bata den ki abhi is par kaam shuru hi hua aur abhi se hi iska virodh hona shuru ho chuka hai kyoki ise NRC se jodkar dekha ja raha hai. Lekin Govt. Kahti hai ki iska NRC se koi sambandh nahi hai.
To aap sabhi ko bata den ki NPR (National Population Register) यानी राष्ट्रीय जनसंख्या रजिस्टर जनगणना Karne ki ek prakriya hai aur iske tahat 1 April 2020 se 30 Sept 2020 tak India ke Nagriko ko Database taiyar kiya jayega. Aapko bata den ki pure desh me ghar ghar jakar Janganna ki prakriya ki jayegi.
Lekin log ab ise NRC se jodkar dekh rahe hain to aise me ham in dono ke bare me charcha karenge aage.
NRC vs NPR in Hindi
To jaisa ki aapko pata hai ki NRC ka maksad India me rah rahe aise logo ki pahchan karna hai Jo bharat ke Nagrik nahi hain lekin phir bhi bharat me rah rahe hain. Lekin NPR ek janganna hai jisme un sabhi logo ko shamil kiya gya hai jo India me 6 mahina ya us se adhik samay se bharat me rah rahe hain. To is prakar yadi koi aadmi NRC se bahar ho jaata hai to phir bhi uska naam NPR me hoga. NRC me logo se documents mange jayenge verify karne ke liye lekin NPR me aisa kuchh bhi nahi manga jayea aisa mana ja raha hai.
To is tarah aasha hai ki aapko NRC aur NPR me fark pata chal gaya hoga aur ab aapko aur NRC vs NPR in hindi search karne ki jarurat nahi hogi.