Full Form Jankari

PSC की पुरी जानकारी | PSC Full Form in Hindi

PSC Full Form in Hindi
Written by A to Z Classes

PSC Full Form in Hindi:- Aaj ke is Post me ham Janenge ki PSC ki Full form, PSC Full Form kya hoti hai, PSC Kya Hoti Hai, PSC Kise kahte hai. Is post me ham PSC ki puri jankari dene bale hai. To doston, kya aapko pata hai PSC kise kahte hai aur PSC hota kya hai, Agar nahi to yaha se aap PSC ki puri jankari le sakte hai.

Aaj ke samay me har vyakti Civil services me jane ka khavab dekhta hai, Civil services ek sunhare bhavishy ka sapna dekhata hai, parantu is sapne ko sakar karne ke liye kadi mehant, tapsya aur lagan ki aavaskhyak hoti hai. Aaj ham aapko batayenge ki PSC kya hai, Aur is sapne ko sakar kaise kiya ja sakta hai.

PSC Full Form In Hindi

PSC ka Full Form – “Public Service Commission” hota hai, PSC ko Hindi me “लोक सेवा आयोग” kahte hai. Public Service Commission ek Central Agency hai jo Government ke tahat different category ke padon par sidhe bharti karne ke liye Candidate ka chayan karne ke liye Exam ka aaoyjan karvati hai. Aayie ab iske bare me any samany jankari parpt karte hai.

PSC Ki Puri Jankari Hindi Me

PSC ka Hindi me arth Lok Seva Aayog hai. PSC ki sthapna Indian Constitution ke dwara Articles 315 to 323 in Part XIV ke tahat kiya gaya tha. Praytek Rajya ka ek apan Lok Seva Aayog hota hai. PSC ke pass Union Public Service Commission ke jaisa saman karya hota hai. Yah ek Central hai jo ki Indian government ke Bhivago ke tahat padon ke liye bhati pariksha aayojit karne ke liye jimedar hai.

Jaisa ki hamne aapko abhi tak bataya ki PSC Constitution of India ke dwara sthapit ek Constitutional system hai, aur iski sthapna Constitution of India ke Article 315 ke antargat ki gai hai. Lok Seva Aayog ki Main centre ka kaam Civil Services me bharti karne ke liye vyakti ka chayan karna hota hai.

PSC dono Union aur State Level par kaam karti hai. Yah alag alag 2 level par aayojit ki jati hai.

  • Union Level:- Union Public Service Commission (UPSC) arthat संघ लोक सेवा आयोग.
  • State Level:- Rajya star par yah do tariko se aayojit ki jati hai – Joint PSC or State PSC.
  • Joint PSC:- Yah 2 ya 2 se adhik rajya milkar Exam aayojit karvati hai, aur iske niyam sambandhit rajyo ke pariksha board milkar banate hai.
  • State PSC:- Yah pratyek rajya dwara alag alag niyamo ke sath apne rajyon me aayojit kiya jata hai.

PSC Ke Exams

Doston, Vartman samay me iske liye Lok Seva Aayog dwara differents exam kabaye gaye hai, inme se kuch main exams niche diye gaye hai.

  • Civil Services (Main) Examination
  • Engineering Services Examination
  • Indian Forest Service Examination
  • Civil Services (Preliminary) Examination
  • Geologist exam
  • Combined Defense Services Examination
  • Special class railway trainee exam
  • Combined Medical Services Examination

Public Service Commission

Is samay PSC ki, Present Chairman – Mrs. Rajni Raajdan hai. Is samay ka ek niyam banaya gaya hai jisme yah kanun tha pure Bharat varsh me First aur Second Categories ki Services ke liye Competitive Examinations karvaya ja sake aur uske dwara hi employee ke dwara chunav kiya jana chahiye.

PSC ke liye kuch jimedar departments hot hai, jinhe is aayog ki niche di gayi karya soupi gayi hai.

  • PSC ke tahat Services aur Post ko Competitive Examinations ke jariye se pura bhara jaye.
  • Iska kaam Central Government ke antargat aane vali sevaon aur padon par Interview ke madhyam se chunav kar bharti kiya jaye.
  • Different services aur post par bharti ke padhti se related sabhi mamlon par sarkar se mavara dene ka kaam bhi PSC ko diya gaya hai.
  • PSC ka kaam Promotion aur Transfer ke liye adhikariyon ke Appropriateness par masavara dena bhi hai.

PSC ki sthapna 1st October 1926 me ki gayi thi, Aapki jankari ke liye bata den ki Varsh 1935 me Bharat Sarkar ke adhiniyam ke tahat Lok Seva Aayog ko fir se punargathit kiya gaya.

Conclusion

To aaj ke is post me hamne PSC ke bare me aapke sath puri jankari hindi me share ki hai. PSC Full Form, PSC kya hoti hai, PSC kise kahte hai, yah bhi hamne saral bhasha hindi me batane ki kosis ki hai. Yadi aapko abhi bhi PSC se judi koi problem hai to use aap niche comment box me comment kar puch sakte hai. Aur yadi aapko yah post pasand aayi ho to ise apne doston ke sath share jarur karen.

Yah Bhi Padhen:-

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

1 Comment

Leave a Comment