Full Form

ICU Ka Full Form Hindi Me | ICU फुल फॉर्म क्या होता है?

ICU Full Form
Written by A to Z Classes

ICU Full Form: Hello Friends, Aap sabhi ko is post me batane bala hu ki ICU ka full form kya hota hai. ICU kya hai, ise kaha upyog kiya jata hai to puri jankari aapko is post ke madhyam se diya ja raha hai jise aap padhkar smajh sakte hain ki ICU kya hai aur ICU ka pura naam kya kya hota hai.

ICU Ka Full Form in Hindi

ICU FULL FORM:- To aapko bata den ki ICU ka Full Form Intensive Care Unit hota hain. Aur ise Hindi language me (गहन चिकित्सा केन्द्र) bhi kaha jata hai.

ICU Full Form Intensive Care Unit (गहन चिकित्सा केन्द्र)

Aapko bata den ki ICU medical ka department hota hai jaha kisi bhi serious patients (गंभीर मरीजों) ka treatment (इलाज) kiya jata hai. Aapne kahi suna bhi hoga ki koi person ICU me Bharti hai ya doctor ne use ICU me refer kar diya hai. Jab bhi ICU ki baari aati tab log serious ho jate hai kyonki ICU me bharti hona koi normal baat nhi hoti hai.

ICU me kisi person ko tab bharti kiya jata jab uski condition bahut najuk ho jata hai, use bachne ki sambhavna kam ho jati hai. ICU hospital ka wo department hota hai jaha machine aur equipment (उपकरण) present hote hain jinki madad se kisi vyakti ko bachane ki puri koshish kiya jata hai. ICU me bahut sensitive aur achhi tarah ke viksit machine hoti hai jo kisi bhi serious patients ke treatment ke liye upyog kiya jata hai.

Jaisa ki ham sabhi jante hain ki jarurat padne par patient ko Emergency Department se sidhe ICU me sthanantrit kiya jata hai. Aur yadi patient ka sthiti lagatar khrab ho raha hai tab aisa kiya jata hai. ICU me different medical devices hain. Jaise Mechanical Ventilator, Dialysis machine, External Pacemaker, syringe pump, Infusion pump, ECG Electrocardiogram, Defibrillator, Anesthesia machine, Blood warmer, Patient monitor, Feeding tube, Cyst tube ityadi, kuchh Bade Injuries aur Diseases (बीमारियों) ke liye upchar ki Aavshyakta hoti hai. Aur hart attack, Blood pressure, Respiration system (प्रणाली समस्या) jaise major surgery(बड़ी सर्जरी) ki aavashyakta hoti hai.

ICU के उपकरण

Ventilator:- Is Machine ka upyog tab kiya jata hai jab patient ko breath (सांस) lene me jyada problem ho raha hota hai.

Feeding Tube:- Is Machine ka upyog patient ke body me food deliver (खाना पहुँचाने) ke liye kiya jata hai.

EEG Box:- Aur ye machine ka upyog patient ke disease(बीमारी) ke bare me ek se jyada jankari lene ke liye kiya jata hai.

Pulse Oximeter:- Ye machine ko patient ke blood me Oxigan Level ko mapne ka upyog kiya jata hai. Aur ye machine patient ke fingers me laga diya jata hai.

Dialysis:- Ye machine ka upyog patient ke body se blood ko nikalkar use clean karke phir uske body me insert karne ke liye kiya jata hai.

ICU Me Patient Ko Kab Bharti Karte hai

Jab koi serious situation hoti hai tav patient ko ICU me bharti kiya jata hai, jsise ki breath (सांस) lene me jyada problem ho raha ho tab jakar ICU me bharti kiya jata hai.

ICU me different medical devices hote hain jiske name aap niche dekh sakte hain.

  • Mechanical Ventilators
  • Dialysis Machine
  • Syringe Pump
  • External Pacemakers
  • Infusion Pump
  • Defibrillator
  • Blood Warmer
  • Patient Monitor
  • Anesthesia Machine
  • ECG (Electrocardiogram)
  • Feeding Tubes, Suction Tubes, etc

Kisi Patient Ko ICU Me Rakhne Ka Reason Kya Hai

Yah ham sabhi ke liye janana bahut jaruri hai ki kisi patient ko ICU me kyo rakha jata hai. Iske bare me bataya gya ki ICU me sirf unhi logo ko rakha jata hai jinka halat bahut kamjor hoti hai aur unko bachana kafi muskil lag raha hota hai. Tab Doctor ka team unhe apne achhe maintenance me rakhne ki koshish karti hai, aur isliye hospital me ward no 1 hota hai jiska name hota hai ICU aur is ward me bahut hi achhe tarike se patient ki Ilaaj ki jati hai jinme patient ko saari subidha diya jata hai. Taki uski health me jald sudhar aa sake,

Aapko bata den ki ICUIntensive Care Unit me bahut se upkaran ka upyog kiya jata hai jis se ki patient ki condition pata chalti rahti hai.

Jaise ki Ventilator machine jab kisi bhi patient ko breath (सांस) lene me problem hota hai to iska upyog ek tube ke madhyam se breath lene me kiya jata hai.

Iske alawa body ko lagatar monitor karne ke liye machine lagi rahti hai jis se ki patient ka blood pressure aur jaruri chije pata chalti rahti hai.

ICU से जुड़े Sabhi Full Forms

ECA full formEducational Credential Assessment
NICU Full FormNeonatal Intensive Care Unit
PICU Full FormPediatric Intensive Care Unit
MICU Full FormMedical Intensive Care Unit
SICU Full FormSurgical Intensive Care Unit
EMMC Full FormEmbedded Multi-Media Controller
AC Full FormAlternating Current
CCU Full FormCoronary Care Unit

To is post me bataya gya ki kis prakar se ICU ka upyog kiya jata hai aur kis kis time par ise lagaya jata hai. To ye saari jankari aap sabhi ko is post ke dwara diya gya hai jis se aap padhkar smagh sakte hain ki ICU kya hai aur ICU ka full form kya hota hai 🙂

About the author

A to Z Classes

We provide you latest job information, shortcut math tricks, shortcut gk tricks and a lot of updates in Hindi. So Bookmark this site by Ctrl+D on You Laptop :)

Leave a Comment