Contents
GPS Full Form in Hindi:- Hello Friends, Aaj ke is post me GPS Kya Hai, GPS Full Form, GPS kaise kaam karte hai, In sab savalo ka Javav aapko nihce is post me mil jayega.
Is post me aap sabhi ko GPS ke bare me puri jankari aapke sath share ki gayi hai, To chaliye shuru karte hai GPS ke Full Form ke sath.
GPS Full Form in Hindi
GPS Ka Full Form – “GLOBAL POSITIONING SYSTEM” hota hai, Aaj har ek Mobile me GPS System laga hua hai. GPS (Global Positioning System) ek bahut hi Powerful system hai, Yah ek Global Satellite System hai, Jiska prayog kisi bhi chij ka Position batana hota hai.
GPS (Global Positioning System) Kya Hai?
Aapne aksar apne phone me GPS ka istemal kiya hoga, Aap ye jante hi honge ki ye aapka position batlata hai, Par iske piche juri puri Detail aap janna chahte honge, To aaj ham GPS se juri puri jankari denge.
Yah Satellite se Judi Radio Navigation System hai jo ki United States government ke dwara operate Kiya Jata hai. Yah ek Global Navigation System, Jo Geologication aur Time information GPS Receiver tak pahuchata hai. Is system ko NAVSTAR (Navigation Satellite Timing & Ranging) bhi kaha jata hai.
Bharat ki navigation system ka naam hai:- Indian Regional Navigation Satellite System (IRNSS)
History Of GPS in Hindi
Departement of US(America) dwara GPS Project ko 1973 me Launch kiya gaya tha. Aapko bata den ki GPS System ka istemal aam logo ke dwara nhi kiya jata tha, Agar koi iska istemal karta to yah illegal kahlata tha. Logo ki badhti mang ko dekhte huye ise 1995 me Operation me laya gaya.
To jab America ne ise aam nagrik ke uplabdh karaya tab iski Quality kam kar ke uplabdh karaya gaya tha. Bad me 2020 May me “Bill Clinton” ke dwara janta ke liye Accurate GPS System uplabdh karaya gaya.
Parts of GPS (Global Positioning System) in Hindi
GPS ke kam karne ke tarike ko samjhne ke liye aapko ye janna jauri hai ki aapka Phone kin kin chijo se juda hua hai.
Ise tin alag alag khando me bata gaya hai, Tabhi bo aapki Location ko bata pata hai, jo ki niche batlaya gaya hai.
- GPS Satellite:- GPS char satellite se juda hua hota hai, Jo ki aapke Position batlane me mukh rup se upyog kiya jata hai. Darsal yah aapke Phone se bheje gaye Signal ke coordinate ko Record kar leti hai.
- Ground Control System:- Iska upyog iske Satellite ki nigrani ke liye kiya jata hai. Yah control karta hai ki Satellite Orbit ke andar ho.
- GPS Receiver:- Yah Receiver aur koi nahi aapka Phone aur Cars hoti hai, Jaha GPS istemal kiya ja raha hai.
GPS Kaise Kaam Karta Hai?
Global Positioning System (GPS) karib 32 Satellite ka Network hai. Jo ki Earth se 26,600 km dur Orbit me ghum rahi hai.
Vaise to iska System mul rup se US government ke dwara operate kiya jata hai, Lekin iska upyog koi bhi kar sakta hai, basrte uske pass iske liye ek Receiver ho.
GPS Receiver inhi Satellite ke dwara bheje gaye signal ke sanketo ke aadhar par Position batate hai. GPS ka accurate upyog karne ke liye yah 4 Satellite ka upyog karta hai. Yah users ko Three- Dimensional Position Latitude, Longitude Line aur Elevation ke bare me jankari deta hai.
Har ek Satellite ek Regular samay ke antral Position aur Current Time ki information ke signal transmits karti rahti hai. EK bar yah Inform ho jaye ki kam se kam 3 Satellite aapse kitni dur hai, To GPS Device pata laga leti hai ki aapka Location kya hai. Is Process ko Trilateration kahte hai.
Trilateration kise kahte hai?
Niche diye gaye photo me dekhiye, Man lijiye aap prithvi par kahi hai, Aur aap Satellite A, B, C se mil rahe Circle Intersect ke bich khade hai.
Jaha par yah tino Circles ke Intersect milte hai vahi pe aapka Location hai, Yah bat ho gayi tin Satellite ki, Lekin jitni jyada Satellite hogi utne jyada Accuracy ke sath aap apna Location jan Payenge.
Uses of GPS in Hindi
GPS ka upyog bahut sare kamo ke liye kiya jata hai.
GPS in panch category me use hote hai.
- Location (Apni Location janne ke liye)
- Navigation (Ek jgah se dusri jgaha janne ke liye)
- Tracking (Kisi chij ko ya Vahan ko track karne ke liye)
- Mapping (Duniya ka naksa Banane ke liye)
- Timing (Sahi samay janne ke liye)
- space shuttle joki apne ko GPS ke dwara navigate karti hai.
- tractor jo apne aap GPS ki madad se chalta hai.
- airplane jo khudse landing karta hai, GPS ki madad se.
- football Coach, Khiladiyo ko GPS ki madad se track karta hai.
- animals ko Track karne ke liye GPS ka upyog karta hai.
- military me ( Missiles, bombs me aur aircraft me)
To is parkar GPS (Global Positioning System) kaise puri Life ko aasaan bana chuka hai. Aapne is post me GPS (Global Positioning System) ke bare me vistar se jana, yadi aapko yah jankari achhi lagi to ise Share jarur kare.
hurrety i know everything through your website