Full Form

SDM Full Form in Hindi | SDM क्या होता है?

SDM Full Form
Written by A to Z Classes

SDM Full Form:- Hello Friends, SDM Officier Kya hota hai, SDM Officier Bante kaise hai, SDM ka Full Form kya hota hai…Yadi aap bhi SDM se juri puri jankari Hindi me Janna chahte hai to aapke sath iski puri jankari is post me share ki gayi hai. Aapke sabhi savalo ka Javav aaj ham is Article me Hindi me dene ja rahe hai.

SDM Full Form in Hindi

Sabse Pahle aapko bta dete hai ki SDM ka Full Form – “Sub Divisional Magistrate” hota hai jise Hindi me “उप प्रभागीय न्यायाधीश” bhi kaha jata hai. Iski puri jankari aapko niche batayi gayi hai, Yadi aap bhi ek Sarkari Noukri ki khoj kar rahe hai to aapko SDM ke bare me jarur janna chahiye.

SDM Full-Form – Sub-Divisional Magistrate

SDM Full Form in Hindi – उप प्रभागीय न्यायाधीश

SDM Ki Puri Jankari Hindi Me

Aaj kal ke bahut sare Yuva chahte hai ki vo Sarkari Naukri me apna Future banaye, Lekin kam jankari ki vajah se ve piche rah jate hai. Aise me is post me aapko SDM Officier Kaise bante hai aur iske liye kya yogyta honi chahiye uske bare me jankari di gayi hai.

Doston SDM ke uch pad ka Sarkari Adhkari hota hai, Jiske dwara bahut se sarkari kaam kiye jate hai. Jaise ki apne Jile(District) ki sari Bhumi(Land) ka lekha jokha karna, Prakritik aapda se pidit logon tak sahayta pahuchana, Bahut tarah ke License Jari karvana, Vivah ka Registration aadi SDM ke Pramukh kam hote hai.

SDM Kaise Bane?

To aayie jante hai ki SDM Officier Banne ke liye aapme kya kya Yogyta honi chahiye, Agar aapme yah Yogyta hai tabhi aap iske Exam me shamil ho sakte hai:-

Yadi aap Sub Divisional Magistrate banna chahte ho to aapko kisi bhi Affiliations University se Graduation ki Degree prapt karni hogi.

Sub Divisional Magistrate banne ke liye jo aapko Pariksha dene hai usme partyek Varg ke liye aayu sima tay ki gayi hai.

General varg ke liye aayu sima 21-40 varsh hai, Aur SC/ST varg ke liye 21-45 varsh jisme ki unhe 5 varsh ki chhut di jati hai.

SDM Banne ke Tarike

Sub-Divisional Magistrate Banne ke liye Pramukh rup se aapke paas 2 Vikalp hai…

1 :- Pahla jo tarika hai SDM banne ke liye usme aapko State dwara aayojit PCS Exam – State Public Service Commission me shamil hona hota hai. Is Exam ko tin bhago me bata gaya hai.

  1. Preliminary Examination
  2. Main Examination
  3. Interview

SDM Officier Banane ke liye aapko ye tino Exam Pass karne Honge.

2 :- Dusra jo Tarika hai Isme aapko UPSE ke dwara aayojit Civil Services ke  Exam me shamil hokar ise Pass karna hoga.

Ise bhi tin Bhago me hi bta gaya hai PCS Exam ki tarah, Jisme aapko ye tino bhi Pass karna hoga.

Yah sabhi Exam pass karne ke bad aap ek IAS Level ka aadhikari ban jate hai, Aur uske kuch samay baad aapko SDM ke pad par niyukt kar diya jata hai.

SDM Officier Salary Kya Hoti Hai?

Vetan aayog ke anusar Ek SDM Officier ka vetan 53,000 se 67,000 aur adhiktam 1 Lakh Rupaye tak hota hai.

To ummid hai ki aapko SDM Officier Kya hota hai, SDM Officier Bante kaise hai, SDM ka Full Form kya hota hai in sabhi savalo ka javav mil gaya hoga, Agar aapke man me abhi v koi saval hai to use Comment me puche.

Ye Bhi Padhen…

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

3 Comments

Leave a Reply to IMRAN X