OK ka full form Olla Kalla or Oll Korrect hota hai. Olla Kalla ek greek word hai jiska meaning All Correct hota hai. Waise ham OK ko okay, ok, or O.K ityadi ke naam se bhi jaante hain ya likhte hain.
Darasal 1838-39 me galat english likhne ka chalan tha jisme OK ka full form OLL KORRECT likha jata tha jiska sahi meaning ALL CORRECT hota hai.
Lagbhag 170 saal pahle galat spelling likhne ke Fashion ke karan OK shabd utpann hua. 1839 me OK ka janm hua aur tab se ab tak sabhi log OK ka upyog karte hain.
Ye ek aisa word hai jise aam bhasha me khub upyog kiya jata hai chahe wo likhit ho ya speaking.
Aaj kal social media par hone bale chat me bhi OK, OKAY ityadi ka khub upyog hota hai.