Contents
SIM Ka Full Form क्या है:- Hello Friends, Aap sabhi ko is post me SIM ka full form bataya ja raha hai. kya aap jante hain ki SIM ka full form kya hota hai. Aapne to sabhi SIM ka upyog kiye honge. Lekin aapne kabhi janne ki kosish nahi kiya hoga ki SIM ka full form kya hota hai. Aapne to socha hoga ki SIM to ek short name hai. Lekin aap sabhi ko SIM ke full form jarur malum hona chahiye isliye is mai is post me aaps abhi ko SIM ka full form aur puri jankari batane ja raha hun.
Sim Ka Full Form – Subscriber Identity Module
S – Subscriber
I – Identity
M – Module
Aap sabhi ko bata den ki SIM ka full form, Subscriber Identity Module hota hai aur ise hindi me (ग्राहक पहचान मॉड्यूल) kahte hain. To aapko pata bhi hoga ki kisi bhi mobile se baat karne ke liye phone me SIM ka hona bahut jaruri hai. Agar aapke phone me kisi bhi company ka sim nahi hoga to aap call aur massage jaise facility ka laabh nahi utha sakte hain.
SIM bahut small shape ka hota hai ek memory card ke jaisa. Aur aap kisi bhi telecom store par se SIM prapt kar sakte hain. uske liye aapke paas adhar card jarur hona chahiye aur aapka age 18 Years se upar hone chahiye.
Bata den ki SIM card dekhne me plastic ke ek tukade jaisa hota hai lekin is plastic ke tukade me integrated chip hota hai jo sirf mobile padh sakta hai aur har SIM card me unique information phone number aur data store hota hai jo har network ke liye fixed hota hai aur aapko communication service use karne me madad karta hai.
Agar SIM card nahi hoga to aap message, call aur internet ka use apne mobile me nahi kar sakte hain. India me bahut se telecom operator hai jo sabhi apne customers ko SIM card uplabdh karate hain. Jaise ki Vodafone, Idea, Jio, Airtel, Reliance Etc SIM me kuchh memory bhi hoti hai jo 250 contact ko save karta hai, Aur massage ke saath kuchh jaruri jankari bhi save karta hai. Aapko bata den ki jo pahla SIM card banaya gya tha bo credit card jaise shape(आकार) ka tha lekin dhire dhire iska shape kam hota gya aur Aaj mini aur micro SIM card ban gya hai jo bahut small hota hai.
Mobile Phone SIM Card ka invention 1991 me Munich SmartCard Maker Giesecke And Devrient ke dwara kiya gya tha. Inhone hi pure world ko SIM diya jis se aaj pure world ek dusre se connect hai.
SIM कितने प्रकार का होता है?
Aapko bata den ki SIM do prakar ke hote hain jiske bare me niche aap sabhi ko bataya gya hai.
- GSM – Global System For Mobile Networks
- CDMA – Code Division Multiple Access
Ab ham baat karte hain GSM aur CDMA SIM ke bare me ki ye kya hain aur in dono me kya difference hai. Jab ham SIM ki baat karte hain to hamare mind me do naam sabse pahle aata hain GSM Aur CDMA lekin hame pata nahi hota hai ki in dono me antar kya hai aur yah ek dusre me kis tarah ka different hai. To jyada samay na lete huye iske bare ab ham baat karte hain.
Bata den ki GSM jo hota hai use aap kisi bhi mobile phone me use kar sakte hain, jaise ki aapke phone me battery khatam ho gya ho to aap us phone se SIM Card ko nikalkar kisi dusre phone me lagakar use kar sakte hain. Lekin CDMA me aisa nahi hota hai CDMA SIM aapke mobile phone ke saath pahle se hi diya jata hai aap SIM bahar nahi nikal sakte kyonki SIM Card usi company ka hota hai jis company ka mobile hai. Jaise aap sabhi ko bata den ki Relaince me aapko CDMA ka option milta hai matlab SIM aur phone dono reliance company ke taraf se hoga aur aap isme kisi dusre company ke SIM nahi laga sakte.
Aap sabhi ko is post ke madhyam se batana chahuga ki aajkal jyadatar GSM company ka hi SIM use kiya jata hai.
SIM Se Kuchh Important Jankari
- 1991 me world ka pahla GSM call Rediolinja company ke network par kiya gya tha.
- 1 July 1991 ko finland ke tatkalin Prime Ministor Harri Holkeri ne Hel sinki finland me world ka pahla GSM call kiya gya tha.
- 9 November 1992 ko nokia mobile me pahla SIM ka use kiya gya.
- Aur 1992 me Nokia phone world ka pahla GSM digital mobile phone nokia launch hua tha.
- 1993 me SIM dwara ek human se dusre human ko massage kiya gya tha.
- Saal 2012 me pahli baar nano SIM card world ke samne present kiya gya tha.
- Aur 2013 me pahla ESIM launch hua tha.
Aap sabhi ko is post me SIM ka full form kya hota hai iske bare me jankari diya gya aur saath hi iske bare me yah bhi bataya gya ki SIM kitne prakar ka hota hai aur uske bare me bhi jankari diya gya. Aasha hai aapko ye jankari achhi lagi hogi.