Contents
HR Full Form in Hindi:- Hello Friends, HR full form in hindi kya hoti hai, HR kya hota hai, HR ke kaam kya hote hai, HR ka pura naam aur Hindi me arth kya hota hai, In sabhi savalon ka javab aapko aaj is post me mil jayenge.
Doston, Agar aapne kabhi kisi Private Company me Interview diya hoga, to aapne is shabd ko jarur suna hoga. Kyunki kisi bhi Private company me aapka Interview ek HR ke dwara hi liya jata hai. Vaha Interview kisi ek HR ke dwara nahi balki tin se char HR ke dwara liya jata hai, har HR aapke alag alag Quality ko test karta hai. To chaliye jante hai HR ki Full Form aur HR kya hota hai.
HR Full Form in Hindi
HR ki Full Form – “Human Resources” hoti hai. Jise Hindi me “मानव संसाधन” kahte hai. HR ek Group hota hai, aur is Group me sabhi HR managers hote hai. Yah sab vo log hain jo kisi Organization ke Task force ko banate hai. Yah kisi Organization me logon ko Recruitment aur any kaam ke liye jimedar hote hai.
Laghbhag sabhi Department me ek HR Department hota hai, Jiska kaam Human Resources Mangement hota hai. Jiska mukhya kaam Management ko sambhalna aur New workers ko ek Structured ways instructions prdan karna hota hai. Aaiye ab iske bare me aur Detail Jankari prapt karte hai.
HR Ki Jankari Hindi Me
Human Resources shabd ko sabse pahle 1960 ke dasahk me pahli bar use me laya gaya tha. HR kisi Organization ya Institute me aavashyak Staff aur Labour ka arrange karna hota hai. HR ka kaam kisi Institute ya Organization me kaam karne bale vyakti ke hit aur unke hak ka bhi dhyan rakhna hota hai. Ek Company ke safal hone ki adhik sambhavna tab hoti hai jab vah apne sabhi Employee ko achhi tarah se Manage karti hai. Isi tarah kisi bhi company ya organization me HR ki bhumika bahut hi mahatvpurn hoti hai.
Human Resource Management ko kisi bhi company me sabse mahtavpurn vibhag me ek mana gaya hai. Ek HR ke upar Company me kaam karne bale sabhi Employee aur Workers ki jimedari hoti hai, Aur jab new workers company me bharti kiye jate hai, to un sabhi ko company ke Rules aur Regulations ke bare me samjhane ka kaam bhi HR ko hi diya jata hai. HR ko aur bhi bahut se kaam hai jaise ki Workers ko kaam ke liye Training dene aur unki Quality ke hisab se Salary decide karna aadi.
Aaj ke samay me Company ke Development ke liye Trained, Skilled, aur motivated employee ki jarurat hoti hai. Inme HRM ko dono advertisements ke sath sath Non-profit banane bale adminstrative function ka kaam kiya hai. Company ke productivity ke liye Employee ki bharti HR ya Personal manager ka kaam hota hai.
HR ke Kaam
Jaisa ki aapne jana ki is process ko HRM yani ki Human Resource Management kahte hai. Aapko jankari ke liye bata den HR niche diye gaye Work ko Control karta hai:-
- Job Ads ko niyukt karna.
- Interview ke samay ko manage karna.
- Jama kiye gaye Resumes ko organize karna.
- Employee ko kaam ke liye Motivate karna.
- Employee ke benefits aur compensation ko manage karna.
- Employee ke liye equal opportunity ko ensure karna.
- Sabhi employee ke sath achha behave karna.
HR Ke Liye Recruitment
HR banne ke liye Candidate ke pass Human Resource Management me Master Degree honi chahiye. HR ke liye main Courses niche diye gaye hai:-
- Master of Human Resource Management (MHRM)
- Post Graduate Diploma in Human Resource Management (PGDHRM)
- Post Graduate Diploma in Human Resource Development (PGDHRD)
- Master of Human Resource and Organizational Development (MHROD)
Candidates ke pass in Courses me aavedan karne ke liye kisi bhi subject se Graduation hona chahiye. Master Degree 2 varsh ki hogi aur PG Diploma 1 varsh ki avadhi ka hoga.
Conclusion
To doston, Aaj ke is Article me hamne aapko HR se judi har jankari Hindi me Share ki hai, Ham aashaa karte hai ki aapko yah Post pasand aayi hogi. Agar aapke man me abhi bhi HR se juri koi question hai to use comment box me Comment kar jarur puchhe. Yadi aapko yah Post – HR Full Form in Hindi – एच . आर की फुल फॉर्म क्या है? achhi lagi to ise apne doston ke sath share jarur kare.
Sanjeet
संजीत कुमार को सीखना है